Bandhan

by Pooja on April 30, 2009, 06:16:45 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2036 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Kisi bandhan main ab khud ko bandhaya nahi jaata
na jaane kyun apno se bhi yah bandhan nibhaya nahi jaata

Azaadi mili hai jo saal-o-saal mai jakar is dil ko
halka sa bandhan bhi is per ab lagaya nahi jaata

hai sab mere he hit ki khatir yah dil janta hai
chah kar bhi ab khud per koi bandhan lagaya nahi nahi jaata

samjhaye kaise kin shabdo main yah baat Pooja ab dunia ko
jab usko khud he khud se yah sab samjhaya nahi jaata

Kisi bandhan main ab khud ko bandhaya nahi jaata
na jaane kyun apno se bhi yah bandhan nibhaya nahi jaata
Logged
Pooja
Guest
«Reply #1 on: April 30, 2009, 06:46:26 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley waah Pooja ji..ek baar phir bohot khoob likha hai aapne...         

Thanks Kash ji!!!

Such kahu to ajj bas sath chahiye ki koi sath likhe... kalam likhne ko bekarar hai!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: April 30, 2009, 07:31:50 PM »
Reply with quote
Great Work Again Didi,.

Kyun Tere Dil Ko Bekhaari Hai,.
Kyun Teri Bebasi Se Yaari Hai,.

Kyun Tujhe Neend Nahi Aati Pooja,.
Kyun Raat Tune Jaagte Hue Guzaari Hai,.

Kyun Tere Mukaddar Mein Bahaar Nahi,.
Kyun Kaanton Se Teri Rishtedaari Hai,.

Kyun Rukte Nahi Aansoon Tere "Pooja,.
Kyun Roothi Tujhse Ye Khudrat Saari Hai,.

___________________________-Azeem-
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: April 30, 2009, 07:40:19 PM »
Reply with quote
Great Work Again Didi,.

Kyun Tere Dil Ko Bekhaari Hai,.
Kyun Teri Bebasi Se Yaari Hai,.

Kyun Tujhe Neend Nahi Aati Pooja,.
Kyun Raat Tune Jaagte Hue Guzaari Hai,.

Kyun Tere Mukaddar Mein Bahaar Nahi,.
Kyun Kaanton Se Teri Rishtedaari Hai,.

Kyun Rukte Nahi Aansoon Tere "Pooja,.
Kyun Roothi Tujhse Ye Khudrat Saari Hai,.

___________________________-Azeem-


wow kaya baat hai... bahoot khoob Lil bro

Nahi rootha koi mujhse, bas mujhe ajmaaya jaata hai
Need ke agosh main jaane se pahle tadpaaya jaata hai

Mukaddar bhi kheilta rahta hai ankh micholi mere sath baar baar
Her baar faisla Mere he to haq main, Rab ke darbaar mai sunaya jaata hai

hai chota sa dil is pooja ka, ghabra badi jaladi kai baar jaati hai
per dekh apne dosto ka sath, kaha phir koi pooja ke samne rah paata hai

Ansoo behte hai kabhi dukh main to kabhi sukh main is Pooja ke
Kudrat ka na lo naam, Kudrat ke agosh main he to jakar, sab bhoola jaata hai
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: April 30, 2009, 07:58:39 PM »
Reply with quote
Nice work Pooja and beautiful addition by you Azeem
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: April 30, 2009, 08:01:35 PM »
Reply with quote
Shukaria Sajid!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: April 30, 2009, 08:14:34 PM »
Reply with quote
wow kaya baat hai... bahoot khoob Lil bro

Nahi rootha koi mujhse, bas mujhe ajmaaya jaata hai
Need ke agosh main jaane se pahle tadpaaya jaata hai

Mukaddar bhi kheilta rahta hai ankh micholi mere sath baar baar
Her baar faisla Mere he to haq main, Rab ke darbaar mai sunaya jaata hai

hai chota sa dil is pooja ka, ghabra badi jaladi kai baar jaati hai
per dekh apne dosto ka sath, kaha phir koi pooja ke samne rah paata hai

Ansoo behte hai kabhi dukh main to kabhi sukh main is Pooja ke
Kudrat ka na lo naam, Kudrat ke agosh main he to jakar, sab bhoola jaata hai


Waah Kya Khoob Kaha Hai Didi, Behtareen Reply hai,.
Mashallah,.

Main Kya Likhoon Ab,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: April 30, 2009, 08:30:45 PM »
Reply with quote
Nice work Pooja and beautiful addition by you Azeem

Thank U Sajid Bhai,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: April 30, 2009, 08:40:01 PM »
Reply with quote
Ek Koshish

Kahin In Aazmaaishon Ke Chakkar Mein Aakar,.
Tum Pareshaan Na Ho Jaaon Apni Pehchaan Bhulaakar,.

Phir Dhoondte Rahoge Khud Ko Tum Apne Hi Ghar Mein,.
Humne Dekhe Hain Aise Khisse Samajh Daari Mein Aakar,.

Tumhaari Soch Judaa Hai Mujhse, Meri Baat Kahan Tum Samjhogi,.
Tab Yaad Aayegi Meri Tumhe "Pooja Jab Baithogi Nadi Ke Kinaare Sab Gawaakar,.

_______________________________-Azeem-


Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: April 30, 2009, 08:52:39 PM »
Reply with quote
Ek Koshish

Kahin In Aazmaaishon Ke Chakkar Mein Aakar,.
Tum Pareshaan Na Ho Jaaon Apni Pehchaan Bhulaakar,.

Phir Dhoondte Rahoge Khud Ko Tum Apne Hi Ghar Mein,.
Humne Dekhe Hain Aise Khisse Samajh Daari Mein Aakar,.

Tumhaari Soch Judaa Hai Mujhse, Meri Baat Kahan Tum Samjhogi,.
Tab Yaad Aayegi Meri Baat Tumhe "Pooja Jab Baithogi Nadi Ke Kinaare Sab Kuch Gawaakar,.
_____________________________-Azeem-

Humm apka jawab bahoot alag hai. DOH... Jawab likhne ki koshish karti hu.. Usual Smile

Pehchan banati hai khud ko ajmaane main
Dil ko thundak milati hai khud ko ajmaane main

Dunia ko de sakta hai insaan kabhi bhi dhoka
Rooh paati hai sukh, khud ko ajmaane main

Dhoondna hai khud se, khud ke ander ka sahas
Khud ki samjh atti hai, Khud se khud ko ajmaane main

Sochein to hoti hai juda sabki, ek he ghar main bhi laker janam
Magar such to rahta hai such, Nadi kinaare bhi khud ko ajmaane main  NaNaNa
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: April 30, 2009, 08:57:31 PM »
Reply with quote
Humm apka jawab bahoot alag hai. DOH... Jawab likhne ki koshish karti hu.. Usual Smile

Pehchan banati hai khud ko ajmaane main
Dil ko thundak milati hai khud ko ajmaane main

Dunia ko de sakta hai insaan kabhi bhi dhoka
Rooh paati hai sukh, khud ko ajmaane main

Dhoondna hai khud se, khud ke ander ka sahas
Khud ki samjh atti hai, Khud se khud ko ajmaane main

Sochein to hoti hai juda sabki, ek he ghar main bhi laker janam
Magar such to rahta hai such, Nadi kinaare bhi khud ko ajmaane main  NaNaNa


Mashallah Bohat Achche Sis,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: May 01, 2009, 04:03:21 AM »
Reply with quote
shukaria lil bro
Logged
salma786
Guest
«Reply #12 on: May 01, 2009, 04:28:05 AM »
Reply with quote
Bahoot khoob Pooja sis :claaping: Clapping Smiley Clapping Smiley

Or Azeem ji or Netra ji ne bahoot acha sath nibhaya Thumbs UP
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: May 01, 2009, 04:29:10 AM »
Reply with quote
Thanks Salma!! app bhi kuch likhti... aise Vishay per apki kalam bahoot acha likhti hai .....
Logged
salil2002
Guest
«Reply #14 on: May 01, 2009, 05:26:14 AM »
Reply with quote
Kisi bandhan main ab khud ko bandhaya nahi jaata
na jaane kyun apno se bhi yah bandhan nibhaya nahi jaata

Azaadi mili hai jo saal-o-saal mai jakar is dil ko
halka sa bandhan bhi is per ab lagaya nahi jaata

hai sab mere he hit ki khatir yah dil janta hai
chah kar bhi ab khud per koi bandhan lagaya nahi nahi jaata

samjhaye kaise kin shabdo main yah baat Pooja ab dunia ko
jab usko khud he khud se yah sab samjhaya nahi jaata

Kisi bandhan main ab khud ko bandhaya nahi jaata
na jaane kyun apno se bhi yah bandhan nibhaya nahi jaata



bahut achche pooja di apne sach main bahut hi khoosurati se bayaan kiya hi ......bandhan mein bandhne walon ka haal


ae preet mere , manmeet mere
de doon main tera saath
par more piya bas itna sun le
mohe bandhan mein na baandh

chhoda aangan babul ka main teri sang hoon aayi
par yeh sun le sjna mere , main dasi ban na aayi
meri bhi chahat hai kuch, hai mere bhi armaan
maine bhi apni duniya hai rangon se sajayi

huyi purani baatein ab yeh ladki ghr kii rani
maine jo arjit kii vidya uska na koi saani
karoongi b woh jo dil ko bhaaye, saath tu thoda de de
baandh piya na mujhko preet mein, sun meri bhi Vaani

Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:56:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer