banaam-e-zindaan (NM)

by vb on March 08, 2011, 07:08:33 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 925 times)
vb
Guest
Reply with quote
Monitors requested to plz delete.....

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Munni - Banaam - Sheela ! NARESH MEHRA by Anshumali in Miscellaneous Shayri
kishan8888
Guest
«Reply #1 on: March 08, 2011, 01:29:58 PM »
Reply with quote
Urdu jyada nahi janta mai lekin urdu ke word to seena ke aar paar ho jaate hai Usual Smile bahut achhi rachna padhne ka maja aaya aur achhi lagi
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #2 on: March 08, 2011, 05:54:28 PM »
Reply with quote
bht khubsurat peshkash VB ji...har bar ki tarah dil lubhati hui... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
par
kuch lines jo dil zyada pasand aain wo ye hain....


Ye such hay teray haseen chaand say chehray ki haya
Teergee maut ki baanhon main sulaa jaatee hay
Na koi raah na rozan hay magar dakhe zaraa
Teri khushboo tu is zindaan main bhe aa jaati hay

Ab bhe har raat kay seenay say saddaa utheti hay
Teri baanhon ko main baanhon ka sahaaraa day doon
Ab bhe dil kay nihaan khaanon main kasak baaki hay
Teray honton ko main honton ka kinaaraa day doon

            Bhool jaataa hoon mohabbat kay junoon main aksar
            Main teray dar ka sawaali hoon, nigehbaan nahi
            Khawaab-e-jashn-e-bahaaraan pay pashemaan nahi

Logged
vb
Guest
«Reply #3 on: March 09, 2011, 12:37:39 PM »
Reply with quote


*-----------------*

Hum ne is geet ka bekaar sahaara lay kar
Dil ka ehsaas bataaya tha kisi ki khaatir
Mudaton baad baray pyaar, baray chaao say
Hum ne har lafz sajaaya tha kisi ki khaatir

Sochtay thay kay milen gay tu un ki baton main
Meray jazbon ka kuchh ehsaas nazar aayay ga
Door zindaan ki salaasil say buhat door kahin
Ye geet jaa k un k dil main utar jaayay ga

Meray khush-fehem khawaabon ka bharam toot gaya
Haath thaamaa tu tha, par thaamtay he chhoot gaya

*-------------*

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #4 on: March 09, 2011, 01:36:54 PM »
Reply with quote
Bade khoobsurat lafzon mai sajji mast poem VB ji...... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Sach kaha Sapno ko Bahaaron ka intezaar nahi
Dil machal jaataa hai Mazhab ka mohtaaj nahi

Dil kay aashiyaane mai hota nahi koi Rozandaan hai
Par tere jism kee khushboo wahaan bhi aa jaati hai




            Main bhe paaband-e-salaasil hun magar jaan-e-addaa
            Khawaab-e-jashn-e-bahaaraan pay pashemaan nahi

Jub bhe teray rukh-e-roshan ko tarap utheta hoon
Goonj uthetay hain taraanay meri zanjeeron kay
Zakhm sehlaatay huvay aankh jo lagti hay kabhi
Khaab aatay hain unhi dil-nasheen jazeeron kay

            Main tu majboor hoon, paband-e-salaasil thehra
            Meray khaabone kay jazeeray pas-e-zindaan nahi
            Khawaab-e-jashn-e-bahaaraan pay pashemaan nahi

Ye such hay teray haseen chaand say chehray ki haya
Teergee maut ki baanhon main sulaa jaatee hay
Na koi raah na rozan hay magar dakhe zaraa
Teri khushboo tu is zindaan main bhe aa jaati hay

            Huvee hay kon say mazhab ki khataa-waar bataa
            Main musalmaan hoon, khushboo tu musalmaan nahi
            Khawaab-e-jashn-e-bahaaraan pay pashemaan nahi

Ab bhe har raat kay seenay say saddaa utheti hay
Teri baanhon ko main baanhon ka sahaaraa day doon
Ab bhe dil kay nihaan khaanon main kasak baaki hay
Teray honton ko main honton ka kinaaraa day doon

            Bhool jaataa hoon mohabbat kay junoon main aksar
            Main teray dar ka sawaali hoon, nigehbaan nahi
            Khawaab-e-jashn-e-bahaaraan pay pashemaan nahi

Ye tum ne theek kaha hay k tum say door rahoon
Mujhay tumhaari mohabbat say gilla kuch bhe nahi
Ye faisla bhe khudaaee ka main ne maan liya
Kay is jahaan main muhabbat ka silla kuch bhe nahi

            Per meray khaab bhe paaband-e-salaasil kar day
            Aisay Allah par meraa koi eemaan nahi
            Main bhe paaband-e-salaasil hun magar jaan-e-addaa
            Khawaab-e-jashn-e-bahaaraan pay pashemaan nahi

         *----------------------------------------*


salaasil   = zanjeeren
zindaan    = qaid-khaana
teergi     = andhera
rozan      = soraakh (jis say roshni aa sakay)
nihaan     = chhupaa huva





Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #5 on: March 09, 2011, 03:37:11 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
kehna chahkar bhi kuch keh nahin paate
zazbaat fir bhi kyun ye sambhal nahin paate
tod dein apni hi khai kasmon ki zanzerein
lekin unke dil ko thes hum pahoncha nahin paate




*-----------------*

Hum ne is geet ka bekaar sahaara lay kar
Dil ka ehsaas bataaya tha kisi ki khaatir
Mudaton baad baray pyaar, baray chaao say
Hum ne har lafz sajaaya tha kisi ki khaatir

Sochtay thay kay milen gay tu un ki baton main
Meray jazbon ka kuchh ehsaas nazar aayay ga
Door zindaan ki salaasil say buhat door kahin
Ye geet jaa k un k dil main utar jaayay ga

Meray khush-fehem khawaabon ka bharam toot gaya
Haath thaamaa tu tha, par thaamtay he chhoot gaya

*-------------*


Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 02:20:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer