Bahaut baar zindagi main, hum kisi ko pake nahin Suna hai waqt ke saath halat badal jate hain
Insan badal jate hain, jazbat badal jate hain
Par tum na badloge, ye aitbar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon
Main tumse pyaar karta hoon
Tum ye mat Samajhna k Hum Tumhare
baghair G nahi sakty...ove4:
Bahaut mohobat ki hai maine tumse…
Kahin bhi jaoun; meri nigah ko tum hi tum nazar ate ho,
Mere har ehsaas ki wajah sirf tum hi banjate ho,
Mere har khwab ko sajane bas tum hi chale ate ho,
Pake na paya ‘Rahim’ ne tumko mager yaad rakhna,
Bahaut mohobat ki hai maine tumse…
Ek daur tha zindagi main jab tum sapnon main bhi; haqeeqat main bhi saath thi,
Har ehsaas main; har jazbat main mere saath thi,
Sach bataun toh wohi daur main meri zindagi main waqei zindagi thi,
Apna bana kar apna bana na paya mager yaad rakhna,
Bahaut mohobat ki hai maine tumse…
Aj bhi unn baaton ko; lamhon ko yaad kar rona ata hai,
Jaise mera rom rom unn yaadon main gum sa gaya hai,
Tumne bhale bhula dia mujhe mager ‘Rahim’ aj bhi tumhari yaad main ashk bahata hai,
Sabse paas aa kar bhi tum ek na hui mujse mager yaad rakhna,
Bahaut mohobat ki hai maine tumse…
Afsos iss baat ka rahega ke tum jaise shaks ko paa na saka yeh badnaseeb,
Mager khushi iss baat ki hai ke Khuda ne tumhare liye koi behtar shaks chuna hai,
Aur ager agey zindagi main kabhi tanhai mehsoos ho tumhe,
Ager kabhi tumhe dhoor dhoor tak koi apna nazar na aye,
Toh hamesha yeh baat iss nadan ashiq ki yaad rakhna,
Ke dhoor tumhare mager sabse kareeb uske tum ho,
Aisa bhi ek shaks hai jo apni zindagi haste haste tumhe de sakta hai,
Aisa bhi ek tumhara ashiq hai jo khud se zada tumhe chahta hai,
Aisa bhi ek dildar hai tumhara jo khud ke liye mange na mange; tumhare liye khushi zaroor mangta hai,
Aisa bhi ek dost hai tumhara jo khud toh ro sakta mager tumhe udaas nahin dekh sakta,
Hamesha yaad rakhna meri iss baat ko,
Sache mann se kehta hai ‘Rahim’,
O meri jaan,
Bahaut mohobat ki hai maine tums
~Rahim~