Adhuri Khueshien ( Qadeertoopchi )

by musaafirhon on September 16, 2009, 02:10:47 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 939 times)
musaafirhon
Guest
Reply with quote
Wo nazar aaj bhi mujhe dhonti hogi !!
Wo hont aaj bhi khuch kahene ko betab honge !!
Wo raaste aaj bhi mera intezaar karte honge !!
Wo galiyan wo nukkad mujhe yaad karte honge !!

Mai badnaseeb unhe chod aya !!
Maazi  se har rishta tood aya !!
Ye kyun howa , kab howa , kaise howa ,
Meri hasraton ka qoon kaise howa !!
Kaun hai iska gunha gaar ,
Mai hon ? ya waqath ? ya meri gurbath !!
Yehi sawal mai khud se aksar kiya karta hon !!
Jawab ka muntazir hon shayd isiliye jiya karta hon !!

Magar afsos ke aj tak koi jawab nahi mila !!
In ankhon ko fir wo haseen qaub nahi mila !!
Ab kissi se shikwa-shikayath kya karen !!
Haqeeqath yahi to haqeeqath se gila kya karen !!

Chalo jo howa acha howa !!
Maazi ki qurbani se mustaqbil to acha howa !!

Ab wo saari yaden , wo manzar !!
Dil ke pitare me qaid hain !!
Mai hon , meri tanha-e- hai !!
Aur mustaqbil-o-maazi ke khuch dhondle –dhondle se qaub bikhre pade hain,
Shayad inhe simetne me hi zindagi ki shaam ho jaye , aur in bechain ankhon ko kabhi na jaagne wali need me mubtila kar den !!

Qadeertoopchi
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #1 on: September 16, 2009, 09:01:09 PM »
Reply with quote
qadeer ji ek ek alfaz bahut bahut acha hai...bahut khoob likha hai..aur shukriya apne urdu k bhari alfaz zayada istemal nhi kiye..bahut bahu sunder aur bahut hi sulhi hui kavita hai... Applause  Applause  Applause  Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley
Logged
musaafirhon
Guest
«Reply #2 on: September 16, 2009, 10:19:51 PM »
Reply with quote
qadeer ji ek ek alfaz bahut bahut acha hai...bahut khoob likha hai..aur shukriya apne urdu k bhari alfaz zayada istemal nhi kiye..bahut bahu sunder aur bahut hi sulhi hui kavita hai... Applause  Applause  Applause  Clapping Smiley  Clapping Smiley  Clapping Smiley

nawazish karam ,, jo apne waqath diya aur himmat afza-e-ki ,, mashkoor hon janab .. allah tumhe khush rakhe !!

Qadeertoopchi
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #3 on: September 16, 2009, 10:22:37 PM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Qadeer ji,really touching n beautiful creation,excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
musaafirhon
Guest
«Reply #4 on: September 17, 2009, 02:21:01 AM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Qadeer ji,really touching n beautiful creation,excellent Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

shukriya madhu ji !!

Qadeertoopchi
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: September 19, 2009, 04:07:56 PM »
Reply with quote
BOhat khoob Mashallah,
Logged
toopchi
Guest
«Reply #6 on: January 11, 2010, 10:18:52 PM »
Reply with quote
BOhat khoob Mashallah,

karam nawazi ke liye mumno hun !!

qadeertoopchi
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:57:42 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer