~*~ Ab woh wafa kahan hai? ~*~ by Rahim

by dead heart on December 22, 2010, 08:16:02 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1680 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Ek soch par yeh nazm dil ne likhi hai..Aur woh soch akhri stanza [3 lines main] qaid hai..Yeh note uss akhri 3 lines kay liye hai..

Insaanon kay beech rehte rehte kahin hum bhi unke jaise nahin hote jaa rahe hai..Fashion ka daur hai, ager usne scarf pehna hai toh mujhe bhi pehn'na chahiye..Hum apni originality khote jaa rahe hai..Khair issi par soch yeh hai kay kisi ne dokha kiya humare saath toh hume bhi badla lena chahiye usse balke auron se bhi dokha karna chahiye..Shayad isiliye aj wafa bahaut kam payi jati hai..Toh sawal yehi hai: Kya hum wafa khote jaa rahe hai??

Sochiyega zaroor..


Insaanon ki iss bheed main insaan kahan hai?
Khuda ki iss duniya ab mohobat kahan hai?

Mehboob badalte hai sab ankhein jhapakne ki raftar se,
Ek shaks par mar mitenge; aisi ab wafa kahan hai?

Ab tum vaada na kiya karo bas sabut-e-mohobat do, kehti hai woh,
‘mohobat kay dave toh karliye mujse, ab batao mera taj mahal kahaan hai?’

Kehte hai mohobat sachi ho toh dard tumhe ho aur mehsoos hum karenge,
Apne majnu kay liye pathar khanne wali ab aisi koi laila kahan hai?

Aj sirf lakeerein hai, kal tak pani pahad aur zameen hua karti thi,
Ae insaanon Khuda ki banayi woh duniya kahan hai?

Aj khud ko rooh kay aine main dekhna zara,
Aur bas ek sawal karlo khudse ‘Khamosh’,
Tum main rehti thi jo ek waqt ab woh wafa kahan hai?

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~Bewaffa main wafa~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
~Kahan jaoun~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
BEwafaO KI bhEEd m WaFA KAHan se pye by Asif samani jaunpuri in Shairi - E - Zindagi
WaFa kaHan se PyE by Asif samani jaunpuri in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~ Kahan agaye hai hum ~ by Rahim by dead heart in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
Rajesh Harish
Guest
«Reply #1 on: December 22, 2010, 11:00:02 PM »
Reply with quote
Wah! Rahim Ji Bahut Khoob
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #2 on: December 23, 2010, 12:35:14 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
ek aalaa soch kee numaindagee kartee aap keee ye nazm bahut khoob rahee.........humaaree or se dheroN daad .....
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #3 on: December 23, 2010, 04:58:57 AM »
Reply with quote
bahut khoob Rahim ji..
ye sawalon bhari soch aur sachhai ka aina hai.
behad umda--
khus rahiye
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #4 on: December 23, 2010, 06:25:58 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob mere bhai..

kya baat hai..

waise aaj bata dete hai, ki ham hain jo aaj tak kayam hai wafa par..

kisi se pyaar na karne ki wafa khud se ...haha

dher saari daad aapk liye..

kuchh hamari taraf se~


ik bar jo ho gaya ye dil tumhara
koi or na ise ab chhoo payega
ye janta hun kai bar bahare awaaz dengi mujhe
par ye bhanwra ab kisi ke liye nahi gayega~
Logged
Muzammil,
Guest
«Reply #5 on: December 23, 2010, 06:48:57 AM »
Reply with quote
Nice lining Rahim jii
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #6 on: December 23, 2010, 09:08:11 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Rahim JI Padhkar Bahut Accha Laga Hume
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: December 23, 2010, 12:41:57 PM »
Reply with quote
Teh dil se shukriya Mamta jee, Rajesh jee, KillBill jee, Rishi jee, Muzammil jee aur Abhi dost..


Abhi bhai bahaut achi lines..
Applause Applause Applause
Aur Abhi bhai, yeh ishq fizaon main behta hai,
kabhi sanson main bas jaega, pata hi nahin chalega..!

Khush rahiye..
Logged
nirala
Guest
«Reply #8 on: December 23, 2010, 01:10:13 PM »
Reply with quote
aapka kalaam Behad umda
""
aaj bhi wafa hai zamaane me
shayad kuch kami thi mere aajmaane me
           wo wafa bhi kya wafa
           jise aazmaye ek bewafa
kuch to baat hai iss wafa me
   yun fir iski baate na hoti
""
thanx
""
Logged
dead heart
Guest
«Reply #9 on: December 23, 2010, 03:18:51 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut khubsoorat lines aur bahaut khoob lines.. Applause Applause
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #10 on: December 24, 2010, 07:01:19 AM »
Reply with quote
Teh dil se shukriya Mamta jee, Rajesh jee, KillBill jee, Rishi jee, Muzammil jee aur Abhi dost..


Abhi bhai bahaut achi lines..
Applause Applause Applause
Aur Abhi bhai, yeh ishq fizaon main behta hai,
kabhi sanson main bas jaega, pata hi nahin chalega..!

Khush rahiye..
Rahim bhai~

samjhana jara mushkil hai~


kai bar saaanse thaam leta hai koi meri
dushman to nahi koi fir sochta hun shayad ehsaas-e-Ishq hoga~
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: December 24, 2010, 09:31:48 AM »
Reply with quote
Hmm sahi kaha..
Bahaut khoob keh gaye ap..
Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:54:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer