Bhookhey NaNgey Shaher maiN harsooN baste haiN khaleefe log

by harashmahajan on March 18, 2008, 05:02:03 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2873 times)
harashmahajan
Guest
Reply with quote
Bhookhey NaNgey Shaher maiN harsooN baste haiN khaleefe log


Bhookhey NaNgey Shaher maiN harsooN baste haiN khaleefe log,
DooNda kerte har tapke ko thhagne ke tareeke log.

Mehfil sooni, Maikash sooni, saare soone saaz hue,
Gum maiN doobey haiN sab itne, bhool gaye saleeke log.

Manzil nahiN mili toh gum maiN aashiq yuiN pagal hue,
Torh-torh GuNche phooloN ke, Ujaade yuiN bageeche log.

Jhooti shaan-o-shoukat maiN ab duniya yuiN mashgool hui,
Keemti cheezoN ke chakker maiN bhool gaye Galeeche log.

Muzrim yuiN parwaane ban, jab ghar maiN aa daakhil hue,
Dewaane ban Jhanka kerte dil ke yuiN dareeche log.


Harash
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #1 on: March 18, 2008, 06:23:56 AM »
Reply with quote
Bohat acha likha hai harash ji ... Applause
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #2 on: March 18, 2008, 03:57:18 PM »
Reply with quote
Shukriyaa^h honey
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: March 18, 2008, 04:02:11 PM »
Reply with quote
bahoot khoob HArsh ji!!
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #4 on: March 18, 2008, 04:11:46 PM »
Reply with quote
Adaab and shukriyaah pooja ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: March 18, 2008, 06:21:54 PM »
Reply with quote
Bohot khoob Harash...very good Applause


Honton pe muskan, magar aankhon main ek sard lehar
Reh gaye hain dunya main ab, jhoote chehre waale log

Matlab ke is daur main humdard nazar nahin aata koi
Afsaano main hi baste hain, hatim-tai jaise log !!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: March 18, 2008, 06:40:15 PM »
Reply with quote
nice Talat!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: March 18, 2008, 06:48:33 PM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB HARASHJI..BAHUT ACHE.. Applause
NICE ONE TALAT...
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #8 on: March 18, 2008, 07:19:49 PM »
Reply with quote
Quote
Honton pe muskan, magar aankhon main ek sard lehar
Reh gaye hain dunya main ab, jhoote chehre waale log

Matlab ke is daur main humdard nazar nahin aata koi
Afsaano main hi baste hain, hatim-tai jaise log !!


Mohabbat ke bhi apne andaaz hote haiN
Jaagti aakhoNke bhi kutchh khwab hote haiN
Jaroori nahiN ke gum maiN hi aansoo nikleiN,
muskerati ankhoN maiN bhi silab hote haiN


Harash
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #9 on: March 18, 2008, 07:32:25 PM »
Reply with quote
Harash bro,

Ek baar phir se bahut khoob kalam aap ki kalam se Applause

Nice reply Tallu NaNaNa
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: March 18, 2008, 10:40:52 PM »
Reply with quote
Thanks Pooja, Khwaish and Rajbir...
Logged
Talat
Guest
«Reply #11 on: March 18, 2008, 10:52:26 PM »
Reply with quote

Mohabbat ke bhi apne andaaz hote haiN
Jaagti aakhoNke bhi kutchh khwab hote haiN
Jaroori nahiN ke gum maiN hi aansoo nikleiN,
muskerati ankhoN maiN bhi silab hote haiN


Harash


Khwaab aankhon se cheen lete hain log
Neend aati nahin kyun, kehte hain log

Bhula den ye dard-o-alam hum, magar
Bhoolne bhi kahan ye dete hain log

Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #12 on: March 19, 2008, 03:46:51 AM »
Reply with quote
Adaab khwahish pooja rajbir and Talat.......your names are now so popular inmind ke.....ap aate haiN toh tehreer khub-b-khud apna anjaam paa jaati hai happy3....our talat ji..aapka hunar toh sach maiN bahoot khoob hai....jo insan usi subject per ralli ko apni kalam ki dhaar banata hai...woh yaqeenan  apne funn maiN aage jaane ka haqdaar hota hai....tumhaare isi funn se hammare ilm maiN jaroor izafa hoga.....

Talat wrote:-

Quote
Khwaab aankhon se cheen lete hain log
Neend aati nahin kyun, kehte hain log

Bhula den ye dard-o-alam hum, magar
Bhoolne bhi kahan ye dete hain log


tumne ismmeiN jo peeda dikhayii hai woh yaqeenan bhyaan kerne maiN bahoot takleef hoti hai...our sach kaheiN toh..byaan hohi nahiN sakti....aapne jo isme chhupa hua dard diya hai woh bahoot hi Gehra hai....

Pathhar hue haiN log yahaN is kader bolo
Pathher kabhi dekho toh pighalta hi nahiN hai

Chehre pe kai chehre nazer aa rahe haiN hamko
Ye dar mere pehloo se nikalta nahiN nahiN hai

'harash'ka tere bina ab bura hal hai mere dost
Ab dil kisi soorat main behalta hi nahiN hai.

Ab bhooleiN toh bhooleiN kaise ye dard-e-gum
Log badey be-dard haiN dil samajhta nahiN hai

Harash
Logged
Talat
Guest
«Reply #13 on: March 19, 2008, 09:30:30 AM »
Reply with quote
Bohot bohot shukriya Harash aapki izzatafzaai ka.....hum aapko kya sikhayenge, hum to khud aapse seekhte hain...bohot bohot shukriya ki aapko humare sher pasand aaye...

Bohot hi khoobsurat likha hai aapne....



Aankh main paani nahin, dil main koi dhadkan nahin
Buton ki dunya main ab pathar ban gaye hain log

Koi apna nahin dikhta, wohi banawati chehre
In chehron ke peeche kyun chup gaye hain log

Dard ko wo kya samjhen, kya jaane dil ki baaton ko
Hum reh gaye peeche bohot, aage badh gaye hain log !!


Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #14 on: March 19, 2008, 10:04:37 AM »
Reply with quote
sach baat to ye hai janab....
ke mai kai baar Harsh ji ki aur talat ji ki post hi padata rah jata hun aur... apani post karana bhool jata hun......

aur aap logon ko padane ke baad to mujhe shaq hone laga hai ke mai shayar bhi hun ya  nahi....
aur ek baat gar aap log meri koi post pade to jaroor kuch guide kare .......
aap logon se mujhe kuch sikhna hai...

your admire..........hats up....for both of you....
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 01:59:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.113 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer