Baith baazi ( Jugal Bandi for shayar's & shayara's )

by junaidqadir on April 26, 2009, 09:22:57 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 13
ReplyPrint
Author  (Read 10857 times)
junaidqadir
Guest
Reply with quote
Ahele Mahefil Adaab !!

Mahefil ki Udasi aur virani ko nazar me rakhte howe baith baazi ka chaska yaad agaya aur khuch maazi ki jugalbandi ne chinjuda to qayal aya ke khuch naya topic ka agaz karen jisse dil bahel jaye aur shayari ka lutf paya jaye !! Ab qaqsar ko baith baazi ka hunar to aana saka to suncha khuch sikh hi len apse .. agaz mere eak aziz shayar ka ashar se karta hon aur muntazir rahega naceez apke kalamath ka !! Allah Qairde subko !!

Zaher , jaam , sharab, shabab , gulaab , qaub kya-kya hai !!
Mai aagaya hon bata intezaam kya - kya hai !!

Badsah , tawangar , imaam kya-kya hai !!
Tujhe pata nahi tera gulaam kya-kya hai !!

Rahat Indori Sahab
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Aaine se Bigad ke baith gaye......! by sharmaarunkumar in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
BANDI-CHHOR DIVAS..... by khwahish in The Wishes and Celebrations « 1 2  All »
Jugal Bandi by @kaash in Miscellaneous Shayri « 1 2 3 4 »
*shayara hi rehene do*....tanowar by Tanowar Jahan in Miscellaneous Shayri
note -bandi(CSET) by MANOJ6568 in Miscellaneous Shayri
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: April 26, 2009, 09:28:21 AM »
Reply with quote
Bohat pyari cheeze shuru ki hain tumne Qadeer chalo hum apni maujidgi zahir karte hain Wasim Saheb ki ek qitta ke sath....

Apne chehre se jo zaahir hai chhupaaye.n kaise
Teri marzi ke mutaabik nazar aaye.n kaise

Ghar sajaane kaa tassavur to bahut baad kaa hai
Pahale ye tay ho ki is ghar ko bachaaye.n kaise

-Wasim Barelvi-
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #2 on: April 26, 2009, 09:48:25 AM »
Reply with quote
Bahoth hi umda ashar nazar kiya hai apne shayari ke shahinsa kahena gair wajeeb nahi hoga bashir sahab ko !! Ab ashar ko hawala dene se kamzoor ho jata hai isiliye samjh jayen to bahetar hoga last misre se tulaq rakhta ashar nazar karta hon apka jo mere behad qareeb hai !!


Yu to har koi rakh jata hain, meri turbat pe diya Ghayel !!
Yeh alag baat hain, dobara use jalane nahi aate !!

Sajid Gahyel
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: April 26, 2009, 12:50:16 PM »
Reply with quote
Wah janab aaj pehli baar Yoindia par kisi ne mera sher mere samne dohra kar mujhe itni Izzat bakshi hain. Aapka bohat bohat shukriyaan chaliye ab serious baithbazi karte hain........sabhi dosto se guzarish hain ke isme hissa le.

Jawab dene se pehle jo keh raha hu use samajhna bohat zaruri hain janab.........


Mitti ke bartan me mitti ka aadmi

Ab tak na samjha haqeeqat ye aadmi....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: April 26, 2009, 12:59:27 PM »
Reply with quote
Wah janab aaj pehli baar Yoindia par kisi ne mera sher mere samne dohra kar mujhe itni Izzat bakshi hain. Aapka bohat bohat shukriyaan chaliye ab serious baithbazi karte hain........sabhi dosto se guzarish hain ke isme hissa le.

Jawab dene se pehle jo keh raha hu use samajhna bohat zaruri hain janab.........


Mitti ke bartan me mitti ka aadmi

Ab tak na samjha haqeeqat ye aadmi....

Jo Samajhaaye Apni Haqeeqat Aadmi,.
Duniya Se Kar Baithega Nafrat Aadmi,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: April 26, 2009, 01:00:58 PM »
Reply with quote
Mashallah, Bohat Achchi Bait Baazi Bichaai Hai Aaon Dono ne milkar,.
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #6 on: April 26, 2009, 01:36:46 PM »
Reply with quote
bahoth qoob sajid aur azeem apne umda likha hai hai !!

Maine ladak pan me Majnu pe asad !!
Sang uthaya tha ke sir yaad aaya !!

Mirza Ghalib
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #7 on: April 26, 2009, 01:42:16 PM »
Reply with quote
Ruk gaye kadam jawani me khata se pehle

Jab jab baap ka jhuka hua sar yaad aaya...

-SG-
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #8 on: April 26, 2009, 01:51:15 PM »
Reply with quote
Ruk gaye kadam jawani me khata se pehle

Jab jab baap ka jhuka hua sar yaad aaya...

-SG-

Subhan Allah mere dost kitni baadi kahe di tumne yaar apse bahoth sikhne ko milega sajid !! 2 line me falsawa bayan karne ka nirala hunar paya hai apne !! wah bhai wah kitni badi baath kahi !!
Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #9 on: April 26, 2009, 02:02:33 PM »
Reply with quote
SAjid sahab eak ashar nazar karta hon rahath sahab ka, ashar tak pahon jao to nawaz dena yaqeen hai ke ap ashar wahin se samjhenge jahan se ye kaha gaya hai !!

Looh Bhi chalti thi to bade saba kahete the !!
Pankh phaila-a- andhere ko siyah kahete the !!
Unka anjaam usse yaad nahi shayad !!
Wo bhi log the jo khud ko khuda kahete the !!

R.I.Sahab
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: April 26, 2009, 02:12:37 PM »
Reply with quote
SAjid sahab eak ashar nazar karta hon rahath sahab ka, ashar tak pahon jao to nawaz dena yaqeen hai ke ap ashar wahin se samjhenge jahan se ye kaha gaya hai !!

Looh Bhi chalti thi to bade saba kahete the !!
Pankh phaila-a- andhere ko siyah kahete the !!
Unka anjaam usse yaad nahi shayad !!
Wo bhi log the jo khud ko khuda kahete the !!

R.I.Sahab

Hay, Kya Khoob Kaha Hai Rahat Ji ne, Dil Khush Hogaya,.



Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #11 on: April 26, 2009, 02:14:50 PM »
Reply with quote
SAjid sahab eak ashar nazar karta hon rahath sahab ka, ashar tak pahon jao to nawaz dena yaqeen hai ke ap ashar wahin se samjhenge jahan se ye kaha gaya hai !!

Looh Bhi chalti thi to bade saba kahete the !!
Pankh phaila-a- andhere ko siyah kahete the !!
Unka anjaam usse yaad nahi shayad !!
Wo bhi log the jo khud ko khuda kahete the !!

R.I.Sahab


Nishaan To Baakhi Uska Hai,.
Ye Jaan Ye Jahaan Jiska Hai,.

Hona Hai Sab Ko Tabaah "Azeem,.
Rab Ki Marzi Par Zor Kiska Hai,.




Logged
junaidqadir
Guest
«Reply #12 on: April 26, 2009, 02:22:56 PM »
Reply with quote

Nishaan To Baakhi Uska Hai,.
Ye Jaan Ye Jahaan Jiska Hai,.

Hona Hai Sab Ko Tabaah "Azeem,.
Rab Ki Marzi Par Zor Kiska Hai,.






Bahoth qoob azeem andaza bhi hai kya kaha apne bahoth badi baath kahe di !! credit goes to sajid ,, lutf uthate raho aur mahefil ki raunaq sajate raho !!allah hifazath kare !!

JQ
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: April 26, 2009, 02:36:31 PM »
Reply with quote
Bahoth qoob azeem andaza bhi hai kya kaha apne bahoth badi baath kahe di !! credit goes to sajid ,, lutf uthate raho aur mahefil ki raunaq sajate raho !!allah hifazath kare !!

JQ

Jab Rab Ki Shaan Mein Kuch Likhne Ka Khayaal Karte Hain,.
Kalam Khud Ba Khud, Dil Ke Baat Kehkar Guzarte Hain,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #14 on: April 26, 2009, 03:16:38 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Azeem..credit goes to Qadeer...

Bande khuda ke aajkal, bandagi bhi hisab se karte hain

Rakhte hain ginti apne sajdo ki, aur dua karte hain....
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:08:27 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer