Apne Dil Ki Baat Kisi Ko Kehna "Khwaish"

by khwaish on August 06, 2011, 02:08:48 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 6028 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
Imtehaan Lenge yahaan  Sabr kaa Duniyaa Waale!!!
Meri Aankhon kahin Aise Mein Chhalak Mat jaanaa.....
              ~~~~~Raahat Indori~~~~~


Insaan To Wahi Rehta Hai Kirdaar Badal Jaate Hai
Chalte-Chalte kabhi Yuhi Sarkaar Badal jaate Hai

 Apne Dil Ki Baat Kisi Ko kehna Bhi Jurm Hai...!!!
Pata Bhi Nahi Chalta  kab Apne Raazdar Badal Jaate Hai

Uski Berukhiyon Ko Bhi badi Izzat Se Nawaza Humne..!!
Yeh kaisi Mohabbat Jahan waffadaar Badal Jaate Hai

Khushiyan Baantni Ho To Jashn-e-Mehfile Maujood Hai!!!
Gham Baantne Ho To Iske  Hissedaar Badal jaate Hai

 Kadi Dhoop Mein Gar Ek Ped Bhi Mile To Uski Chaya Bahut Hai
par Waqt ke mutabik Apne Hi Tarafdaar Badal jaate Hai

Jinse Umeedein Jodi Thi humne Woh Ab Paas Dikhte Bhi Nahi!!
"Khwaish" Kadam Kadam Par Kya yahan Umeedwaar Badal Jaate Hai??

                 ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
sarfira
Guest
«Reply #1 on: August 06, 2011, 02:24:18 PM »
Reply with quote
baht khub aur sahi baate likhi aapne khuaish ji --

magar mujhe ye line-
! uski berukhiyon ko bhi badi izzat se nawaza humne..!!!

yahan ! uski ! ki jagah koi aur word use krte to acha lagta jese ki ! jinki ! ya ! jiski !
kyunki poore post me ye line hi kisi ek ko indicate karta hai !!!
anyway ye to Sarfire ki own thnkin hai--

aapke iss hakikat bhare post ko hazaron daad
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: August 06, 2011, 02:46:40 PM »
Reply with quote
Khawahish Jee Aadaab!

Waah janab kia gazab ke ahsaas O khayaal kaheN hai
Aapne... sabhi ashaar aik se badh kar aik lage hume

Behad khoob aur behad umdaa ashaar kaheN hai janab
puri kalaam hi daad ke kabil hai... Usual Smile
Humari dheroN daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

Aur in ashaaroN ka kia kaheN Usual Smile


Apne Dil Ki Baat Kisi Ko kehna Bhi Jurm Hai...!!!
Pata Bhi Nahi Chalta  kab Apne Raazdar Badal Jaate Hai

Khushiyan Baantni Ho To Jashn-e-Mehfile Maujood Hai!!!
Gham Baantne Ho To Iske  Hissedaar Badal jaate Hai

Applause Applause Applause         



Aur Maqta bhi behad laa jawaab kaha hai janab bahut
umdaa aur behad pukhta khayaal bayaaN kiya hai daad Usual Smile

Aise hi khub O khub kalaam kahte rahiye... Usual Smile
Bazm ko roshan karte rahiye... Usual Smile

Khush O aabaad rahiye... Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile
         

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: August 06, 2011, 02:54:35 PM »
Reply with quote
baht khub aur sahi baate likhi aapne khuaish ji --

magar mujhe ye line-
! uski berukhiyon ko bhi badi izzat se nawaza humne..!!!

yahan ! uski ! ki jagah koi aur word use krte to acha lagta jese ki ! jinki ! ya ! jiski !
kyunki poore post me ye line hi kisi ek ko indicate karta hai !!!
anyway ye to Sarfire ki own thnkin hai--

aapke iss hakikat bhare post ko hazaron daad

S.f Ji, Aapka Bahut Bahut Shukriya Jo Aapne Apna Waqt Diya..

Aur S.f ji, pehle Sher Mein Hi maine Kisi Ek Shaks Ko Indicate Kiya Hai,

"Chalte-Chalte Kabhi Yuhi Sarkaar badal jaate Hai" Yahan Sarkaar kisi Shaks Ko Hi indicate Kiya Gaya Hai Naa Ki kisi Government Ko..
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #4 on: August 06, 2011, 03:16:26 PM »
Reply with quote
Waaaaaaaaaaah Waaaaaaaaaaaaah Khwaish Ji Applause Applause

Bahut Khoob ,Bahut Umda

 love9 love9 love9
Dil Se Daad
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #5 on: August 06, 2011, 04:14:49 PM »
Reply with quote
bht bht khoob khwaish ji....
Sply 1st and last one....
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #6 on: August 06, 2011, 04:51:47 PM »
Reply with quote
boht khoob khawaish ji
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: August 06, 2011, 05:21:06 PM »
Reply with quote
Khawahish Jee Aadaab!

Waah janab kia gazab ke ahsaas O khayaal kaheN hai
Aapne... sabhi ashaar aik se badh kar aik lage hume

Behad khoob aur behad umdaa ashaar kaheN hai janab
puri kalaam hi daad ke kabil hai... Usual Smile
Humari dheroN daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile

Aur in ashaaroN ka kia kaheN Usual Smile


Apne Dil Ki Baat Kisi Ko kehna Bhi Jurm Hai...!!!
Pata Bhi Nahi Chalta  kab Apne Raazdar Badal Jaate Hai

Khushiyan Baantni Ho To Jashn-e-Mehfile Maujood Hai!!!
Gham Baantne Ho To Iske  Hissedaar Badal jaate Hai

Applause Applause Applause         



Aur Maqta bhi behad laa jawaab kaha hai janab bahut
umdaa aur behad pukhta khayaal bayaaN kiya hai daad Usual Smile

Aise hi khub O khub kalaam kahte rahiye... Usual Smile
Bazm ko roshan karte rahiye... Usual Smile

Khush O aabaad rahiye... Usual Smile
Khuda Hafez Usual Smile
         



Parwaaz ji Aapka Bahut bahut Aur bahut Shukriya Bhai..

Aapke Comments Se yakeen Maniye Bhaut Khushi Hoti Hai..

Yuhi saath Dete Rahiyega.. icon_flower icon_flower
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #8 on: August 06, 2011, 05:25:28 PM »
Reply with quote
Bhai Is Lajawab Rachna Ke Liye Dheron Daaaaaaad......... Gazab Ke Jazzbaat.. Aur Behtreen Alfaaz..!!! ek Umda Peshkash Hai Bhai.. Dil se Dheron Daaaaaaaaad ek Baar Phir.. Applause Applause Applause Applause




**~** Mann **~**
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #9 on: August 06, 2011, 05:30:21 PM »
Reply with quote
Bahut vadiya likheya hai khwaish ji bahut khoob...
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #10 on: August 06, 2011, 06:54:53 PM »
Reply with quote

 Applause Applause Applause Applause Applause

Waaaaahhhh...!!! Waaaahhh...!!

Bahut khoob............. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Dil se daad kabul kare khwaish ji.....
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: August 08, 2011, 05:05:56 AM »
Reply with quote
Kya baat hai dost..
Dil ko choo gayi yeh nazm apki..

'Ghum bantne ho toh iske hissedar badal jate hai..
Bahaut bahaut khoob likha hai apne..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #12 on: August 08, 2011, 05:33:19 AM »
Reply with quote

Waah waah khwaish ji bahut khoob
dili daad qubool karen...Raqeeb
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #13 on: August 08, 2011, 09:58:21 AM »
Reply with quote
Imtehaan Lenge yahaan  Sabr kaa Duniyaa Waale!!!
Meri Aankhon kahin Aise Mein Chhalak Mat jaanaa.....
              ~~~~~Raahat Indori~~~~~


Insaan To Wahi Rehta Hai Kirdaar Badal Jaate Hai
Chalte-Chalte kabhi Yuhi Sarkaar Badal jaate Hai

 Apne Dil Ki Baat Kisi Ko kehna Bhi Jurm Hai...!!!
Pata Bhi Nahi Chalta  kab Apne Raazdar Badal Jaate Hai

Uski Berukhiyon Ko Bhi badi Izzat Se Nawaza Humne..!!
Yeh kaisi Mohabbat Jahan waffadaar Badal Jaate Hai

Khushiyan Baantni Ho To Jashn-e-Mehfile Maujood Hai!!!
Gham Baantne Ho To Iske  Hissedaar Badal jaate Hai

 Kadi Dhoop Mein Gar Ek Ped Bhi Mile To Uski Chaya Bahut Hai
par Waqt ke mutabik Apne Hi Tarafdaar Badal jaate Hai

Jinse Umeedein Jodi Thi humne Woh Ab Paas Dikhte Bhi Nahi!!
"Khwaish" Kadam Kadam Par Kya yahan Umeedwaar Badal Jaate Hai??

                 ~~~~~Khwaish~~~~~








waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
Applause Applause Applause Applause
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #14 on: August 08, 2011, 01:19:59 PM »
Reply with quote
bahut sunder rachna khwaishji.
daad kubool kijiye,

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Imtehaan Lenge yahaan  Sabr kaa Duniyaa Waale!!!
Meri Aankhon kahin Aise Mein Chhalak Mat jaanaa.....
              ~~~~~Raahat Indori~~~~~


Insaan To Wahi Rehta Hai Kirdaar Badal Jaate Hai
Chalte-Chalte kabhi Yuhi Sarkaar Badal jaate Hai

 Apne Dil Ki Baat Kisi Ko kehna Bhi Jurm Hai...!!!
Pata Bhi Nahi Chalta  kab Apne Raazdar Badal Jaate Hai

Uski Berukhiyon Ko Bhi badi Izzat Se Nawaza Humne..!!
Yeh kaisi Mohabbat Jahan waffadaar Badal Jaate Hai

Khushiyan Baantni Ho To Jashn-e-Mehfile Maujood Hai!!!
Gham Baantne Ho To Iske  Hissedaar Badal jaate Hai

 Kadi Dhoop Mein Gar Ek Ped Bhi Mile To Uski Chaya Bahut Hai
par Waqt ke mutabik Apne Hi Tarafdaar Badal jaate Hai

Jinse Umeedein Jodi Thi humne Woh Ab Paas Dikhte Bhi Nahi!!
"Khwaish" Kadam Kadam Par Kya yahan Umeedwaar Badal Jaate Hai??

                 ~~~~~Khwaish~~~~~

Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:40:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.157 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer