BEKHUDI

by drpandey on April 14, 2010, 08:24:00 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2409 times)
drpandey
Guest
Reply with quote
                    GHAZAL
Din bekhudi mein hamne guzara yahan wahan !
Lekar tumhara naam pukara yahan wahan !

Khoja daro-diwaar pe shaya tumhara naam,
Sabne kiya mazaaq hamara yahan wahan !

Tahreer ho gaya tha zamane mein diwana,
Sadqe varaq ka hamne utara yahan wahan !

Poochha jo dillagi se usne hamara haal,
Hamne zakham dikha diya sara yahan wahan !

Itna karam kiya hai 'Adab' ishq ne mere,
Jugnu ko kar diya hai sitara yahan wahan !


Dr HP Pandey
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bekhudi by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
BeBasi BeKhayali BeKhudi De Gaya by jazbaat in Share: Poetry of Pain
Bekhudi Had Se by dksaxenabsnl in Share: Poetry of Pain
Bekhudi by Dineshkumarjonty in Hindi Poets
Bekhudi....!! (Adab) by drpandey in Kaifiyaat-ae-maye
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: April 14, 2010, 08:31:56 PM »
Reply with quote
Wah wah Pandey ji ,bahut khoob likha aapne thoda sa dard bhi aur romantic bhi hai.marvelous creation.bahut achi lagi.keep up the good work. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
drpandey
Guest
«Reply #2 on: April 14, 2010, 08:46:19 PM »
Reply with quote
Wah wah Pandey ji ,bahut khoob likha aapne thoda sa dard bhi aur romantic bhi hai.marvelous creation.bahut achi lagi.keep up the good work. Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Zarra nawazi ka bahut bahut Shukriya Madhu Ji..aapki inayat ka azehad mashkoor hun ki aapne ghazal pasand farmaya aur hausla afzai ki...
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: April 14, 2010, 08:59:05 PM »
Reply with quote
                    GHAZAL
Din bekhudi mein hamne gujara kahan kahan !
Lekar tumhara naam pukara yahan wahan !

Dekha kiya diwaar pe shaya tumhara naam,
Haskar ibarat choom li paya jahan jahan !

Tahreer kar diya jo zamane ne diwana,
Sadqe varaq ka hamne utara yahan wahan !

Poochha jo muskurake usne hamara haal,
Hamne zakham dikha diya sara yahan wahan !

Itna karam kiya hai 'Adab' ishq ne mere,
Jugnu ko kar diya hai sitara yahan wahan !


Dr HP Pandey


Humesha ki tarah behad khoobsurat ghazal....Bohot bohot khoob Dr. Sahab...It's always a pleasure reading your work Sir....
Logged
drpandey
Guest
«Reply #4 on: April 14, 2010, 09:10:16 PM »
Reply with quote
Humesha ki tarah behad khoobsurat ghazal....Bohot bohot khoob Dr. Sahab...It's always a pleasure reading your work Sir....
Calmira Ji its my pleasure to see your appreciation in such a way, at this very point I feel shortage of words to express my gratitude.. I therefore, simply say Thanks a lot.. 
Logged
Nafseeyati_Mareez
Guest
«Reply #5 on: April 14, 2010, 09:22:26 PM »
Reply with quote
                   GHAZAL
Din bekhudi mein hamne gujara kahan kahan !
Lekar tumhara naam pukara yahan wahan !

Dekha kiya diwaar pe shaya tumhara naam,
Haskar ibarat choom li paya jahan jahan !

Tahreer kar diya jo zamane ne diwana,
Sadqe varaq ka hamne utara yahan wahan !

Poochha jo muskurake usne hamara haal,
Hamne zakham dikha diya sara yahan wahan !

Itna karam kiya hai 'Adab' ishq ne mere,
Jugnu ko kar diya hai sitara yahan wahan !


Dr HP Pandey

Dr. Saheb aapka kalam padhne ke baad kuch batein aapse kehna chahuga pehli yeh ke jin lafzo me Z ki zarurat ho waha Z use kare, main samajh sakta hu North India me pronunciation me J use kiya jata hai jaise aapne Guzara ko Gujara likha hai.......padhne walo ke liye aasani hogi.

Doosri cheeze yeh mehsoos ki maine ke urdu grammer ke hisab se kahi kahi misre bohat kamzor lage. Aur ek baat ke aapne har jagah apna radeef yahaa.N wahaa.N hi rakha hai bas matle ke pehle misre me aur doosre sher me ise aapne badal diya yeh baat bhi kalam ko aur kamzor banati hai.

Aapke ehsas bohat mazboot nazar aaye bas thodi si polishing kare phir dekhe......kya khoob nikhaar aata hai aapki shayri me.

Meri kahi batein agar aapki narazgi ka sabab bani ho to main mafi chahta hu.

Logged
neelgold
Guest
«Reply #6 on: April 15, 2010, 12:29:14 AM »
Reply with quote
Too Gud Ji.....
JSt Supreb!!!!!!!
 Applause
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #7 on: April 15, 2010, 04:06:30 AM »
Reply with quote
 Applause Applause
bahoot khoob dr. pandey....
Logged
drpandey
Guest
«Reply #8 on: April 15, 2010, 04:12:41 AM »
Reply with quote
Dr. Saheb aapka kalam padhne ke baad kuch batein aapse kehna chahuga pehli yeh ke jin lafzo me Z ki zarurat ho waha Z use kare, main samajh sakta hu North India me pronunciation me J use kiya jata hai jaise aapne Guzara ko Gujara likha hai.......padhne walo ke liye aasani hogi.

Doosri cheeze yeh mehsoos ki maine ke urdu grammer ke hisab se kahi kahi misre bohat kamzor lage. Aur ek baat ke aapne har jagah apna radeef yahaa.N wahaa.N hi rakha hai bas matle ke pehle misre me aur doosre sher me ise aapne badal diya yeh baat bhi kalam ko aur kamzor banati hai.

Aapke ehsas bohat mazboot nazar aaye bas thodi si polishing kare phir dekhe......kya khoob nikhaar aata hai aapki shayri me.

Meri kahi batein agar aapki narazgi ka sabab bani ho to main mafi chahta hu.
Bahot bahot shukriya aapka Nafseeyati_Mareez Sahab, main aapki batai har baat par poora gaur karunga. Mujhe umeed hai aap aise hi khamiyon par apni rai dete rahenge to mujhe aasani hogi. Janaab aap mere bhale ki baat karen aur main naraz ho jaun ye bhi aapne achha kaha. Ye meri khushnaseebi hai ki aapne itni achhi tarah se meri ghazal per inayat farmaya..aapka bahad shukrguzar rahunga.
Logged
drpandey
Guest
«Reply #9 on: April 15, 2010, 04:31:18 AM »
Reply with quote
Too Gud Ji.....
JSt Supreb!!!!!!!
 Applause
Inayat aur hausla afzai ka behad shukriya Neelgold Ji..
Logged
drpandey
Guest
«Reply #10 on: April 15, 2010, 04:33:17 AM »
Reply with quote
Applause Applause
bahoot khoob dr. pandey....
Bekarar Ji ghazal pasand farmaney aur himmat afzai ka behad Shukriya....
Logged
Nafseeyati_Mareez
Guest
«Reply #11 on: April 15, 2010, 06:32:29 AM »
Reply with quote
Bahot bahot shukriya aapka Nafseeyati_Mareez Sahab, main aapki batai har baat par poora gaur karunga. Mujhe umeed hai aap aise hi khamiyon par apni rai dete rahenge to mujhe aasani hogi. Janaab aap mere bhale ki baat karen aur main naraz ho jaun ye bhi aapne achha kaha. Ye meri khushnaseebi hai ki aapne itni achhi tarah se meri ghazal per inayat farmaya..aapka bahad shukrguzar rahunga.


Aapka jawab padhkar bohat khushi hui Dr. saheb aur usse bhi zyda khushi aapka PM padkar hui, aapne jo badlaav kiye hai usne Ghazal me char chand laga diye hai yeh baat aapko PM karke nahi keh paya qke abhi meri 30 post nahi hui hai aur main aapko PM nahi kar sakta. Allah aapki kalam ko aur taqat bakshe.....Aameen
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #12 on: April 15, 2010, 06:46:50 AM »
Reply with quote
wah bahoth qoob Dr.saheb , apki ghazal nazar nawaz howi ,, hazaro dad ba awaz a buland qubool karen .. apki har taherir se mai mutasir howa hon ..allah apko hamesha khush rakhe aur ap jaise sukhan war logon ki maujodgi bazm me banaye rakhe ..

Bus eak ilteja .. 2nd ashar me hum kafiya nahi hai ,, matle me bhi apne azadi nahi li agar le lete to thik raheta ..qair apne sher ke wazan ko barqarar rakhne ke sabab kiya ho ,, baher kaf bahed qoob padke acha laga ..dad hazir


khadim

qadeertoopchi
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #13 on: April 15, 2010, 07:25:57 AM »
Reply with quote
Wah wah Pandey sb. bahot khoob kalaam hai aapka. Ek juda rang ki ye badi purkashish aur murassa takhleeq hai. Mubarakbaad.
Logged
S.hashmi
Guest
«Reply #14 on: April 15, 2010, 07:43:48 AM »
Reply with quote
  Applause
bahot khoob pandey ji
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:16:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer