----- /// Bachpan ka pyaar /// -----

by klaskar on September 05, 2010, 06:45:50 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 9259 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
Reply with quote
Kabhi kabhi humein hamaare bachpan ke din bahut yaad aate hain. Koi aisa dost raha ho bachpan me jiske saath har waqt khelte the, ghumte the, school me saath jaate the. Chhuttiyon ke din bhi usi ke saath. Jiske hone k kaaran school jaana bahut achcha lagta tha. Ek aise hi dost ke baare me soch ke kuch likha....]

mujhe aaj bhi wo bachpan ka pyaar yaad aata hai,
kitaab ke panno me kisi ka chehra nazar aata hai,

wo maasum si muskaan, wo aakhon ka chamakta paani,
aaj bhi un aankhon ka jhilmilaana yaad aata hai,

wo kaagaz ki kashti, wo baarish ka behta paani,
behte paani me kashti ka beh jaana yaad aata hai,

haan mujhe mere saathi ka chehra nazar aata hai,
aaj bhi mujhe mere bachpan ka pyaar yaad aata hai,

gudde gudiyon ka khel, wo unka khel me vyah rachana,
saari ke tukdon se unke kapde banana yaad aata hai,

wo khilaune bachpan ke, wo kahaani bachpan ke,
un khilauno se khel ke din bitaana yaad aata hai,

khaake thokar agar main girta, uska aake mujhe uthaana,
mere aansuon pe uska tadapna mujhe aaj bhi yaad aata hai,

wo maasum sa chehra, wo aankhon se behta paani,
uske rooth jaane pe mera wo manaana yaad aata hai,

behte paani me kashti ka beh jaana yaad aata haii...

*****HRIDAY*****
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Wo Pyaar Poorana Bachpan ka,.. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Bachpan Ke Din..... by urooj_love in Shayri-E-Dard
BACHPAN by NETRAPAL in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
bachpan by panchi1983 in Shairi - E - Zindagi
bachpan ke din (yaden bachpan ki) by Rahi2001 in Shairi for Manzar -e- Kudrat
dead heart
Guest
«Reply #1 on: September 05, 2010, 08:21:12 AM »
Reply with quote
 tearyeyed tearyeyed Meri ankhein aisi hi hogayi hai apki yeh kavita parr kar dost..bahaut khubsoorati se likha hai..mujhe emotional kardia..ehsaas aur jazbaat beh rahe hai apki iss kavita main..bahaut bahaut khoob..
Apki yeh kavita parr kar yeh soch raha tha kay itni khubsoorat kavita se kitna zada khubsoorat woh shaks hoga jiski yaad main likhi gayi..!
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kuch yun aya kay palkein bhigo gaya,
Jhonka tere khayal ka itna shadid tha..!
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010

View Profile
«Reply #2 on: September 05, 2010, 06:26:03 PM »
Reply with quote

nice one
Kabhi kabhi humein hamaare bachpan ke din bahut yaad aate hain. Koi aisa dost raha ho bachpan me jiske saath har waqt khelte the, ghumte the, school me saath jaate the. Chhuttiyon ke din bhi usi ke saath. Jiske hone k kaaran school jaana bahut achcha lagta tha. Ek aise hi dost ke baare me soch ke kuch likha....]

mujhe aaj bhi wo bachpan ka pyaar yaad aata hai,
kitaab ke panno me kisi ka chehra nazar aata hai,

wo maasum si muskaan, wo aakhon ka chamakta paani,
aaj bhi un aankhon ka jhilmilaana yaad aata hai,

wo kaagaz ki kashti, wo baarish ka behta paani,
behte paani me kashti ka beh jaana yaad aata hai,

haan mujhe mere saathi ka chehra nazar aata hai,
aaj bhi mujhe mere bachpan ka pyaar yaad aata hai,

gudde gudiyon ka khel, wo unka khel me vyah rachana,
saari ke tukdon se unke kapde banana yaad aata hai,

wo khilaune bachpan ke, wo kahaani bachpan ke,
un khilauno se khel ke din bitaana yaad aata hai,

khaake thokar agar main girta, uska aake mujhe uthaana,
mere aansuon pe uska tadapna mujhe aaj bhi yaad aata hai,

wo maasum sa chehra, wo aankhon se behta paani,
uske rooth jaane pe mera wo manaana yaad aata hai,

wo kaagaz ki kashti, wo baarish ka behta paani,
behte paani me kashti ka beh jaana yaad aata haii...

*****HRIDAY*****
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010

View Profile
«Reply #3 on: September 05, 2010, 07:00:37 PM »
Reply with quote
sad11 sad11 sad11

miss u re......
bht jyadaa

thnx kapil....kuch purani yaadein fir se roshan hogai dimag k kaarkahne me...
na jane kya kya ruup lengi ab....

thnx for this lovely poem......
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #4 on: September 05, 2010, 09:27:40 PM »
Reply with quote
klaskar saheb ek umda khakaa khinchaa hai aap ne bachpan ka aur sath hi sath bachpan ka pyar bhi,iss behetreen paish kash pe daad....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #5 on: September 06, 2010, 07:06:05 AM »
Reply with quote
main aapk tahe dil se shukriya adaa karta hoon Rahim bhai... bahut achcha laga jaanke ki aapko pasand aaya ... aur aapne bahut achcha likha hai...!!!

tearyeyed tearyeyed Meri ankhein aisi hi hogayi hai apki yeh kavita parr kar dost..bahaut khubsoorati se likha hai..mujhe emotional kardia..ehsaas aur jazbaat beh rahe hai apki iss kavita main..bahaut bahaut khoob..
Apki yeh kavita parr kar yeh soch raha tha kay itni khubsoorat kavita se kitna zada khubsoorat woh shaks hoga jiski yaad main likhi gayi..!
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Kuch yun aya kay palkein bhigo gaya,
Jhonka tere khayal ka itna shadid tha..!

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #6 on: September 06, 2010, 07:09:01 AM »
Reply with quote
thank you

nice one
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #7 on: September 06, 2010, 06:07:32 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Kasajk ji... !!!

sad11 sad11 sad11

miss u re......
bht jyadaa

thnx kapil....kuch purani yaadein fir se roshan hogai dimag k kaarkahne me...
na jane kya kya ruup lengi ab....

thnx for this lovely poem......
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #8 on: September 06, 2010, 06:07:55 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Nazar ji...!!!

klaskar saheb ek umda khakaa khinchaa hai aap ne bachpan ka aur sath hi sath bachpan ka pyar bhi,iss behetreen paish kash pe daad....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010

View Profile WWW
«Reply #9 on: September 06, 2010, 06:08:38 PM »
Reply with quote
poori kavita kuch is tarha hai...

mujhe aaj bhi wo bachpan ka pyaar yaad aata hai,
kitaab ke panno me kisi ka chehra nazar aata hai,

wo maasum si muskaan, wo aakhon ka chamakta paani,
aaj bhi un aankhon ka jhilmilaana yaad aata hai,

wo kaagaz ki kashti, wo baarish ka behta paani,
behte paani me kashti ka beh jaana yaad aata hai,

haan mujhe mere saathi ka chehra nazar aata hai,
aaj bhi mujhe mere bachpan ka pyaar yaad aata hai,

gudde gudiyon ka khel, wo unka khel me vyah rachana,
saari ke tukdon se unke kapde banana yaad aata hai,

wo khilaune bachpan ke, wo kahaani bachpan ke,
un khilauno se khel ke din bitaana yaad aata hai,

khaake thokar agar main girta, uska aake mujhe uthaana,
mere aansuon pe uska tadapna mujhe aaj bhi yaad aata hai,

wo maasum sa chehra, wo aankhon se behta paani,
uske rooth jaane pe mera wo manaana yaad aata hai,

kabhi uske ghar jaana, kabhi uska mere ghar aana,
ghanto ek dusre ke saath khilkhilaana yaad aata hai,

maa se kehke pasand ke uske kuch banaana, saath khaana,
wo ek dusre se apni har pasand bataana yaad aata hai,

haathon pe banaate dolar aur jolly, wo statue kehna,
pyaar se ek dusre se baatein karna yaad aata hai,

wo bachpan ka pyaar mujhe aaj bhi yaad aata hai,
mere saathi ka chehra mujhe ab bhi nazar aata hai,

wo gungunaana , wo gaane gana saath milke,
wo saath uske school jaana yaad aata hai,

tiffin me laana pasand ki cheezen roz badalke,
aur unhe baantke school me khaana yaad aata hai,

pyaar se uske mere gaalon pe haath rakhna,
chere se mere baalon ko hataana yaad aata hai,

aaj bhi mujhe wo guzra zamaana yaad aata hai,
mere bachpan ke dost ka muskuraana yaad aata hai,

wo kaagaz ki kashti, wo baarish ka behta paani,
behte paani me kashti ka beh jaana yaad aata hai,

haan mujhe mere saathi ka chehra nazar aata hai,
aaj bhi mujhe mere bachpan ka pyaar yaad aata hai...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 07:08:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer