Bhookhey NaNgey Shaher maiN harsooN baste haiN khaleefe log

by harashmahajan on March 18, 2008, 05:02:03 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2874 times)
Talat
Guest
«Reply #15 on: March 19, 2008, 10:48:10 PM »
Reply with quote
sach baat to ye hai janab....
ke mai kai baar Harsh ji ki aur talat ji ki post hi padata rah jata hun aur... apani post karana bhool jata hun......

aur aap logon ko padane ke baad to mujhe shaq hone laga hai ke mai shayar bhi hun ya  nahi....
aur ek baat gar aap log meri koi post pade to jaroor kuch guide kare .......
aap logon se mujhe kuch sikhna hai...

your admire..........hats up....for both of you....

Bohot bohot shukriya Bekarar....aapne to sharminda kar diya... Thankyou ! for your compliments Usual Smile
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #16 on: March 20, 2008, 03:17:08 AM »
Reply with quote
Quote
Bohot bohot shukriya Harash aapki izzatafzaai ka.....hum aapko kya sikhayenge, hum to khud aapse seekhte hain...bohot bohot shukriya ki aapko humare sher pasand aaye...

Bohot hi khoobsurat likha hai aapne....




Aankh main paani nahin, dil main koi dhadkan nahin
Buton ki dunya main ab pathar ban gaye hain log

Koi apna nahin dikhta, wohi banawati chehre
In chehron ke peeche kyun chup gaye hain log

Dard ko wo kya samjhen, kya jaane dil ki baaton ko
Hum reh gaye peeche bohot, aage badh gaye hain log !!


Bahoot bahoot shukriyaa^h Talat ji.... bohat khoobsorat ashars post kiye haiN huzoor Talat ji aapne... aaj aapne memre dil ke kareeb our sabse pasaNdiida  ashars post kiye.... aapko  merii jaanib se duaoN ka dher mubarak ho... Our agay se Bekrar sahib ne bhi aisa reply kar ke toh humari pyaari zaban ka haal hi kharab kar diya ...wazeh aap bane our Sehra kutchh is our khisak aya. happy3..

Aisi ralli ki talash maiN na jaane sanam kahaaN-kahaaN gaye
Kisi gali maiN aisa talabgaar na mila hum JahaaN-jahaaN gaye.

Aapke ashars ke jawaabmaiN ab kya kahooN...our logoN ke baare maiN kehna apne aap maiN hi ek fazool si baat hai....

hum bhi hue dewaane aakhir dewanoN ki basti maiN
Koi toh apna doondne nikle beganoN ki basti maiN.

Chehra per chera laga ker har pal so-so rang bhare
Hum kho baithhe apni haqeekat afsaanoN ki basti maiN.

Jinki khatir khud ko jalaya woh perwane raakh hue,
Shama khadi hai muzrim banker parwanoN ki basti maiN.


Bhoot kaho ya keh do pathher gumrahi dastoor yahaN
'harash' KahaN tak bhatkoge tum veeranoN ki basti maiN

Harash
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #17 on: March 20, 2008, 03:38:53 AM »
Reply with quote
Bekrar wrote:-

Quote
sach baat to ye hai janab....
ke mai kai baar Harsh ji ki aur talat ji ki post hi padata rah jata hun aur... apani post karana bhool jata hun......

aur aap logon ko padane ke baad to mujhe shaq hone laga hai ke mai shayar bhi hun ya  nahi....
aur ek baat gar aap log meri koi post pade to jaroor kuch guide kare .......
aap logon se mujhe kuch sikhna hai...

your admire..........hats up....for both of you....

bekerar sahab ashars kii pasaNdagii ke liye maiN aapka shukr_guzaar hooN ......our janaab aapkii iss inaayat ke liye dil se mamnoon bhi hooN....maiN apne dostoN ki hausalaa_afzaaii aour aapki our unkii shirkat ka dil se shukr_guzaar hooN aour ummiid rakhtaa hooN kii aaiNdaa bhii apne jazbaat se iss bazm ki raunkeN baRhaate raheNge....khudaa aap ko salaamat rakhe...

Ye hamare lafz-e-andaaz nahiN jinhone rujha kiya tumko
Ye tumhara pyaar hi hai jo hamaare lafzoN ne paya hai

sadaa khush rahiye..


Harash
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: March 20, 2008, 03:39:34 PM »
Reply with quote


Bahoot bahoot shukriyaa^h Talat ji.... bohat khoobsorat ashars post kiye haiN huzoor Talat ji aapne... aaj aapne memre dil ke kareeb our sabse pasaNdiida  ashars post kiye.... aapko  merii jaanib se duaoN ka dher mubarak ho... Our agay se Bekrar sahib ne bhi aisa reply kar ke toh humari pyaari zaban ka haal hi kharab kar diya ...wazeh aap bane our Sehra kutchh is our khisak aya. happy3..

Aisi ralli ki talash maiN na jaane sanam kahaaN-kahaaN gaye
Kisi gali maiN aisa talabgaar na mila hum JahaaN-jahaaN gaye.

Aapke ashars ke jawaabmaiN ab kya kahooN...our logoN ke baare maiN kehna apne aap maiN hi ek fazool si baat hai....

hum bhi hue dewaane aakhir dewanoN ki basti maiN
Koi toh apna doondne nikle beganoN ki basti maiN.

Chehra per chera laga ker har pal so-so rang bhare
Hum kho baithhe apni haqeekat afsaanoN ki basti maiN.

Jinki khatir khud ko jalaya woh perwane raakh hue,
Shama khadi hai muzrim banker parwanoN ki basti maiN.


Bhoot kaho ya keh do pathher gumrahi dastoor yahaN
'harash' KahaN tak bhatkoge tum veeranoN ki basti maiN

Harash

Bohot bohot shukriya...Harash..aapki izzatafzaai ka, hauslaafzaai ka.....Hume bohot khushi hai ki aapne humara likhna pasand kiya..tah-e-dil se shukriya Thankyou !

Bohot hi umda likha hai aapne... Applause Applause


Ye shahar hai veeraan sa
Dikhta nahin koi insaan sa

Dikhte hain afsurda chehre
Uthaye kaandho pe saamaan sa

Tanha kabhi aise na the
Milta nahin koi humzubaan sa

Chath aur deewaaron ke saaye
Ghar nahin, bas ek makaan sa


Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #19 on: March 20, 2008, 06:27:05 PM »
Reply with quote
Bahoot bahoot shukriya....Talat ji merii jaanib se aapko bhi aapki tehreer per dher saarii mubaarak_baad haazir hai....Allaah aapko apnii parchhaayioN maiN rakkhe...

Talat wrote:-

Quote
Ye shahar hai veeraan sa
Dikhta nahin koi insaan sa

Dikhte hain afsurda chehre
Uthaye kaandho pe saamaan sa

Tanha kabhi aise na the
Milta nahin koi humzubaan sa

Chath aur deewaaron ke saaye
Ghar nahin, bas ek makaan sa


JahaaN cactus bhi nahi kabil jeene ke
wahaN mmaiNe khwaboN ka bageecha lagaya hai
Jarra-jarra zindagi ki aahat se mehfooz rahe
Mout ke is sheher maiN Fatwa badalwaya hai.


Harash
Logged
punam
Guest
«Reply #20 on: March 20, 2008, 06:42:48 PM »
Reply with quote
Main toh yehan kuch kehene ki kabil bhi nahi hun...Harsh ji and Talat di...aap bahot khoob likhte ho...
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #21 on: March 21, 2008, 03:43:41 AM »
Reply with quote
Shukrriyaa Punam ji.....Jo insaan is plateform per aa gaya...woh kaabil hi kabil hai punamm ji
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #22 on: March 21, 2008, 05:14:23 AM »
Reply with quote
Thanks harsh ji.....
and the thing is ..
ke apaki urdu pe pakad bahoot hi achchi hai...
lekin mai apase guzarish karunga ke aap sirf six / chah alfaz me yani ke ek line me sirf chah alfaz hon aisi koi nazm a gazal likhen.....
aisa mujhe kisi aur ne karane ke liye kaha hai aur mai isame apaki madad chahunga balki sabhi yo indian se kahunga...
haa jab mai use ye sunaunga to harsh ji aapka naam jarur bataunga...
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #23 on: March 21, 2008, 06:27:53 AM »
Reply with quote
Thanks harsh ji.....
and the thing is ..
ke apaki urdu pe pakad bahoot hi achchi hai...
lekin mai apase guzarish karunga ke aap sirf six / chah alfaz me yani ke ek line me sirf chah alfaz hon aisi koi nazm a gazal likhen.....
aisa mujhe kisi aur ne karane ke liye kaha hai aur mai isame apaki madad chahunga balki sabhi yo indian se kahunga...
haa jab mai use ye sunaunga to harsh ji aapka naam jarur bataunga...

bekerar ji maiN aapka intahayii mashkoor hooN..ke aapko hamari zubaaN maiN urdu zubaaN ki mithhas nazer aayii..ye sab ap logoN ka diya ilm hai dost..Verna hmare maiN kya mazaal ke hum ise poorri tarah pakad sakeiN....Be-hadd shukria bekerar jee 
Mujhe acha laga ye jaan kar k atleast kisi k to dil ki aawaaz hui meri shaairy,keep visiting.
 
Ab aapke swaal per Gour kerooNga ke aap kehna kya chahte haiN mere zehen maiN utra nahiN.....aapka six/chah se kya matlab hai....lafz chaar ya six ya...chag...jo hindi maiN hota hai....aap ise tafseel se samjhayeiN......

Bohat sa khush rahiye


Harash
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #24 on: March 21, 2008, 08:09:06 AM »
Reply with quote
Thanks harsh ji.....
and the thing is ..
ke apaki urdu pe pakad bahoot hi achchi hai...
lekin mai apase guzarish karunga ke aap sirf six / chah alfaz me yani ke ek line me sirf chah alfaz hon aisi koi nazm a gazal likhen.....
aisa mujhe kisi aur ne karane ke liye kaha hai aur mai isame apaki madad chahunga balki sabhi yo indian se kahunga...
haa jab mai use ye sunaunga to harsh ji aapka naam jarur bataunga...

bekerar ji maiN aapka intahayii mashkoor hooN..ke aapko hamari zubaaN maiN urdu zubaaN ki mithhas nazer aayii..ye sab ap logoN ka diya ilm hai dost..Verna hmare maiN kya mazaal ke hum ise poorri tarah pakad sakeiN....Be-hadd shukria bekerar jee 
Mujhe acha laga ye jaan kar k atleast kisi k to dil ki aawaaz hui meri shaairy,keep visiting.
 
Ab aapke swaal per Gour kerooNga ke aap kehna kya chahte haiN mere zehen maiN utra nahiN.....aapka six/chah se kya matlab hai....lafz chaar ya six ya...chag...jo hindi maiN hota hai....aap ise tafseel se samjhayeiN......

Bohat sa khush rahiye


Harash

imean to say only six words in one line +/- one may allowed.
for ex.
mere dard ke afsane kya sunaun..
tere julmon ke fasane kya sunaun.
meri badnaseebi mashhoor hai jamane me.
kyonkar ye kahani tum sabko sunaun
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #25 on: March 21, 2008, 08:29:50 AM »
Reply with quote
Adaab bekrar ji.......bohat hi haseen andaz hai aapka bhai,Ek achha our pu-asar ashar... ....isi tarah khubsoorat ashar likhte rahain aur is forum ko pur-ronak rakhain, best wishes.....

ShartoN per yuiN hi amal maangte haiN....
humari kalam se hi kalaam maangte haiN...
bai waah....


Leejiye janaaB koshish kerte haiN ki alfaaz six ki hud tak baspa raheiN.....

Uthha jo aitbaar apne yaar ka,
bas hua hai silsila Intzaar ka.

Kumlah gaye haiN phool mere bag ke
Dafn ho gaya hai mousamm karar ka.

Chhero na koi sur,abhi meri iltaza
Waise bhi nahiN hai, mousam bahar ka.

Achhi nahiN lagti mujhe ab koi sada,
Kya karooN maiN 'Harsh' apne ikhtiyaar ka.


Harash
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #26 on: March 21, 2008, 01:55:46 PM »
Reply with quote
Very Touching Harsh Ji,.
nice One,.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #27 on: March 23, 2008, 01:16:51 PM »
Reply with quote
Thanks harsh ji.....
and the thing is ..
ke apaki urdu pe pakad bahoot hi achchi hai...
lekin mai apase guzarish karunga ke aap sirf six / chah alfaz me yani ke ek line me sirf chah alfaz hon aisi koi nazm a gazal likhen.....
aisa mujhe kisi aur ne karane ke liye kaha hai aur mai isame apaki madad chahunga balki sabhi yo indian se kahunga...
haa jab mai use ye sunaunga to harsh ji aapka naam jarur bataunga...

bekerar ji maiN aapka intahayii mashkoor hooN..ke aapko hamari zubaaN maiN urdu zubaaN ki mithhas nazer aayii..ye sab ap logoN ka diya ilm hai dost..Verna hmare maiN kya mazaal ke hum ise poorri tarah pakad sakeiN....Be-hadd shukria bekerar jee 
Mujhe acha laga ye jaan kar k atleast kisi k to dil ki aawaaz hui meri shaairy,keep visiting.
 
Ab aapke swaal per Gour kerooNga ke aap kehna kya chahte haiN mere zehen maiN utra nahiN.....aapka six/chah se kya matlab hai....lafz chaar ya six ya...chag...jo hindi maiN hota hai....aap ise tafseel se samjhayeiN......

Bohat sa khush rahiye


Harash

imean to say only six words in one line +/- one may allowed.
for ex.
mere dard ke afsane kya sunaun..
tere julmon ke fasane kya sunaun.
meri badnaseebi mashhoor hai jamane me.
kyonkar ye kahani tum sabko sunaun


Bohat hi khoob likha hai Harash ji aur bekarar ji .. Clapping Smiley
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #28 on: March 24, 2008, 03:29:41 AM »
Reply with quote
bahoot bahoot shukriyaa^h jaanasheen ji our honey ji...khush raheiN....Harash
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #29 on: March 24, 2008, 02:23:00 PM »
Reply with quote
U Are Welcome Ji,. Shocked Even More love9
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 02:05:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer