bhookh , dard aur mohabbat ~~~ Saahil

by salil2002 on June 10, 2009, 07:54:05 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 4141 times)
salil2002
Guest
Reply with quote
doston shayad yeh topic aur yeh poem aap sabko ajeeb si lage magar mujhe apna yeh kalaam behad ajeej hai......asha hai aap sabko bhi pasand aayega........isme m,ohabbat ko kuch alag dhang se dikhaya hai maine

do din ka bhooka woh bachcha roti ka tukda oothata hai
toh saamne apne ek pille ko dum hilata hua pata hai
kuch soch kar de deta hai apna nivala usko
khate dekh usko woh zor se taali bajata hai

lachaar beithe hai do maa baap bete akela chhod gaye
peeth k dard se boodi maa ka lete lete hi waqt gujar jaata hai
baba karte hai oonki seva apni peeth ka dard bhool kar
kyunki zindgi kii is dhalti shaam mein sirf oonse hi naata hai

mohabbat hai har kaahin, magar mere liye alag hai iske maayne
mujhe yeh premiyo k rishte se bhi alag kucch dikhata hai
ehsaas hai yeh dard ka , majboori ka, tadap aur khalipan ka
lekin iski bandisho main bhi azaadi ka mazaa aata hai

kehne ko yeh do kahaaniya, bahut mamooli hogi
magar gaur se dekho toh inme mohabbat kii chasni paoge
oos boode ka pyaar apni biwi k liye............
waisi mohabbat kya apni mehbooba se nibha paoge

bhookh khatam kar deti hai har zazbaat ko
magar oos bhooke bachche se kya seekh paoge
bhookh oos chhote pille kii dekh woh apni bhookh bhool gaya
mohabbat mein qurbani ka aisa zazba kahaan se laoge
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mohabbat~~dil rota hai~~~~ Saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Saahil~~~ Dard by salil2002 in Shayri-E-Dard
nafrat aur mohabbat ~~ saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard
Nafrat-- Dard Mohabbat Ka~~~ Saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Dosti aure mohabbat kii ek kahaani~~~ Saahil by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Roja
Guest
«Reply #1 on: June 10, 2009, 07:59:18 AM »
Reply with quote
Quote
achaar beithe hai do maa baap bete akela chhod gaye
peeth k dard se boodi maa ka lete lete hi waqt gujar jaata hai
baba karte hai oonki seva apni peeth ka dard bhool kar
kyunki zindgi kii is dhalti shaam mein sirf oonse hi naata hai

Nahi kuch azeeb sa nahi laga padkar... bahut sahi aur accha likha hai aapne. Daad kabul kijiyega.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: June 10, 2009, 08:05:05 AM »
Reply with quote
Salil Bhai, Bohat Touching Hai Ye Poetry, Sachchi Ye Hoti Hai Asli Mohabbat, Great Job Yaar, Yunhi LIkhte Rehna, Intezaar ai Hume Aur Bhi Kalaam Pardhne Ke Tumhaare,.
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #3 on: June 10, 2009, 08:05:43 AM »
Reply with quote
Wow..... Wah Wah wah.. Salil Bhai... Waqai aapki Qalam Me Jaadoo Hai.. har Ek Jumla Apne aap Me Ek Succhaai liye Hue Hai.. Har Lafz Apni ek Kahaani Kaha raha hai.. Applause Applause

Salil Bhai Humesha aapki Nazm padh kar Main Yeh soch me Padh Jata Hoon ki Taareef Me Kya Likhun.. aur Is Baar bhi aisa hi Hua hai..!! tongue3 tongue3


Lajawab-Behtreen-Khubsoorat-Superb-Shaandaar yeh Lafz Bhi Kam hai Is Rachna ki taareef ke liye Bhai.. Applause Applause


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #4 on: June 10, 2009, 08:33:03 AM »
Reply with quote
Wah wah Saahil tumhare is likhe ko Ghayel ka salam hain mere bhai.......tareef ke liye alfaz hi nahi hain mere pass. Khuda tumhe khush rakhe.
Logged
jannatjahan
Guest
«Reply #5 on: June 10, 2009, 08:47:43 AM »
Reply with quote
Salil Bahut achha likha hai Dear...sach mohabbat ka aisa zajba gar sabke dilon me ghar kar jaegi..us din duniya ki tasveer kuch aur hi hogi...Gud job Dear...... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #6 on: June 10, 2009, 09:02:59 AM »
Reply with quote
bahut bahut khub likha h aapne Saahil ji.....sahi farmaya aapne ...
kehne ko to dono khaaniyan is sansar ki aam baat h ,lekin inme jo h chupa hua wo dard aur aansuo ka sailaab h
 
dil ko chu gya har lafj....... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #7 on: June 10, 2009, 10:13:02 AM »
Reply with quote
Wonderfull creation Brother dear g88 lines.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
salil2002
Guest
«Reply #8 on: June 10, 2009, 11:49:26 AM »
Reply with quote

Nahi kuch azeeb sa nahi laga padkar... bahut sahi aur accha likha hai aapne. Daad kabul kijiyega.
shukriya roja dear..aapne pada aur saraha yeh bahut badi baat hai
Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: June 10, 2009, 11:50:47 AM »
Reply with quote
Salil Bhai, Bohat Touching Hai Ye Poetry, Sachchi Ye Hoti Hai Asli Mohabbat, Great Job Yaar, Yunhi LIkhte Rehna, Intezaar ai Hume Aur Bhi Kalaam Pardhne Ke Tumhaare,.
shukriya azeem bhai.....mohabbat ek zazba hai oosi ko samajhne kii koshish karta hoon kabhi kabhi aapkopasand aaya shukriya
Logged
salil2002
Guest
«Reply #10 on: June 10, 2009, 11:52:25 AM »
Reply with quote
Wow..... Wah Wah wah.. Salil Bhai... Waqai aapki Qalam Me Jaadoo Hai.. har Ek Jumla Apne aap Me Ek Succhaai liye Hue Hai.. Har Lafz Apni ek Kahaani Kaha raha hai.. Applause Applause

Salil Bhai Humesha aapki Nazm padh kar Main Yeh soch me Padh Jata Hoon ki Taareef Me Kya Likhun.. aur Is Baar bhi aisa hi Hua hai..!! tongue3 tongue3


Lajawab-Behtreen-Khubsoorat-Superb-Shaandaar yeh Lafz Bhi Kam hai Is Rachna ki taareef ke liye Bhai.. Applause Applause


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
shukriya vicky bhai jis kadar aap hausla badate hai dil khush ho jaata hai
Logged
salil2002
Guest
«Reply #11 on: June 10, 2009, 11:53:51 AM »
Reply with quote
Wah wah Saahil tumhare is likhe ko Ghayel ka salam hain mere bhai.......tareef ke liye alfaz hi nahi hain mere pass. Khuda tumhe khush rakhe.
ghayal bhai...aapke liye toh kya kahoon bas itna hi kahoonga kii aap oon chand logonb mein se hain jinhe apne thread par dekh kar itni khushi hoti hai kii bayaan nahin kar sakta
Logged
salil2002
Guest
«Reply #12 on: June 10, 2009, 11:55:13 AM »
Reply with quote
Salil Bahut achha likha hai Dear...sach mohabbat ka aisa zajba gar sabke dilon me ghar kar jaegi..us din duniya ki tasveer kuch aur hi hogi...Gud job Dear...... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
sahi keh rahe ho aap jannat dear magar kya baat hai aajkal aap gayab se ho aur kuch likh bhi nahi rahe hamari thread par
Logged
k.shael
Guest
«Reply #13 on: June 10, 2009, 11:55:52 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Salil, Lines azeeb nahi pyari thi,  Clapping Smiley  Clapping Smiley even aise log aabhi bhi hamare aas-pass moujod hai jo khud se jyada apno se pyaar aur care karte hai..

Shally.
Logged
salil2002
Guest
«Reply #14 on: June 10, 2009, 12:06:19 PM »
Reply with quote
Wonderfull creation Brother dear g88 lines.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
thanks jaya di
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 07:36:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer