-----/// Achcha lagaa ///-----

by ~Hriday~ on October 23, 2010, 08:31:31 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1307 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote

aaj fir ek arse ke baad raat ko jaagna achcha laga,
neend thi aankhon me par fir bhi jaagna achcha laga,

koi to hai jisne kaha ki kuch der aur ruk jaao tum,
uski baat sunke uske saath ruk jaana achcha laga,

kuch kehna tha use mujhse, kuch khaas hi tha shayad,
kehti rahi wo bahut kuch aur mujhe sunna achcha laga,

uski wo baatein, uski wo boli, uski wo pyaari awaaz,
kuch der theher ke mujhe usko samajhna achcha laga,

haan shaayad arse ke baad aisa hua ki kisi ne roka,
mujhe us pal us ehsaas ke saath ruk jaana achcha laga,

mujhe aaj ek baar fir raat ko der tak jaagna achcha laga,
kisi se baatein karna aur kisi ko sunte rehna achcha laga...


*****HRIDAY*****
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
achcha lagta hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Aag lagaa do.................. by Amit Janglan in Shayri for Khumar -e- Ishq
Na hota to achcha tha by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
toh nahin achcha...mann by mann.mann in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
-----/// Achcha lagaa /// ----- Hriday by ~Hriday~ in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Intezar
Guest
«Reply #1 on: October 23, 2010, 08:45:27 PM »
Reply with quote
bahut achha kapil bhai... bahut hi badhiya likha hai aapne...

ek galti mujhse hone jaa rahi hai main aapke naam ke aage bhai nahin laga paaya please dont mind...

Intezar !


na aadat tumhe bhi lag jaaye Kapil raaton ko jaagne ki
is raat ke andhere ne kayi logo ko barbaad kiya hai... !

in andheron mein hum jeete aaye hain ek umra se dost
humne to ise bhi apni roshni de kar aabaad kiya hai... !
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: October 23, 2010, 08:55:39 PM »
Reply with quote
Shukriya bhai.... bahut bahut shukriya.. koi baat nahi jaruri nahi har line me bhai likhna .. aapne jo likha hai jaisa likha hai dil se likha hai aur mujhe bahut pasand aaya .. bahut achcha likha hai...!!!
Logged
veenavarsha
Guest
«Reply #3 on: October 24, 2010, 01:43:49 AM »
Reply with quote
khubsurat palo se zindagi cahak jati hai
umango se man ki bagiya mahak jati hai
 didar  uska aur palke band ho jati hai
 band palko se chahat khoob nazar ati hai
Logged
poonam singh
Guest
«Reply #4 on: October 24, 2010, 07:02:03 AM »
Reply with quote
kisi bhi rachhna ki khashiyat uski saadgi me hoti hai.aapki shayari bhi bdi masoomiyat se jajbato ko byaan karti hai.buhat aacha likhte hai aap.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: October 24, 2010, 11:11:02 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Veena ji aur Poonam ji...!!!
Logged
dastegir
Guest
«Reply #6 on: October 26, 2010, 11:49:56 PM »
Reply with quote

aaj fir ek arse ke baad raat ko jaagna achcha laga,
neend thi aankhon me par fir bhi jaagna achcha laga,

koi to hai jisne kaha ki kuch der aur ruk jaao tum,
uski baat sunke uske saath ruk jaana achcha laga,

kuch kehna tha use mujhse, kuch khaas hi tha shayad,
kehti rahi wo bahut kuch aur mujhe sunna achcha laga,

uski wo baatein, uski wo boli, uski wo pyaari awaaz,
kuch der theher ke mujhe usko samajhna achcha laga,

haan shaayad arse ke baad aisa hua ki kisi ne roka,
mujhe us pal us ehsaas ke saath ruk jaana achcha laga,

mujhe aaj ek baar fir raat ko der tak jaagna achcha laga,
kisi se baatein karna aur kisi ko sunte rehna achcha laga...


*****HRIDAY*****

aaj fir ek arse ke baad raat ko jaagna achcha laga,
neend thi aankhon me par fir bhi jaagna achcha laga,

koi to hai jisne kaha ki kuch der aur ruk jaao tum,
uski baat sunke uske saath ruk jaana achcha laga,

kuch kehna tha use mujhse, kuch khaas hi tha shayad,
kehti rahi wo bahut kuch aur mujhe sunna achcha laga,

uski wo baatein, uski wo boli, uski wo pyaari awaaz,
kuch der theher ke mujhe usko samajhna achcha laga,

haan shaayad arse ke baad aisa hua ki kisi ne roka,
mujhe us pal us ehsaas ke saath ruk jaana achcha laga,

mujhe aaj ek baar fir raat ko der tak jaagna achcha laga,
kisi se baatein karna aur kisi ko sunte rehna achcha laga...


*****HRIDAY*****
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: October 27, 2010, 09:02:06 AM »
Reply with quote
Thanks...!!!


Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #8 on: October 27, 2010, 09:08:47 AM »
Reply with quote
bahut achha laga hame ye padhan ...

badi muhabbat se likha he ...

achha ek baat batao kapil ji ye har bar apki panktiyan mujhe mohabbat ki mari kyu lagti hain..

 
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: October 27, 2010, 09:15:31 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Abhi ji... 'mohabbat ki mari' se main aapka matlab nahi samjha...!!!

bahut achha laga hame ye padhan ...

badi muhabbat se likha he ...

achha ek baat batao kapil ji ye har bar apki panktiyan mujhe mohabbat ki mari kyu lagti hain..

 
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #10 on: October 27, 2010, 09:18:30 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Abhi ji... 'mohabbat ki mari' se main aapka matlab nahi samjha...!!!

shhh mujhe bate karne ke liye mana kiya hai...
so..

dil khushnuma hua man me fool khile duniya pyaari si lagne lagi
muhabbat ki maar ne "Abhi" tujhpar ye kaisa rang dala hai~
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: October 27, 2010, 09:20:18 AM »
Reply with quote
kisne mana kiya apko batein karne se?

Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #12 on: January 19, 2011, 08:57:32 PM »
Reply with quote

aaj fir ek arse ke baad raat ko jaagna achcha laga,
neend thi aankhon me par fir bhi jaagna achcha laga,

koi to hai jisne kaha ki kuch der aur ruk jaao tum,
uski baat sunke uske saath ruk jaana achcha laga,

kuch kehna tha use mujhse, kuch khaas hi tha shayad,
kehti rahi wo bahut kuch aur mujhe sunna achcha laga,

uski wo baatein, uski wo boli, uski wo pyaari awaaz,
kuch der theher ke mujhe usko samajhna achcha laga,

haan shaayad arse ke baad aisa hua ki kisi ne roka,
mujhe us pal us ehsaas ke saath ruk jaana achcha laga,

mujhe aaj ek baar fir raat ko der tak jaagna achcha laga,
kisi se baatein karna aur kisi ko sunte rehna achcha laga...


*****HRIDAY*****

bahut ache ji
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: April 30, 2011, 01:06:02 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya MB ji...!!!

bahut ache ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:26:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer