Aj hum apne hi ghar mehmaan ho gaye...premdeep

by premdeep on April 10, 2013, 08:34:41 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2242 times)
premdeep
Guest
Reply with quote
Pyaar wafa dil jazbat sab gum  ho   gaye
pholon ke sehar wale patthar dil ho gaye

humne to samjha tha sabko apne jaisa
na jaane yaar wo kab sangdil ho gaye

kisko patthar maroge makkah ke darbar mein
insaani cholon me ab shaitan ho gaye

humko na koi gila na shikwa hai kisi se
imaandar hi kab the jo beimaan ho gaye

In phattaron ki kahani bhi ajeeb hoti hai
bikate hi bazaar mein baghwaan ho gaye

yaad aati hai aksar to khidki se dekhta huN
Wo Pyaar ke sabhi mausam gumnaam ho gaye

Aksar is bheed mein khud ko tanha hai paya
jane pehchane sabhi chehre anjaan ho  gaye

desh bate dil bate bat gaye sab log
Aj hum apne hi ghar mehmaan ho gaye

kisko karein fariyaad kisko awaaj lagaye
desh ke gaddar hi  hukmraan    ho   gaye
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #1 on: April 11, 2013, 02:34:26 AM »
Reply with quote

So Nice.
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #2 on: April 12, 2013, 12:08:12 AM »
Reply with quote
Pyaar wafa dil jazbat sab gum  ho   gaye
pholon ke sehar wale patthar dil ho gaye

humne to samjha tha sabko apne jaisa
na jaane yaar wo kab sangdil ho gaye

kisko patthar maroge makkah ke darbar mein
insaani cholon me ab shaitan ho gaye

humko na koi gila na shikwa hai kisi se
imaandar hi kab the jo beimaan ho gaye

In phattaron ki kahani bhi ajeeb hoti hai
bikate hi bazaar mein baghwaan ho gaye

yaad aati hai aksar to khidki se dekhta huN
Wo Pyaar ke sabhi mausam gumnaam ho gaye

Aksar is bheed mein khud ko tanha hai paya
jane pehchane sabhi chehre anjaan ho  gaye

desh bate dil bate bat gaye sab log
Aj hum apne hi ghar mehmaan ho gaye

kisko karein fariyaad kisko awaaj lagaye
desh ke gaddar hi  hukmraan    ho   gaye



good composition nice thought very well spirit  ,sir
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:57:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.091 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer