Bohot Yaad Aati Hai Maa.....!!

by Talat on March 02, 2010, 12:40:51 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 17754 times)
Talat
Guest
«Reply #15 on: March 02, 2010, 07:22:27 PM »
Reply with quote
Jo Jazbaat Dil se Utre Ho,Unn Jazbaaton Ke Liye Hum Kya Keh Sakte hai..

Har lafz Sach Ka Aaena Hai..Ek tadap Si mehsoos Hui Iss Nazm mein..

Bahut Bahut Aur bahut Khoob Mere Dost!!!

Thanks you so much Dost..aapne humesha hausla badhaya hai, humesha aage chalne ke liye himmat di hai....bohot bohot bohot shukriya Dost Khwaish
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
BOHOT YAAD AATA HAI!!!!! by Talat in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 15 16 »
Aaj phir tum bohot yaad aaye !!!!!! by Talat in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 5 6 »
-Teri Yaad Bohot Aati Hai- by Meena is back in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3  All »
WO DOST BOHOT YAAD AATA HAI by sahal in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Suno!!!! Tum bohot yaad aate ho by shoebxie in Shayri for Khumar -e- Ishq
Talat
Guest
«Reply #16 on: March 02, 2010, 07:43:44 PM »
Reply with quote
bahut behatreen likha hai Talat ji   Applause Applause Applause Applause
dard bhari rachna,aapne apni mother ki yaad
me ye jo kavita likhi hai,ye sach me speechless hai
Maa hoti hi itni achi hain ki unke lie jo bhi likha jaye
tareef se upar hota hai.
May her soul rest in peace
God bless u

Thanks a lot Kaash Ji..Maa ko kho ke pata chala hai ki kitni qeemti cheez Khuda ne wapis le li humse.....Kaash hume apni Maa ki khidmat karne ka mauqa milta....Itni jaldi chali gayin....Thanks so much for understanding the pain....
Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: March 02, 2010, 07:58:12 PM »
Reply with quote
Dear Talat..INNALLAH MAA SABRI..!

Sabar Karne Walon Kr Saath ALLAH Hai
Sabar Kijiye ALLAH Uska Ajr Jarur Dega.

Aur Bahut Hi Khoobsurti Aur Sadgi Se Aapne
Haal e Dil Ko Lafzon Mein Piroya Hai.
Maa Ki Yaad Mein Likhi Gayi Yeh Nazm
Dard Bhari To Hai. Par Bahut Payri Bhi Hai.
Bahut Waqt Baad Aisa Kuch Parhne Ko Mila Hai.
Bahut Hi Asardaar .Dil Ko Chhune  Wali Nazm Hai
Aapka Dard Hume Bhi Lafzon K Zariye Mehsoos Hua.
Bahut Bahut Khub Ji....
Bas Aur To Kuch Nahi Kar Sakta Main Par Dua,
Jarur De Sakta Hoon ...

Main Dua Karunga ALLAH Pak Ammi Ji Ki
Kabar Ko Jannat Ke Baghon Mein Se Ek Baagh Bana De.
Aur Medan e Hashr Mein Unko Apne Arsh e Azeem Ke Saye Men Rakhe
Aur Bina Hisab Kitab Ke Jannat Mein A'la Muqaam Ata Kare.Ameen

Aur ALLAH Pak Aapko Bhi Sukun Bakshe
Aur Aapke Aage Ke Safar Ko Aasan Karenn..Ameen

Khush Rahiye...

~Shihab~

Shihab, aapke comments padh ke apne aansoo rok nahin paayi........beshak Allah sabr karne waalon ko pasand karta hai...Allah se dua hai mujhe bhi sabr ataa farmaaye....Allah mere ammi ke haq main meri ibadatain qubool farmaaye aur unhe Jannat-ul-firdaus main aa'ala muqaam ata kare, ameen.....

Thanks so much dear aapne bohot hausla diya.....Allah aap ko khush rakhe......Thanks a lot for your prayers and appreciation of this poetry which is very close to me....
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: March 03, 2010, 08:06:18 AM »
Reply with quote
bahut hi umda likha hai

Thank you Sam
Logged
Talat
Guest
«Reply #19 on: March 03, 2010, 12:13:46 PM »
Reply with quote
Sabar Karp Sis,.
Inshallah Allah Iska Aapko Ajar Dega,.

Allah Reham Kare,.

Thank You Azeem...Haan Bhai, Allah sabr dene waala hai...I will be fine....
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #20 on: March 03, 2010, 12:45:34 PM »
Reply with quote
Talat ji maa ki yaad mein aapne bahut achhi nazm likhi hai. Allah rabbul izzat aapko sabre-jameel ataa farmaye. Ye duniya-e-faani to ek din sabhi ko chhodni hai. Mujhe bhi apni maa ki bahut yaad aati hai, bas uske dulaar, shafqat ko yaad kar ke aur uske liye dua-e-maghfirat karke rah jaate hain. Jinke maa-baap ya inme se koi ek hayaat hain unhen chahiye ke zyada se zyada unki khidmat aur farmabardari karein, ye wo saaye hain jo ek baar chale jayen to phir laut kar nahi aate.
Logged
Talat
Guest
«Reply #21 on: March 03, 2010, 12:48:11 PM »
Reply with quote
Sach kaha apane Riyaz Ji...Allah Ta'ala humari dua aur Ibadatain unke haq main qubool farmaaye, ameen......Beshak, jinke paas ye daulat hai, unhe apne Maa-baap ki khidmat main koi kami nahin karni chahiye, ki ye Khuda ka bohot haseen tohfa hai insaan ke liye.
Logged
Abdul Qadeer Toopchi
Guest
«Reply #22 on: March 06, 2010, 08:53:30 AM »
Reply with quote
Salamwalekum Talat Bahen , aaj bade din baad Yo pe ayah on , Kissi na kaha ke aap walda Mahutram ki Fauth Ho gayi hai , To raha na gaya , Khuch Rishte Bina kissi naam ke hote hain , shayad aps e Mera bhi wohi Rishta hai , Allah rub ul izzath se duwa hai ke ammi Ko janath ul firdos me ala tar muqaam ata kare , aur Unko kabr ke azaab se maheroom rakhe , Unko Sukoon se letaya jaya ,  khuch afaz apki himmat afza-e- ke liye Likh raha hon , Gaur se Pad lena ..

Maa -  kya tujhe maloom kal dayar a gair me kya howa !!
Kal raath eak qaub , khud apni tabir liye meri qaubgah me tahel raha !!

Maa kal raath needh ne jub mujhe apni agush me liya !!
Bhool ke saari dunya daari jab Ye Jism soo gaya !!

To maine dekha , too Mere Sar pe haath pher rahi thi ..
Aur kahe rahi thi ke beti Khud ko Tanha na samajh !!

Mai aur meri ruh har pal har lamha tere Irdh Girdh hain !!
Tandhi Hawa ka Jhunka jab Teri Jabeen ko Chukar Guzre !!

To samjh lena Meri Ruh tere aas paas hai !!

Beti Ye mat samajh ke Meri maut ne mujhe tujh se Juda kar diya !!
Mai to bus tujh se parda hon , Tassavur me to mujhe Dekh sakti hai ..
Mujh sun sakti hai , Mai faani duniya se laafani Jaga Aagyi hon ..

Beti Mai Maa hon Teri ,
Mera Naam to Tujh Hamesha Juda hai ,
 Hashr ke Din bhi Tujhe mere Hi naam se Bulaya Jayega ..

Tu kabhi ye Na samajh ke Mai juda ho gayi hon ,
 Teri khushiyan me Mai khilkhilati hon ,
 Tere Gham me Udaas ho jaati hon ,
Jab teri Tabiyath Na saaz hoti hai mai tere Sarhane hoti hon ,
Bus Qamush si ho gayi hon ,
Meri Qamushi ko Mahesos kar beti ,
teri Tanha-e-yan Khikhila Uthengi ,

To jab rooti hai To mai roo deti hon ,
To hasti hai to hass deti hon ,

Mujh pe rahem Kar beti ,
Is tarha mujhe na rula ,
To muskrayegi mai muskuraungi ,
Hamesha Muskurati rahena ..
Khush rahena , Abaad rahena ,

Ap mujhe har pal khush rakhna , Mai roona nahi chahti beti ,, Mai tujh me aaj bhi zinda hon …

Now Me too crying , Iska nahi likh sakta ,

Allah Apki Ammi Ko Janath ul firdous me jaga de .. Ameen ..

Apka bhai ..

Qadeertoopchi
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #23 on: March 07, 2010, 10:26:27 AM »

Bahut Bahut Khooob Qadeer Bhai..

Bahut Khoobsurat Jazbaat!!! Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #24 on: March 09, 2010, 12:07:43 PM »
Reply with quote
Salamwalekum Talat Bahen , aaj bade din baad Yo pe ayah on , Kissi na kaha ke aap walda Mahutram ki Fauth Ho gayi hai , To raha na gaya , Khuch Rishte Bina kissi naam ke hote hain , shayad aps e Mera bhi wohi Rishta hai , Allah rub ul izzath se duwa hai ke ammi Ko janath ul firdos me ala tar muqaam ata kare , aur Unko kabr ke azaab se maheroom rakhe , Unko Sukoon se letaya jaya ,  khuch afaz apki himmat afza-e- ke liye Likh raha hon , Gaur se Pad lena ..

Maa -  kya tujhe maloom kal dayar a gair me kya howa !!
Kal raath eak qaub , khud apni tabir liye meri qaubgah me tahel raha !!

Maa kal raath needh ne jub mujhe apni agush me liya !!
Bhool ke saari dunya daari jab Ye Jism soo gaya !!

To maine dekha , too Mere Sar pe haath pher rahi thi ..
Aur kahe rahi thi ke beti Khud ko Tanha na samajh !!

Mai aur meri ruh har pal har lamha tere Irdh Girdh hain !!
Tandhi Hawa ka Jhunka jab Teri Jabeen ko Chukar Guzre !!

To samjh lena Meri Ruh tere aas paas hai !!

Beti Ye mat samajh ke Meri maut ne mujhe tujh se Juda kar diya !!
Mai to bus tujh se parda hon , Tassavur me to mujhe Dekh sakti hai ..
Mujh sun sakti hai , Mai faani duniya se laafani Jaga Aagyi hon ..

Beti Mai Maa hon Teri ,
Mera Naam to Tujh Hamesha Juda hai ,
 Hashr ke Din bhi Tujhe mere Hi naam se Bulaya Jayega ..

Tu kabhi ye Na samajh ke Mai juda ho gayi hon ,
 Teri khushiyan me Mai khilkhilati hon ,
 Tere Gham me Udaas ho jaati hon ,
Jab teri Tabiyath Na saaz hoti hai mai tere Sarhane hoti hon ,
Bus Qamush si ho gayi hon ,
Meri Qamushi ko Mahesos kar beti ,
teri Tanha-e-yan Khikhila Uthengi ,

To jab rooti hai To mai roo deti hon ,
To hasti hai to hass deti hon ,

Mujh pe rahem Kar beti ,
Is tarha mujhe na rula ,
To muskrayegi mai muskuraungi ,
Hamesha Muskurati rahena ..
Khush rahena , Abaad rahena ,

Ap mujhe har pal khush rakhna , Mai roona nahi chahti beti ,, Mai tujh me aaj bhi zinda hon …

Now Me too crying , Iska nahi likh sakta ,

Allah Apki Ammi Ko Janath ul firdous me jaga de .. Ameen ..

Apka bhai ..

Qadeertoopchi

Aameeen,.

Bohat Sachche Jazbaat bayaan Kiye Hain Aapne,.

Allah Kareem Sabke Sar Maa baap Ka Saaya Rakhe,.
Aameen,.

Jinko Wo Bulaa Liye Hain Unki Maghfirat Kare
Logged
Talat
Guest
«Reply #25 on: March 10, 2010, 12:34:12 PM »
Reply with quote
Salamwalekum Talat Bahen , aaj bade din baad Yo pe ayah on , Kissi na kaha ke aap walda Mahutram ki Fauth Ho gayi hai , To raha na gaya , Khuch Rishte Bina kissi naam ke hote hain , shayad aps e Mera bhi wohi Rishta hai , Allah rub ul izzath se duwa hai ke ammi Ko janath ul firdos me ala tar muqaam ata kare , aur Unko kabr ke azaab se maheroom rakhe , Unko Sukoon se letaya jaya ,  khuch afaz apki himmat afza-e- ke liye Likh raha hon , Gaur se Pad lena ..

Maa -  kya tujhe maloom kal dayar a gair me kya howa !!
Kal raath eak qaub , khud apni tabir liye meri qaubgah me tahel raha !!

Maa kal raath needh ne jub mujhe apni agush me liya !!
Bhool ke saari dunya daari jab Ye Jism soo gaya !!

To maine dekha , too Mere Sar pe haath pher rahi thi ..
Aur kahe rahi thi ke beti Khud ko Tanha na samajh !!

Mai aur meri ruh har pal har lamha tere Irdh Girdh hain !!
Tandhi Hawa ka Jhunka jab Teri Jabeen ko Chukar Guzre !!

To samjh lena Meri Ruh tere aas paas hai !!

Beti Ye mat samajh ke Meri maut ne mujhe tujh se Juda kar diya !!
Mai to bus tujh se parda hon , Tassavur me to mujhe Dekh sakti hai ..
Mujh sun sakti hai , Mai faani duniya se laafani Jaga Aagyi hon ..

Beti Mai Maa hon Teri ,
Mera Naam to Tujh Hamesha Juda hai ,
 Hashr ke Din bhi Tujhe mere Hi naam se Bulaya Jayega ..

Tu kabhi ye Na samajh ke Mai juda ho gayi hon ,
 Teri khushiyan me Mai khilkhilati hon ,
 Tere Gham me Udaas ho jaati hon ,
Jab teri Tabiyath Na saaz hoti hai mai tere Sarhane hoti hon ,
Bus Qamush si ho gayi hon ,
Meri Qamushi ko Mahesos kar beti ,
teri Tanha-e-yan Khikhila Uthengi ,

To jab rooti hai To mai roo deti hon ,
To hasti hai to hass deti hon ,

Mujh pe rahem Kar beti ,
Is tarha mujhe na rula ,
To muskrayegi mai muskuraungi ,
Hamesha Muskurati rahena ..
Khush rahena , Abaad rahena ,

Ap mujhe har pal khush rakhna , Mai roona nahi chahti beti ,, Mai tujh me aaj bhi zinda hon …

Now Me too crying , Iska nahi likh sakta ,

Allah Apki Ammi Ko Janath ul firdous me jaga de .. Ameen ..

Apka bhai ..

Qadeertoopchi

Walaikum  assalam Qadeer Bhai,

Aapki qalam se nikle ye alfaaz jahan ek taraf aankhon main aansoo le aaye, wahin doosri taraf behad tasalli bhi hui ki meri Maa humesha mujhe khush dekhna chahti theen..........Aapne jis mohabbat se yahan likha aur duaain meri ammi ke liye ki, mere paas iska koi jawab nahin hai.....Tah-e-dil se aapka shukriya ada karti hoon.....Bohot bohot shukriya Qadeer bhai....

Logged
Talat
Guest
«Reply #26 on: March 10, 2010, 12:36:58 PM »
Reply with quote
Aameen

Talat Ji....
Mujhey Khushi Hui Khuda Par Aapka Itna Yaki Dekhkar

Aur Main Aapka Dard Baantna Chahta Tha Na Ki Aapko Dard Dene...
Main Maafi Chahta Hun Ki Meri Wajah Se Aapki Aankhon Mein Phirse Aansu Aaye...

Aur Ji Medan e Karbala K Manzar Ko Yaad Kar Lijiye
Insha  ALLAH Aapka Dard Thorha Kam Ho jaayega.
Aur Aapko Hausla Bhi Milega....
Baaki Humara Kya Hai Hum To Bas Do Baatne Likhkar
Chale Jaayne...Par Aapke Dil Pe Kya Bit Rahi Hogi
Yeh To Aap Hi Jante Honge...
Khair Ab Aur Bhala Main Kya KahuN Aap Mujhse Kahin Jyada
Samajhdaar Hai...ALLAH Aapko Sukun Bakshe
Main To Duao,n Ke Siwa Kuch Nahi Kar Sakta Ji..

Khush Rahiyega...

ALLAH Hafiz...

~Shihab~

Shihab,

Agar Khuda pe bharosa nahin kiya to phir mere wujood ke hi koi ma'ayene nahin reh jaayenge......Uska banaya hua nizaam hai, Uski ki duniya hai, Hum to sirf uski bandagi ke liye hain.....

Sach kaha hai aapne, duniya humesha nahin rahegi, aur ek din Uske saamne haazir hona hai sab ko......

Aapki duaaon ka bohot bohot shukriya...

Talat
Logged
Talat
Guest
«Reply #27 on: March 10, 2010, 12:39:07 PM »
Reply with quote
Mere Paas Kuch Kahane Ke Liye Lafz Nahi Hai Talat Di.. Bassss Itna Kahunga Ki Dil Se Likha Aapka Yeh Qalaam Dil Tak Utar Gaya..!!  notworthy notworthy

Taareef Me Mere Paas Yeh Taaliyaan Hi Hain..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

**~** Mann **~**

Bohot bohot shukriya Mann Ji...
Logged
Talat
Guest
«Reply #28 on: March 10, 2010, 12:40:59 PM »
Reply with quote
Dear Talat, aapki ye dard mai samaj sakti hu. Aisa daur se hum guzarke aaye hai. bahut mushkil zarur hai.

Aapne ammi pe bahut bahut accha dil se likha hai. Hamari yahi dua hai k aap ko bhagwan shakti de k ye daur se aap nikal sake.

God bless you dear. Keep smiling always
 
Thanks a lot Roja dear...main samajh sakti hoon kyunki aapne jis tarah se apne Maa aur phir Papa ko jaate dekha hai aur khud ko sambhala hai, wo qaabil-e-tareef hai......Thanks for your prayers dear.......May God bless you too....
Logged
Talat
Guest
«Reply #29 on: March 29, 2010, 10:38:19 PM »
Reply with quote
very touching.........talat.....dil ko choo liya is rachna ne.......

Thank You Sanjeev JI, aapne iss dard ko mehsoos kiya..share kiya.....
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:27:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer