**Bahaut mohobat ki hai maine tumse** by Rahim

by dead heart on March 23, 2010, 09:23:44 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4131 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Bahaut baar zindagi main, hum kisi ko pake nahin pate...woh saath hoke bhi humare saath nahin hota..Kya aisi situation main, koi khush rehve ya udaas, main nahin janta mager ek baat kehna chahta hoon...dukh bahaut hota hai...Aise hi ek shaks se main yeh saab kehna chahta hoon...
Umeed hai pasand ayegi...

Bahaut mohobat ki hai maine tumse,
Meri har sans main tum hi tum baste ho,
Mere har khayal main tum hi tum samate ho,
Saath hoke bhi tum saath nahin ho mager yaad rakhna,
Bahaut mohobat ki hai maine tumse…

Kahin bhi jaoun; meri nigah ko tum hi tum nazar ate ho,
Mere har ehsaas ki wajah sirf tum hi banjate ho,
Mere har khwab ko sajane bas tum hi chale ate ho,
Pake na paya ‘Rahim’ ne tumko mager yaad rakhna,
Bahaut mohobat ki hai maine tumse…

Ek daur tha zindagi main jab tum sapnon main bhi; haqeeqat main bhi saath thi,
Har ehsaas main; har jazbat main mere saath thi,
Sach bataun toh wohi daur main meri zindagi main waqei zindagi thi,
Apna bana kar apna bana na paya mager yaad rakhna,
Bahaut mohobat ki hai maine tumse…

Aj bhi unn baaton ko; lamhon ko yaad kar rona ata hai,
Jaise mera rom rom unn yaadon main gum sa gaya hai,
Tumne bhale bhula dia mujhe mager ‘Rahim’ aj bhi tumhari yaad main ashk bahata hai,
Sabse paas aa kar bhi tum ek na hui mujse mager yaad rakhna,
Bahaut mohobat ki hai maine tumse…

Afsos iss baat ka rahega ke tum jaise shaks ko paa na saka yeh badnaseeb,
Mager khushi iss baat ki hai ke Khuda ne tumhare liye koi behtar shaks chuna hai,
Aur ager agey zindagi main kabhi tanhai mehsoos ho tumhe,
Ager kabhi tumhe dhoor dhoor tak koi apna nazar na aye,
Toh hamesha yeh baat iss nadan ashiq ki yaad rakhna,
Ke dhoor tumhare mager sabse kareeb uske tum ho,
Aisa bhi ek shaks hai jo apni zindagi haste haste tumhe de sakta hai,
Aisa bhi ek tumhara ashiq hai jo khud se zada tumhe chahta hai,
Aisa bhi ek dildar hai tumhara jo khud ke liye mange na mange; tumhare liye khushi zaroor mangta hai,
Aisa bhi ek dost hai tumhara jo khud toh ro sakta mager tumhe udaas nahin dekh sakta,
Hamesha yaad rakhna meri iss baat ko,
Sache mann se kehta hai ‘Rahim’,
O meri jaan,
Bahaut mohobat ki hai maine tumse…


~Rahim~


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mohobat ka Asar...By Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
**Mohobat hogayi hai** by Rahim by dead heart in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
**Aj kal bahaut rona ata hai mujhe** by Rahim by dead heart in Shayri-E-Dard
**Mohobat ke layak** by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
**Gunhegaar bahaut hai** by Rahim by dead heart in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
khushi4pari
Guest
«Reply #1 on: March 23, 2010, 09:54:29 PM »
Reply with quote
Very nice and touchy...awsome Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: March 23, 2010, 10:24:40 PM »
Reply with quote
Rahim ji aapne bahut pyaari kavita likhi hai.  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut dard hai isme. Dard itna ki saamne waale ko rula de. Dard itna ki har patthar ko pighla de. Dard bahut hai isme. Ehsaas ko shabdo me piroya hai aapne. Dil ki gehraayon ko chhu gayi hai aapki kavita.Bahut khoob likha hai. Bahut khoob likha hai.

Aise hi kisi pyaar k naam meri kuch panktiyaan....

na tujhe bhulaane ka ji karta hai,
na tujhse dur jaane ka ji karta hai,
bas teri yaadon me kho jaane ka ji karta hai,
tadap itni aaj is dil me hai,
ki hamesha ke liye so jaane ka ji karta hai...
 
Logged
dead heart
Guest
«Reply #3 on: March 24, 2010, 11:27:54 AM »
Reply with quote
Very nice and touchy...awsome Applause Applause Applause Applause Applause
Shukriya dost! Usual Smile
Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: March 24, 2010, 11:31:26 AM »
Reply with quote
Rahim ji aapne bahut pyaari kavita likhi hai.  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut dard hai isme. Dard itna ki saamne waale ko rula de. Dard itna ki har patthar ko pighla de. Dard bahut hai isme. Ehsaas ko shabdo me piroya hai aapne. Dil ki gehraayon ko chhu gayi hai aapki kavita.Bahut khoob likha hai. Bahut khoob likha hai.

Aise hi kisi pyaar k naam meri kuch panktiyaan....

na tujhe bhulaane ka ji karta hai,
na tujhse dur jaane ka ji karta hai,
bas teri yaadon me kho jaane ka ji karta hai,
tadap itni aaj is dil me hai,
ki hamesha ke liye so jaane ka ji karta hai...
 
Bahaut bahaut bahaut shukriya!! Apne itna kuch kehdia tariff main ke main khamosh hogaya...Ager apke ankh ek bhi ansoo aya ho iss kavita ko parr kar, toh main samaj sakta hoon ke maine acha likha hai..jazbaar ager meri kalam se apke dil tak ponch gaye toh bahaut hai...

Tooooo good from ur side too dost...bahaut bahaut bahaut acha!!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: March 24, 2010, 01:22:24 PM »
Reply with quote
Rahim ji,

Aapke jazbaat hamare dil tak nahi dil ki gehraaiyon tak pahuch gaye hain...taarif mein maine kuch bhi nahi likha .. mujhe shadb hi nahi mile taarif karne ko... aapne itna achcha likha hai ki usko hum taarif roopi shabdo me nahi utaar paaye .. bas "bahut khoob" hi keh paaye ... bas aapke dard me apne dard ko mehsus kiya humne...kavita to bas ek maadhyam hai apne dard ko shabdo me utaarne ka... aur use aapne bakhoobi utaara hai..bahut khoob utaara hai...

Do panktiyaan usi dard k naaam...

 "dard ek ehsaas hai,
kal tak mujhse dur thi,
aaj mere paas hai,

koi hai jo ise mujhse dur le jaaye,
aaj dard bahut mere paas hai,
dard koi saamaan nahi hai,
ye to bas ek ehsaas hai..."

Aur jaanke achcha laga ki aapko hamari rachna pasand aayi.. main shukraguzaar hoon aapka... bahut bahut shukriya ...!!!

Bahut achcha likhte hain aap.. likhte rahiye...!!!

Bahaut bahaut bahaut shukriya!! Apne itna kuch kehdia tariff main ke main khamosh hogaya...Ager apke ankh ek bhi ansoo aya ho iss kavita ko parr kar, toh main samaj sakta hoon ke maine acha likha hai..jazbaar ager meri kalam se apke dil tak ponch gaye toh bahaut hai...

Tooooo good from ur side too dost...bahaut bahaut bahaut acha!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: March 24, 2010, 01:34:52 PM »
Reply with quote
Bahut bahut Khoob Bhai Rahim!!!!

Bahut Hi jazbaati Peshkash.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Khoob Klaskar.. Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
leena loves kamlesh
Guest
«Reply #7 on: March 24, 2010, 01:51:45 PM »
Reply with quote
aapka ye nazm dil ko chuu gaya. very nice  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: March 24, 2010, 02:37:56 PM »
Reply with quote
Shukriya Khwaish Ji...!!!

Bahut bahut Khoob Bhai Rahim!!!!

Bahut Hi jazbaati Peshkash.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bahut Khoob Klaskar.. Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #9 on: March 24, 2010, 06:03:43 PM »
Reply with quote
bahut khoob rahiim ji..kaafi apke dil ki tadap iss kavita mein saaf nazar aa rhi hai..kisi ko chah ke use naa pane ka gum bahut dard bhara hota hai..

Kehte hai naaa...

Vo hai tou merra hi diwana..
per use pane mein abhi bahut waqt hai,
uske liye ye dil hai sab se begana..
per use pane mein abhi bahut waqt hai......
Logged
dead heart
Guest
«Reply #10 on: March 24, 2010, 07:32:57 PM »
Reply with quote
Rahim ji,

Aapke jazbaat hamare dil tak nahi dil ki gehraaiyon tak pahuch gaye hain...taarif mein maine kuch bhi nahi likha .. mujhe shadb hi nahi mile taarif karne ko... aapne itna achcha likha hai ki usko hum taarif roopi shabdo me nahi utaar paaye .. bas "bahut khoob" hi keh paaye ... bas aapke dard me apne dard ko mehsus kiya humne...kavita to bas ek maadhyam hai apne dard ko shabdo me utaarne ka... aur use aapne bakhoobi utaara hai..bahut khoob utaara hai...

Do panktiyaan usi dard k naaam...

 "dard ek ehsaas hai,
kal tak mujhse dur thi,
aaj mere paas hai,

koi hai jo ise mujhse dur le jaaye,
aaj dard bahut mere paas hai,
dard koi saamaan nahi hai,
ye to bas ek ehsaas hai..."

Aur jaanke achcha laga ki aapko hamari rachna pasand aayi.. main shukraguzaar hoon aapka... bahut bahut shukriya ...!!!

Bahut achcha likhte hain aap.. likhte rahiye...!!!


Apne itna kuch kehdia ke bas main kya kahoun...Itni tariff ki adat bhi nahin Rahim ko...Allah kare apka yeh dard jo bhi ho, kam hojaye aur ahiste ahiste mitjaye...
Dua kijiyega jisse pake na paya usse paloun...

Aur haan...Aap bahaut acha likte ho...Bahaut khoob dostttttt!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #11 on: March 24, 2010, 07:35:01 PM »
Reply with quote
Bahaut bahaut shukriya Khwahish jee, Kamlesh jee aur Geet jee..

Geet jee, bahaut khoob kaha apne mager kahin aisa na ho, ke itna waqt lag jaye usse pane main, ke maut pehle dastaak dejaye!!
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #12 on: March 24, 2010, 07:52:28 PM »
Reply with quote
Ye faisla bhi usi per chhodna hi behtar hoga rahiim ji..kehte hai naa mhbt aur maut mein kaafi samaanta hoti hai..

Dono hi bin bulaye aati hai aur kambakht ek dil le jati hai tou dusri dhadkan...aur bachna dono hi surat mein kaafi mushkil hota hai......
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: March 24, 2010, 08:28:54 PM »
Reply with quote
Rahim ji,

Aapne achcha.. bahut achcha likha hai isiliye taarif to banti hai... mera dard to abhi kam ho gaya hai...ab to aadat si pad gayi hai... aur duwa karte hain ki aapko aapka pyaar jald bahut jald mil jaaye...

Aur hamari lekh k taarif k liye bahut bahut shukriya ...!!!

Apne itna kuch kehdia ke bas main kya kahoun...Itni tariff ki adat bhi nahin Rahim ko...Allah kare apka yeh dard jo bhi ho, kam hojaye aur ahiste ahiste mitjaye...
Dua kijiyega jisse pake na paya usse paloun...

Aur haan...Aap bahaut acha likte ho...Bahaut khoob dostttttt!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #14 on: March 24, 2010, 08:40:43 PM »
Reply with quote
Glad...


Na pal aadat ard ko panha dene ki tu eh dost,
Khushi dhundne par hi toh milti hai...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:06:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer