ahad......sheba

by Sheba on August 06, 2011, 09:08:50 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1230 times)
Sheba
Guest
Reply with quote

                  dekho kaise logo.n ne mujhe badnaam kiya..,
                  khud ke ilm mein ek naik kaam kiya..,

                  ilzaam khoon ka mujh pe laga kar,
                  mazloomo.n ka yahaan qatl-e-aam kiya,

                 'hai mujh se mohabbat kya',iss sawaal pe,
                  dekho huzur ne subha se shaam kiya,

                  sakun-e-zindagi ko talaasho ge kahaan tum,
                  hai khushnseeb, gurbat mein jisne naam kiya,

                  zindagi tujh pe hi hoti hai khatam meri,
                  iss ahad pe sheba ne umr tamaam kiya.....!!!!!!!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ahad tera ustwaar nahiN hai by remzi in Ghazals
DE JAA. sheba by Sheba in Ghazals « 1 2 3  All »
woh..sheba by Sheba in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Na Ahad karo tum mujhse milne ka... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard
pal......sheba by Sheba in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: August 06, 2011, 09:14:20 PM »
Reply with quote
Shebaa Sahibaa Aadaab!

Janab behad khoob aur umdaa ashaar kaheN hai aapne.. Usual Smile
YouN to sabhi ashaar behad khoob rahe.. Usual Smile

humari dili daad O mubbarakbaad kabul kijiye.. Usual Smile

Aur haan umaar tamaam nahi kiya jaata " umar tamaam ki jaati
hai ..... Usual Smile

Likhate rahiye... Aati rahiye..
Khush O aabaad rahiye... Khuda Hafez Usual Smile          

Muddat baad kisi ka salaam aaya
Shayad galti se yeH mere naam aaya

Dilli masarrat huyi yeH jaan kar toH
Chalo banda kisi ke to kaam aaya

Kuch toH milaa jo un se hi daad miili
ParwaaZ kalaam ka kuch daam aayaa....
           
Logged
sbechain
Guest
«Reply #2 on: August 06, 2011, 09:23:01 PM »
Reply with quote
Shebaa Sahibaa Aadaab!

Janab behad khoob aur umdaa ashaar kaheN hai aapne.. Usual Smile
YouN to sabhi ashaar behad khoob rahe.. Usual Smile

humari dili daad O mubbarakbaad kabul kijiye.. Usual Smile

Aur haan umaar tamaam nahi kiya jaata " umar tamaam ki jaati
hai ..... Usual Smile

Likhate rahiye... Aati rahiye..
Khush O aabaad rahiye... Khuda Hafez Usual Smile         

parwaaz sahab shukriya..!

iss line mein ye baat asaani se nazar andaaz ki jasakti hai . ise major fault nahin kaha ja sakta meri samajh mein.

 aap ko ek baat bataa ti hoon. janab shakeel badayuni sahab ne chadovin ka chand film mein ek geet likha tha . chaudvee ka chaand ho ya aftaab ho....mujhe gana to yaad nahin lekin gesu ki jagah zulf ka istemaal kiya thaa jis pe unki tanqeed bahut hui thi . ab gesu aur zulf mein bahut farq hai.....aap shyad meri baat ko samajh gaye honge.

Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: August 06, 2011, 09:36:47 PM »
Reply with quote
Shebaa Sahibaa Aadab !

Janab aap ka sochna sahiN hai bus samjhne meiN shayad
aap galti khaa rahiN hai... Usual Smile

Hum aapko choti si misaal dete hai shayad aap samajh jaye.
ChuNke yeH dono bhi lafz aik hi mayne liye huye haiN par
inki adaaygi alag alag tarhaa se hoti haiN... Usual Smile
Yeh adaaygi kahaaN kaam aati hai.. Toh janab aik mukammal
gazal puri bher mein ho to hi mukammal hai ... aur sahiN
talaffus meiN aaye to hi uska sahiN mazaa hai.. Usual Smile
Waise to hume bher ka ilm nahi par adaaygi ki baat kaheN to
koi bhi common sense use kar sakta hai... Usual Smile

yahaaN aapne jo misaal di zulf = zul 2 n F 1 = 21 hai
Aur gesu = ge 1 n su 2 yaani yeH lafz= 12 meiN adaa hota hai..

Jis wajaaH se shayaroN ne aise lafoz ko janam diyaa... Usual Smile
Baat humari bher ki nahi chal rahi hai... sahiN adaaygi ki
chal rahi haiN jis meiN male and female voice wale lafzoN ki
adaygi ko samjhna zaruri hai.. Usual Smile
 
Ab dekhiye...

Zulf ... Ki adaaygi meiN " Teri zulfoN se "
Aur
Gesu .... Ki adaaygi meiN " tere gesuoN ki "

Simple hai but background banaana pada hume tongue3
Shayad aap samjhi ho .. Usual Smile

Gustaqui muaf janab.. gar galti huyi hai to Usual Smile

Logged
sbechain
Guest
«Reply #4 on: August 06, 2011, 09:41:01 PM »

bahr ki samajh to mujhe bilkul nahin hai.kai kai dafa main misre ko badalti hoon.per ho sakta hai aap thik ho kyon ki ghazal ki koi zayada malumaat nahin hai mujhe icon_scratch icon_scratch icon_scratch
Logged
sbechain
Guest
«Reply #5 on: August 06, 2011, 09:45:24 PM »
Reply with quote
Shebaa Sahibaa Aadaab!

Janab behad khoob aur umdaa ashaar kaheN hai aapne.. Usual Smile
YouN to sabhi ashaar behad khoob rahe.. Usual Smile

humari dili daad O mubbarakbaad kabul kijiye.. Usual Smile

Aur haan umaar tamaam nahi kiya jaata " umar tamaam ki jaati
hai ..... Usual Smile

Likhate rahiye... Aati rahiye..
Khush O aabaad rahiye... Khuda Hafez Usual Smile         

Muddat baad kisi ka salaam aaya
Shayad galti se yeH mere naam aaya

Dilli masarrat huyi yeH jaan kar toH
Chalo banda kisi ke to kaam aaya

Kuch toH milaa jo un se hi daad miili
ParwaaZ kalaam ka kuch daam aayaa....
           
bahut khoob
Logged
sarfira
Guest
«Reply #6 on: August 07, 2011, 05:51:52 AM »
Reply with quote
good one
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #7 on: August 07, 2011, 08:41:13 AM »
Reply with quote
Khoob Likha Hai Sheba Ji icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #8 on: August 07, 2011, 10:04:56 AM »
Reply with quote
bht bht khoob sheba ji.....
Sply last one....
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009

View Profile
«Reply #9 on: August 07, 2011, 11:24:32 AM »
Reply with quote

Sheba ji.....
Bahut Khoob... Usual Smile Usual Smile

Parwaz Sahab... aap bhi kamal ke hai.. Usual Smile Usual Smile

inn dono lafz ZULF n GESU se hum ne bhi bahut kuchh jaan liya..

shukriya.. Usual Smile

khush eahe aabbad rahe..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #10 on: August 07, 2011, 12:33:50 PM »
Reply with quote

                  dekho kaise logo.n ne mujhe badnaam kiya..,
                  khud ke ilm mein ek naik kaam kiya..,

                  ilzaam khoon ka mujh pe laga kar,
                  mazloomo.n ka yahaan qatl-e-aam kiya,

                'hai mujh se mohabbat kya',iss sawaal pe,
                  dekho huzur ne subha se shaam kiya,

                  sakun-e-zindagi ko talaasho ge kahaan tum,
                  hai khushnseeb, gurbat mein jisne naam kiya,

                  zindagi tujh pe hi hoti hai khatam meri,
                  iss ahad pe sheba ne umr tamaam kiya.....!!!!!!!!!!!

"Hai Mujh se Mohabbat Kya" iss sawaal pe,
Dekho Huzur Ne Subha Se Shaam Kiya

Sukoon-e-Zindagi Ko Talaashoge Kaha Tum
Hai Khushnaseeb, Gurbat Mein Jisne Naam Kiya"

Waah Waah Waah!!!!

Bahut Bahut Khoooooob Shebaji..Huemsha Ki tarah Lajawaab!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 09:33:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer