BEKHUDI

by drpandey on April 14, 2010, 08:24:00 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2386 times)
drpandey
Guest
«Reply #15 on: April 15, 2010, 08:16:19 AM »
Reply with quote
wah bahoth qoob Dr.saheb , apki ghazal nazar nawaz howi ,, hazaro dad ba awaz a buland qubool karen .. apki har taherir se mai mutasir howa hon ..allah apko hamesha khush rakhe aur ap jaise sukhan war logon ki maujodgi bazm me banaye rakhe ..

Bus eak ilteja .. 2nd ashar me hum kafiya nahi hai ,, matle me bhi apne azadi nahi li agar le lete to thik raheta ..qair apne sher ke wazan ko barqarar rakhne ke sabab kiya ho ,, baher kaf bahed qoob padke acha laga ..dad hazir
khadim
qadeertoopchi
Qadeer sahab adaab arz hai, aapne jo bhool sudhar karwaya uske liye aapka behad shukrguzar hun..aapne jis andaaz se hamari hausla afzai ki uska azehad shukriya.
Umeed karta hun aapki inayat hamesha bani rahegi..ek baar phir aapka tahe-dil se shukriya..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
bekhudi by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
BeBasi BeKhayali BeKhudi De Gaya by jazbaat in Share: Poetry of Pain
Bekhudi Had Se by dksaxenabsnl in Share: Poetry of Pain
Bekhudi by Dineshkumarjonty in Hindi Poets
Bekhudi....!! (Adab) by drpandey in Kaifiyaat-ae-maye
drpandey
Guest
«Reply #16 on: April 15, 2010, 08:20:42 AM »
Reply with quote
  Applause
bahot khoob pandey ji
Inayat aur hausla afzai ka bahot bahot shukriya S.hashmi Ji..Umeed karta hun aapki inayat hamesha bani rahegi..
Logged
drpandey
Guest
«Reply #17 on: April 15, 2010, 08:25:49 AM »
Reply with quote
Wah wah Pandey sb. bahot khoob kalaam hai aapka. Ek juda rang ki ye badi purkashish aur murassa takhleeq hai. Mubarakbaad.
Adaab arz hai Riyaz Sahab, ghazal pasand farmaney aur behtareen alfazon se himmat afzai ka behad Shukriya. Aapke nawazis ka azehad shukrguzar rahunga..
Logged
drpandey
Guest
«Reply #18 on: April 15, 2010, 08:29:28 AM »
Reply with quote

Aapka jawab padhkar bohat khushi hui Dr. saheb aur usse bhi zyda khushi aapka PM padkar hui, aapne jo badlaav kiye hai usne Ghazal me char chand laga diye hai yeh baat aapko PM karke nahi keh paya qke abhi meri 30 post nahi hui hai aur main aapko PM nahi kar sakta. Allah aapki kalam ko aur taqat bakshe.....Aameen
Nafseeyati_Mareez sahab mai hamesha achhi salah ka muntzir rahta hun..Allah aapki duwaon mein asar daley....Aameen!!
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #19 on: April 15, 2010, 08:41:09 AM »
Reply with quote
Qadeer sahab adaab arz hai, aapne jo bhool sudhar karwaya uske liye aapka behad shukrguzar hun..aapne jis andaaz se hamari hausla afzai ki uska azehad shukriya.
Umeed karta hun aapki inayat hamesha bani rahegi..ek baar phir aapka tahe-dil se shukriya..


walekum adab Dr.saheb..

apka jawab apki shaqsiyath aur faraq dili ko bayan kar raha hai ..bade din baad bhaichare ka aisa jazba yo pe dekhne ko mil raha hai .. allah isse qaiyam rakhe ....khush rahe , muskurate rahen hamesha ..

khadim

qadeertoopchi
Logged
drpandey
Guest
«Reply #20 on: April 15, 2010, 09:29:58 AM »
Reply with quote
walekum adab Dr.saheb..

apka jawab apki shaqsiyath aur faraq dili ko bayan kar raha hai ..bade din baad bhaichare ka aisa jazba yo pe dekhne ko mil raha hai .. allah isse qaiyam rakhe ....khush rahe , muskurate rahen hamesha ..

khadim

qadeertoopchi
shukriya aapka Quadeer Sahab, main kuchh bhi nahin hun bas wahi Almighty (Allah/Ishwar/God) jo bhi karwata hai karta chala jata hun, ye aapki muhabbat hai jo aako aisa kahne per majboor kar rahi hai..yahi qaiyam rahe. Mujhe umeed hai aap aise hi inayat banaye rahenge. Allah aapki duwaon mein daley..Aameen!!
Logged
drpandey
Guest
«Reply #21 on: April 15, 2010, 06:31:26 PM »
Reply with quote
Itna Karam Kiya Hai'Adab' Ishq Ne Mere
Jugnu Ko Kar Diya Hai Sitara Yahan Wahan


Wah Wah Pandey Ji Kya Kehne
Bahut Hi Umda Janaab...

Khush Rahiye...

~Shihab~

Adaab arz hai Shihab bhai, ghazal pasand farmaney aur behtareen andaz se himmat afzai ka behad Shukriya. Aapke nawazis ka azehad shukrguzar rahunga..
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #22 on: April 17, 2010, 06:47:58 AM »
Reply with quote
                    GHAZAL
Din bekhudi mein hamne guzara yahan wahan !
Lekar tumhara naam pukara yahan wahan !

Khoja daro-diwaar pe shaya tumhara naam,
Sabne kiya mazaaq hamara yahan wahan !

Tahreer ho gaya tha zamane mein diwana,
Sadqe varaq ka hamne utara yahan wahan !

Poochha jo dillagi se usne hamara haal,
Hamne zakham dikha diya sara yahan wahan !

Itna karam kiya hai 'Adab' ishq ne mere,
Jugnu ko kar diya hai sitara yahan wahan !


Dr HP Pandey


Bahut khoob likha hai aap ne Dr Pandey Ji
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 07:31:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer