Waada kiya tha aapse Sanjeev, ki ek ek sher ka reply karenge...aaj ye waada poora kar rahe hain, deri ke liye ma'af kijiyega !!mujhe samajh nahi aa raha ki aap logo ki tarif me kya kahun :?: par haan sab ek se bad kar ek hai, karni to nahi chahiye par
mai bhi jurrat kar raha hun
kahin pe jam hai saki nahi, kahi pe saki he aur jam nahi,
dard sabke hisse me aaya hai, doston isase koi baki nahi
Jaam bhi hai, hai saaqi bhi
Bas ab pyaas wo baaqi nahin !!
har baar ki tarah is bar bhi dhal jayegi,
gam ki ye rat bhi ab jyada der baqi nahi
Mere dil ke andheron ko jo mita sake
Nayi subah main wo roshni baaqi nahin
jis chand ko pakarke, dekho chandani ithalayi thi,
chandani ab bhi wahi hai,chand par baaqi nahi,
Chaand tanha aasmaan main safar karta raha
Kho gaya andheron main, chandni baaqi nahin
tum the tumhari mohbbat thi, ek hasti hamri bhi hua karati thi,
na mohabbat rahi,na tum rahe, aur mera bhi vazud baaqi nahi,
Bikhar gayi aansuon main, dhoondne jaayen kahan,
Dil main basne waali wo pyaar ki murat baaqi nahin
kai jaruri kaam the, jo kal karenge sochaa tha,
aaj to hum kho hi chuke the, aur kal baaqi nahi
Khwahishain bhi reh gayi, reh gaye armaan bhi
Khatam hone ko chali ab hayaat ye baaqi nahin
"patthar ke sanam" bas nam suna tha, ab dekha to batlate hain,
patthar hi patthar yahan hai, momdil baaqi nahi
Pathar ke seene main bhi sheesha hota hai kabhi
Koi samajhne waala iske dard ko, baaqi nahin
na mango dua mere liye, mujhe haal pe MERE chod do,
jisaki dua mujhako lage, ab hath wo "BAAQI NAHI"
sab jante hai matlabi jahan me, pyar ishq fizul hai,
har shakhs galati kar raha hai, koi bhi "BAAQI NAHI"
Wo aasmaan hai ooncha, hoon main bohot door
Pahunche aasmaan tak jo, dua koi baaqi nahin
Dosti ke naam pe khaaya kiye hain zakhm kai
Doston ne di na ho, koi chot ab baaqi nahin !
TERA KARAM HAI TU JANE, PAR ITANA TO SAMJHA DE TU,
KYUN SIRF YAHAN INSAAN BACHE HAIN, INSANIYAT "BAAQI NAHI"
Insaaniyat ki baatain karte ho aise daur main
Pathar log baste hain, insaan ab baaqi nahin