BaatoN baatoN me ...............Mamta Bajpai

by mamta bajpai on February 04, 2012, 01:46:54 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1122 times)
mamta bajpai
Guest
Reply with quote
BaatoN baatoN me zikra aayaa thaa
yuN teree yaad ne rulaayaa thaa

kuchh kamee see thee tere jalwoN me
yaa nigaahoN ne dhokaa khaayaa thaa

shaq thaa tujhko meri wafaaoN pe
yaa mujhe yuN hee aazamaayaa thaa

kuchh nahee aur jal ke khaaq hue
peechhaa saaye se yuN chhuRaayaa thaa

baarhaa zakhm mere khulte rahe
teree hasrat ne sar uthaayaa thaa

Mamta Bajpai
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: February 04, 2012, 02:09:34 PM »
Reply with quote

Mamata Ji,

Bahut dinon ke baad yo par aapki ghazal
padhee achchha laga.

Khoobsoorat matla aur ashaar waah waah...

baatoN baatoN meN zikra aayaa tha
fir teree yaad ne rulaaya tha.....kya kahne

Dili mubaarakbaad qubool farmaayen.

Satish Shukla 'Raqeeb'
 
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #2 on: February 05, 2012, 03:37:27 AM »
Reply with quote
Wah wah Mamta ji bahot khubsurat ghazal apne kahi hai. Har sher mukammal, munfarid aur muassar hai. Daad pesh karta hun.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: February 05, 2012, 04:02:05 AM »
Reply with quote
Bahut umdaa ghazal se bazm ko nwaazaa hai badhai ho
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #4 on: February 05, 2012, 08:42:45 AM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob mamtaji..

Humesha Ki Tarah La-Jawaab!!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khujli
Guest
«Reply #5 on: February 05, 2012, 08:46:27 AM »
Reply with quote
BaatoN baatoN me zikra aayaa thaa
yuN teree yaad ne rulaayaa thaa

kuchh kamee see thee tere jalwoN me
yaa nigaahoN ne dhokaa khaayaa thaa

shaq thaa tujhko meri wafaaoN pe
yaa mujhe yuN hee aazamaayaa thaa

kuchh nahee aur jal ke khaaq hue
peechhaa saaye se yuN chhuRaayaa thaa

baarhaa zakhm mere khulte rahe
teree hasrat ne sar uthaayaa thaa

Mamta Bajpai



 Applause Applause Applause Applause Applause Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #6 on: February 05, 2012, 08:48:29 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob mamta ji.... Usual Smile Usual Smile

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #7 on: February 05, 2012, 11:18:03 AM »
Reply with quote
Mamtaa jee aadaab!

waah jee waah kia kahne behad khoob aur umda gazal
kahi hai aapne... Usual Smile

matla toh masha Allaah behad khoob aur umdaa raha...
waise puri kalaam hi kabil e daad hai... Usual Smile

humari dili daad o mubarakbad kabul kijiye...Usual Smile

likhte rahiye, aate rahiye...
khush o aabaad rahiye...
khuda hafez... Usual Smile
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #8 on: February 06, 2012, 01:47:24 PM »
Reply with quote
Mamtaji. Bahut khubsurat ghazal inayat ki hai.Dheron daad.
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #9 on: February 10, 2012, 04:44:58 PM »
Reply with quote
BaatoN baatoN me zikra aayaa thaa
yuN teree yaad ne rulaayaa thaa

kuchh kamee see thee tere jalwoN me
yaa nigaahoN ne dhokaa khaayaa thaa

shaq thaa tujhko meri wafaaoN pe
yaa mujhe yuN hee aazamaayaa thaa

kuchh nahee aur jal ke khaaq hue
peechhaa saaye se yuN chhuRaayaa thaa

baarhaa zakhm mere khulte rahe
teree hasrat ne sar uthaayaa thaa

Mamta Bajpai



NAAICE MB

 Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:53:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer