Aye Maa, Laut Aa,.

by Jaanasheen on March 01, 2010, 12:57:23 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 12891 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
As Salaam Walaikum, Doston, Maa Wo Cheez Hai Jiski Kami Duniya Ka Koi Bhi Insaan Puri Nahi Karta, Na Koi Daulat SE Uski Mamta Khareedi Jaa Sakti Hai,.

Maine, Apni Dost Apni Behan Ke Dil Ke Haalat Ko Samjha, Unke Dard Ko Apne Andar Mehsoos Kiya,.
Aur Maa Ki Judaai Main Jaanta Hoon, Kyun Ki Main Apni Maa Ke Bagair Reh Nahi Sakta,.

Rabul Aalameen, Meri Ammi KO Sehat Bakshe Unka Saaya Mujhpe Banaaye Rakhe Aameen,.

Aur Rab Sab Ki Maaon Ka Saaya Unke Bachchon Pe Banaaye Rakhe, Aur Jinki Maayein Allah Ko Pyaari Ho gayi Hain, Un Bachchon KO Wo Apni Nazar Mein Rakhe,.

Aameen,.



Aye Maa Teri Yaad Bohat Aati Hai Hume,.
Ab To Teri Duaaein Hi Bachaati Hain Hume,.
Apne Kadmon Ki Hume Jannat De De,.
Seene Se Lagaake Is Dil Ko Raahat De De,.

Hum Sab KO Akela Tu Kyun Chord Gayi,.
Apne Bachchon Ka Dil Kyun Tord Gayi,.
Aa Maa Hum Sab Ko Wo Chahat De de,.
Seene Se Lagaake Is Dil Ko Raahat De De,.

Aye Maa Teri Judaai, Ab Aksar Rulaayegi,.
Tera Gussa Karna, Teri Wo Baatein Ab Sataayegi,.
Aye Maa Hume Apni Mamta Ki Daulat De De,.
Seene Se Lagaake Is Dil Ko Raahat De De,.

Ab Saaya Kaun Sa Tehrega Sar Pe,.
Kaise Aayegi Ab Raunakh Ghar Pe,.
Aye Maa, Aa Hume Jeene Ki Hasrat De De,.
Seene Se Lagaake Is Dil Ko Raahat De De,.

-Azeem-

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
--- Woh laut ayi ----- by BeNam in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 5 »
Laut Ke Aa Jao by angel4u in Shayri-E-Dard
*****laut aa***** by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri
laut aao by shivani(9899207979) in SMS , mobile & JOKES
Wo laut aya! by salma786 in Shayri-E-Dard
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: March 01, 2010, 01:13:26 PM »
Reply with quote
Sayad Maa Sabd Mea Itna zor hai jo saare sabdko ko apni aagosh mea samete hua hai...

Tumari yea Racha bahoot bahoot Sarahaniye hai... aur tumne apne bhavo ko bakoobi byaan kiya hai. bahoot bahoot umda ! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #2 on: March 01, 2010, 06:33:03 PM »
Reply with quote
Sach mein maa ki jagah koi nhi le sakta...maa khuda ka diya sab se anmol tohfa hai aur jo log iss tohfe ki kadar nhi karte vo iss duniya k sabse gareeb logo mein se hain...main apni maa se dil-o-jaan se pyar karti hu aur kabhi nhi chahti ki unhe koi dukh pahuche vo sada muskurati rahe aaj tak unhone merre liye bahut si duaye mangi hai..per aaj khuda se sir jhuka k main apni maa k liye lambi umar ki dua mangti hu...thnx azeem ji for a luvly post... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #3 on: March 01, 2010, 06:45:37 PM »
Reply with quote
WAAH AZEEM JI ,MAAN KE BAARE MEIN TO JITNA LIKHO KAM HAIN.
FIR BHI AAPNE BAHUT KAM ALFAZON MEIN KAFI KUCH KEH DIYA.
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: March 01, 2010, 06:56:36 PM »
Reply with quote
As Salaam Walaikum, Doston, Maa Wo Cheez Hai Jiski Kami Duniya Ka Koi Bhi Insaan Puri Nahi Karta, Na Koi Daulat SE Uski Mamta Khareedi Jaa Sakti Hai,.

Maine, Apni Dost Apni Behan Ke Dil Ke Haalat Ko Samjha, Unke Dard Ko Apne Andar Mehsoos Kiya,.
Aur Maa Ki Judaai Main Jaanta Hoon, Kyun Ki Main Apni Maa Ke Bagair Reh Nahi Sakta,.

Rabul Aalameen, Meri Ammi KO Sehat Bakshe Unka Saaya Mujhpe Banaaye Rakhe Aameen,.

Aur Rab Sab Ki Maaon Ka Saaya Unke Bachchon Pe Banaaye Rakhe, Aur Jinki Maayein Allah Ko Pyaari Ho gayi Hain, Un Bachchon KO Wo Apni Nazar Mein Rakhe,.

Aameen,.



Aye Maa Teri Yaad Bohat Aati Hai Hume,.
Ab To Teri Duaaein Hi Bachaati Hain Hume,.
Apne Kadmon Ki Hume Jannat De De,.
Seene Se Lagaake Is Dil Ko Raahat De De,.

Hum Sab KO Akela Tu Kyun Chord Gayi,.
Apne Bachchon Ka Dil Kyun Tord Gayi,.
Aa Maa Hum Sab Ko Wo Chahat De de,.
Seene Se Lagaake Is Dil Ko Raahat De De,.

Aye Maa Teri Judaai, Ab Aksar Rulaayegi,.
Tera Gussa Karna, Teri Wo Baatein Ab Sataayegi,.
Aye Maa Hume Apni Mamta Ki Daulat De De,.
Seene Se Lagaake Is Dil Ko Raahat De De,.

Ab Saaya Kaun Sa Tehrega Sar Pe,.
Kaise Aayegi Ab Raunakh Ghar Pe,.
Aye Maa, Aa Hume Jeene Ki Hasrat De De,.
Seene Se Lagaake Is Dil Ko Raahat De De,.

-Azeem-



Thank You so much Azeem...I am unable to express in words....Allah sab bachon ke sar par unke Maa Baap ka saaya humesha qaaim rakeh......

Bohot bohot shukriya mere bhai.....
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: March 01, 2010, 07:00:36 PM »
Reply with quote
Applause Applause Bahaut khoob!!!
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: March 02, 2010, 01:23:46 AM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob Azeem bhai.
Logged
aazeem
Guest
«Reply #7 on: March 02, 2010, 06:29:25 AM »
Reply with quote
azeem ! sach kaha tum ne maa ek aisi cheez hai jiski kami koi puri nahi kar sakta our mai ye achchi tarah janti hu kyou ki meri maa nahi hai unke inteqal ko 3 saal ho gaye our tumhari bate sun ke mujhe rona aa gaya waise tum bahut khush nasib ho ke tumhari maa tumhare paas hai unki izzat karo unse payar lo.mere paas maa nahi hai to keya hua dady to hai our waese bhi mai bahut strong hu bas jab ammi ki yaad aati hai to akele me ro leti hu.apni maa ko hamusha khush rakhna. tearyeyed tearyeyed
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #8 on: March 02, 2010, 06:50:22 AM »
Reply with quote
Wah Bahut Khoooooooob Azeem Bhai.. Waqai Doston.. Duniya Me Insaan sab Kuch Khareed Sakta Hai.. Basssssss Maa-Baap Nahi.. Bahut Khushnaseeb Hote Hain wo Log. Jinke Sar Par Maa-Baap Ke Aashirwaad Ka Haath hota Hai..  Applause Applause

Is Duniya Me Maa Lafz Se Bada Koi Lafz Nahi.. Bahut Khoooooooob Dost..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



**~** Mann **~**
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #9 on: March 02, 2010, 09:37:35 AM »
Reply with quote
Bahut achhi nazm likhi hai Azeem Bhai. Maa ko apni aulaad se jitni muhabbat hoti hai, kisi ko kisi ko kisi se nahi hoti. Maa-baap ki jitni sewa kar li jaaye kam hai.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: March 02, 2010, 11:38:44 AM »
Reply with quote
Sayad Maa Sabd Mea Itna zor hai jo saare sabdko ko apni aagosh mea samete hua hai...

Tumari yea Racha bahoot bahoot Sarahaniye hai... aur tumne apne bhavo ko bakoobi byaan kiya hai. bahoot bahoot umda ! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Shukriya Divya,.
Bas Duaa Karein Rab Maa baap Ka Saaya Sab Pe Banaaye Rakhein Aameen,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: March 02, 2010, 11:40:14 AM »
Reply with quote
Sach mein maa ki jagah koi nhi le sakta...maa khuda ka diya sab se anmol tohfa hai aur jo log iss tohfe ki kadar nhi karte vo iss duniya k sabse gareeb logo mein se hain...main apni maa se dil-o-jaan se pyar karti hu aur kabhi nhi chahti ki unhe koi dukh pahuche vo sada muskurati rahe aaj tak unhone merre liye bahut si duaye mangi hai..per aaj khuda se sir jhuka k main apni maa k liye lambi umar ki dua mangti hu...thnx azeem ji for a luvly post... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Aameen,.

Shukriya Broken Love Ji,.
Waqt Dene Ke :Liye,./
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: March 02, 2010, 11:44:39 AM »
Reply with quote
WAAH AZEEM JI ,MAAN KE BAARE MEIN TO JITNA LIKHO KAM HAIN.
FIR BHI AAPNE BAHUT KAM ALFAZON MEIN KAFI KUCH KEH DIYA.

Shukriya Suresh Ji,.

Bahut Khub Azeem Bhai...

Shukriya Majid Bhai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: March 02, 2010, 11:46:46 AM »
Reply with quote
Thank You so much Azeem...I am unable to express in words....Allah sab bachon ke sar par unke Maa Baap ka saaya humesha qaaim rakeh......

Bohot bohot shukriya mere bhai.....

Aameen,.

Pehli Baar Bhai Kaha Aapne,.
Bohat Khushi Hui,.

May Allah Bless You Sis,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: March 02, 2010, 11:51:10 AM »
Reply with quote
Applause Applause Bahaut khoob!!!

Shukriya Rahim Bhai,.
Bahut bahut khoob Azeem bhai.

Shumriya Madhuwesh Sis,.
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:08:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer