Chaand Sitaaron Ki Jordi Ko Allah Rakhe,.

by Abdul Azeem Azaad on July 19, 2018, 04:31:40 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 555 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Reply with quote
Tujhse Bichard Kar Jeena Asaan Nahi Tha,.
Maine Bohat Tareeqe Dhoonde Tujhe Bhulaane Ke,.

Phir Bhi Na Jaane Kyun,.
Teri Maujoodgi Ka Ehsaas,.
Dil Ke Kisi Kone Mein Dhadakta Hai,.

Tujhse To Pehle Sa Naata Nahi,
Lekin Tu Hamesha Meri Adhoori "Aarzu Rahegi,.
Main Mohabbat Ki Is Qaid Se
"Azaad Hojaaoon Bhi To Kya,.

Dil Tere Liye Duaaein Karta Hi Rahega,.
Tujhe Na Dekhoon Bhi To Kya,.

Wo Jo Mohabbat Humne Ki Thi,
Bachpana Tha,.
Tumhe To Maloom Hoga,
Ki Bachchon Ke Dil Saaf Hote Hain,.

Magar Jo Bhi Ehsasaat The Wo Sachche The,.
Har Duaa Mein Tumhe Maanga Tha,.

Ye Bhool Kar Ki Sitaare, Baadal, Khushboo,.
Bas Dekh Sakte Hain Aur Mehsoos Kar Sakte Hain,.
Inhe Haasil Nahi Kar Sakte,.

Sitaaron Ki Jaagah Chaand Ke Paas Hi Hoti Hai,.
Baadalon Ka Ambar Mein Hi Thikaana Hota,.
Aur Khushboo Ka Haqdaar Bhagbaan Hi Hota Hai,.

Main To Ek Raat Tha,.
Jo Sitaaron Ko Paane Ki Hasrat Kar Baitha,.
Ye Bhool Kar Ki Uske Naseeb Mein Wo Mehtaab Hai,.
Jo Sitaaron Ki Chamak Ko Aur Badhaa Deta Hai,.

Main Ek Hissa Tha Raat Ka,.
Jo Chaand Ke Aane Se Gayab Hogaya,.
Tum Chaand Sitaaron Ki Jordi Ko Allah Rakhe,.

Guzre Hue Waqt Ki Kitaab Ko Maine,.
Almaari Mein Rakhdiya,.
Bas Kabhi Kabhi Dhool Jhatakne Ki Khateer,
Haath Mein Uthaa Leta Hoon,.

Aur Wo Khissa Yaad Aata Hai,.

Azeem Azaad,.
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #1 on: July 19, 2018, 07:43:37 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob.
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: July 19, 2018, 10:19:57 PM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob.
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Shukriya Bhai Sahab,.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:32:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer