Ab kuch baaqi nahin ......... !!!!!!!!!!!!!!!!

by Talat on July 24, 2005, 10:55:54 AM
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 21
ReplyPrint
Author  (Read 19679 times)
Tosha
Guest
«Reply #150 on: October 24, 2005, 01:53:21 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Na kuch kehne ko baaqi hai na kuch sunne ko baaqi hai
Jo dil tha kab ka toot chuka na kuch ab lutne ko baaqi hai

Ek shakhs ko bohot chaha tha khwaabon main basaya tha
toot gaye wo khwaab saare na kuch bikharne ko baaqi hai

Rait par naqsh banaya tha kuch armaano ko sajaya tha
Ek rela paani ka mita gaya sab na kuch mitne ko baaqi hai

Kabhi hansa karte the ye lab aur muskurati thi aankhain
Ab to ashk bhi sookh chale hain aur kuch aahen baaqi hain !!!!


really nice Talat .. !!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kuch toot gaye kuch baaqi hain!!!! by Talat in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~~~~ ///***((( KUCH BHI TU NAHIN )))***///~~~~ by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
KUCH BHI TU NAHIN by fakharenaveed in SMS , mobile & JOKES
Sirf aahen hain aur kuch nahin .... !!!!!! by Talat in Shayri-E-Dard « 1 2 3 4  All »
waheed_rose2004
Guest
«Reply #151 on: October 24, 2005, 07:10:43 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Very nice work...Bharat....Nidhi...Friend...Waheed...Bekara r and thanks all  Usual Smile

Toofan aate hain aur baha le jaate hain armaan
Ansuon ke in sailaab ko rokna nahin hota asaan
Na utrenge kabhi jazbaat ke samundar me hum
Toofanon se laden hum, ab wo hausla baaqi nahin !!!


Thanxxxxx  all......  nice  work  all..........

meri  post  kisi  ne  delete kar  diya  :oops:  :oops:  :oops:

ab to  har  mod  per  tumhara  hi  intizaar  rahta hai
dil ki  har waadi  mein sirf  tumhara naam rahta  hai
kaise bhejoon  main  paigaam  apne  is  dil  ki
thak gayee aankhen  meri, ab koi  aur ummeed  baaki  nahi......
Logged
Bharat
Guest
«Reply #152 on: October 25, 2005, 01:39:18 AM »
Reply with quote
Very nice Waheed........Thanks

Welcome back Talat and very nice again..........!!!!

kuch waqt ke liye yeh hasin mehfil thi, bina mejbaan ke
unke na hone se kuch phiki si pad gayee thi yeh mehfil  
phir se roshan ho gayee hai yeh mehfil, unke lautne se  
ab aa gaye hai wo to mehfil main koi kami baaqi nahin!
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #153 on: October 25, 2005, 06:43:14 AM »
Reply with quote
Quote from: "Bharat_Desai"
Very nice Waheed........Thanks

Welcome back Talat and very nice again..........!!!!

kuch waqt ke liye yeh hasin mehfil thi, bina mejbaan ke
unke na hone se kuch phiki si pad gayee thi yeh mehfil  
phir se roshan ho gayee hai yeh mehfil, unke lautne se  
ab aa gaye hai wo to mehfil main koi kami baaqi nahin!


good one bharat
pahali baar "BAAQI NAHI" ko alag meaning me aapane istemaal kiya hai,
pahli baar "BAAQI NAHI" ne kisi kami ka nahi balki kisi PANE ka ehsas karaya hai. very nice
Logged
Pooja
Guest
«Reply #154 on: October 25, 2005, 03:22:35 PM »
Reply with quote
Good work all!!
Logged
Bharat
Guest
«Reply #155 on: October 26, 2005, 01:23:41 AM »
Reply with quote
Quote from: "bekarar"
Quote from: "Bharat_Desai"
Very nice Waheed........Thanks

Welcome back Talat and very nice again..........!!!!

kuch waqt ke liye yeh hasin mehfil thi, bina mejbaan ke
unke na hone se kuch phiki si pad gayee thi yeh mehfil  
phir se roshan ho gayee hai yeh mehfil, unke lautne se  
ab aa gaye hai wo to mehfil main koi kami baaqi nahin!


good one bharat
pahali baar "BAAQI NAHI" ko alag meaning me aapane istemaal kiya hai,
pahli baar "BAAQI NAHI" ne kisi kami ka nahi balki kisi PANE ka ehsas karaya hai. very nice



Hello bekarar,
Thanks for the appreciation...!!!

Aur "Baaqi nahin" main likhne ke liye shukriya...........Aapne bhi accha likha hai.......

Hi Pooja,
Thanks!!!
Logged
Friend_4uall
Guest
«Reply #156 on: October 26, 2005, 08:25:18 AM »
Reply with quote
Mohabbat hai, wafaa baaqi nahi
jaam hai, nashaa baaqi nahi
zulm hai, sazaa baaqi nahi
maut hai, wajah baaqi nahi

kahne ko zindaa hai, zindadili baaqi nahi
Logged
pyarikudi1983
Guest
«Reply #157 on: October 26, 2005, 02:09:53 PM »
Reply with quote
Kashmosh hai aaj zuban kiu koi alfazz baqi nahi :?:
ankhein hai naam par kiu koi ansun ki katar baqi nahi :lol:
yun tho seer sada jhukate hain us khuda k aage hum......... glasses2
Phir kiu aaj dil nahi karta ki kuch mangun us khuda se :idea:
Phir kiu aaj koi apni cheez paane ki umed nahi sad5  sad5
kese bhi bhala, Us Khuda ko humse pyar ho...... sad5  :?
Hum mein aesi koi baat nahi............................ Puzzled !  Puzzled !  Puzzled !  Puzzled !
Logged
Pooja
Guest
«Reply #158 on: October 26, 2005, 03:13:33 PM »
Reply with quote
Quote from: "Friend_4uall"
Mohabbat hai, wafaa baaqi nahi
jaam hai, nashaa baaqi nahi
zulm hai, sazaa baaqi nahi
maut hai, wajah baaqi nahi

kahne ko zindaa hai, zindadili baaqi nahi


wah bahoot khoob Friend_4uall!!!

Zindagi jaise ek saza ho koi
khud se khud ko zafa ho koi
Na umind bhi nahi yah hoti
us per Umind bhi nahi koi!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #159 on: October 29, 2005, 07:24:41 PM »
Reply with quote
very  nice  Bharat........Freind....Pyarikudi......Pooja....
Logged
Talat
Guest
«Reply #160 on: October 30, 2005, 09:14:50 AM »
Reply with quote
Thanks a lot Tosha.....!!

Thanks Waheed...and bohot achcha likha hai...!!!

Very Nice Friend...Sweetie and Pooja....!!

Thanks to all friends for writing in "Baaqi nahin"... this thread now has become very special to me Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #161 on: October 30, 2005, 09:18:16 AM »
Reply with quote
Quote from: "Bharat_Desai"

Welcome back Talat and very nice again..........!!!!

kuch waqt ke liye yeh hasin mehfil thi, bina mejbaan ke
unke na hone se kuch phiki si pad gayee thi yeh mehfil  
phir se roshan ho gayee hai yeh mehfil, unke lautne se  
ab aa gaye hai wo to mehfil main koi kami baaqi nahin!


Thanks a lot Bharat... and its so sweet of you to write these lines...i am really touched Usual Smile

Anjane se naam hain phir bhi apne lagte hain
Baaton se apni wo dost sachche se lagte hain
Iss daur main jab koi apna kahin milta nahin
Mile hain dost aise ki ab aarzu koi baaqi nahin !!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #162 on: October 30, 2005, 05:57:32 PM »
Reply with quote
Thanxxxxx  Talat..........  nice  reply  Talat.....  bahot khoob.......

thi  aarzoo  mujhe  bhi  aise  dost  banane ki
aisa lagta  hai  wahi shaks tum  ho
main zameen per ghana andhera hoon
aasmano ki chandi tum ho, ab aur koi aarzoo baaki nahi.....
Logged
Bharat
Guest
«Reply #163 on: October 31, 2005, 03:13:51 AM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Quote from: "Bharat_Desai"

Welcome back Talat and very nice again..........!!!!

kuch waqt ke liye yeh hasin mehfil thi, bina mejbaan ke
unke na hone se kuch phiki si pad gayee thi yeh mehfil  
phir se roshan ho gayee hai yeh mehfil, unke lautne se  
ab aa gaye hai wo to mehfil main koi kami baaqi nahin!


Thanks a lot Bharat... and its so sweet of you to write these lines...i am really touched Usual Smile

Anjane se naam hain phir bhi apne lagte hain
Baaton se apni wo dost sachche se lagte hain
Iss daur main jab koi apna kahin milta nahin
Mile hain dost aise ki ab aarzu koi baaqi nahin !!!


You are welcome, Talat........
dil ne jo kaha wo hi likh diya ...!!!
Your shayari is very nice.....Bohot hi accha likha hai.........
Logged
Bharat
Guest
«Reply #164 on: October 31, 2005, 03:59:13 AM »
Reply with quote
Everybody has written very well.............Thanks.

bhatak rahe hai yahan se wahan, bina kisi manzeel ke
ek chhota sa ashiyana banaye aisa shahar baaqi nahin

khushnaseeb hai banjare, jo ghumte hai kaarwahn main
tanha rasto main jo saath de wo humsafar baaqi nahin

bechaini ka aalam hai aur gujarta hai din besabari main  
do pal ke liye neend aaye, raat ka wo pahar baaqi nahin

hum pe jo sitam kiye logo ne, wo kuch kum to na the
aur uspe kismat ka dhaya huaa koi kahar baaqi nahin

kabhi na kabhi to samandar ki mauje milti hai kinaro se
hum wo saheel hai jiske liye ek lahar tak baaqi nahin

duaa ke liye uthe huye yeh hath, sirf maut hi mangte hai
hamari jindagi ko khatm kar de, wo zahar baaqi nahin!!!
Logged
Pages: 1 ... 7 8 9 10 [11] 12 13 14 15 ... 21
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:46:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer