Chal chalen (NM)

by vb on August 24, 2010, 12:41:25 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1327 times)
vb
Guest
Reply with quote
Monitors to please delete....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
chal by ANAMAKA777 in Share:Funny Poetry
Chalo Chalen~~~Raahi~~~ by Rahi2001 in Shairi - E - Zindagi
chalen vb? dehleez-e-daar aa gai hay (by vb) by vb in Ghazals « 1 2  All »
SAMUNDER HEE LE CHALEN..............................SAINI by sksaini4 in Ghazals « 1 2  All »
Kahin Door Chalen...!! (Adab) by drpandey in Shayri-E-Dard
.adeeb
Guest
«Reply #1 on: August 24, 2010, 02:08:52 PM »
Reply with quote
Behad khubsurat nazm likhi hai VB ji. Kamaal ka takhayyul, umdb alfaz ka intikhab ka natija  hai ke ek shandar purlutf nazm wajood me aai. Mubarakbad aur daad pesh hai.
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #2 on: August 24, 2010, 04:38:08 PM »
Reply with quote
bht hi pyara likha hai aapne VB ji....
bilkul naye naye lafz padhe hain aaj aur inhe bayaan karne ka tarika bhi naya ahi.....

bht pyari peshkash ji
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: August 25, 2010, 02:41:00 AM »
Reply with quote
bahut khoob Vb ji....!!!!
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #4 on: August 26, 2010, 08:03:04 AM »
Reply with quote
pasting from old poetries...


Chal chalen vb ab is gali say kahin
Chaar din hain kisi taur kat jain gay
Kub talak is jahan main rahaa hay koi
Gham k baadal kisi roze chhat jain gay

Is gali ko magar dakhe lain ik nazar
Sookhay paton ka urna, khizaan, ye shajar
Itnay veeraan, khaamosh, deewar-o-dar
Is gali k makeen, chhore kar apna ghar

Ab k aayay agar, tu palat jain gay
Chaar din hain kisi taur kat jain gay

Ik unhin ne jahaan main sahaara diya
Aye khuda un k jalway salaamat rahen
Khush rahen wo sadda musuratay rahen
Un ki baaten haseen taa-qayamat rahen

Hum rahen mat rahen, ghum tu ghat jain gay
Chaar din hain kisi taur kat jain gay



good one vb ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #5 on: August 31, 2010, 02:50:22 AM »
Reply with quote
pasting from old poetries...


Chal chalen vb ab is gali say kahin
Chaar din hain kisi taur kat jain gay
Kub talak is jahan main rahaa hay koi
Gham k baadal kisi roze chhat jain gay

Is gali ko magar dakhe lain ik nazar
Sookhay paton ka urna, khizaan, ye shajar
Itnay veeraan, khaamosh, deewar-o-dar
Is gali k makeen, chhore kar apna ghar

Ab k aayay agar, tu palat jain gay
Chaar din hain kisi taur kat jain gay

Ik unhin ne jahaan main sahaara diya
Aye khuda un k jalway salaamat rahen
Khush rahen wo sadda musuratay rahen
Un ki baaten haseen taa-qayamat rahen

Hum rahen mat rahen, ghum tu ghat jain gay
Chaar din hain kisi taur kat jain gay



Good one vb
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: August 31, 2010, 06:05:27 AM »
Reply with quote
wah sarkaar kya khoob kahi aapne... bahut khoobsurat andaaz me aapne dard ko bayaan kiya hai.. bahut bahut khoob ... aapki har kalaaam apne ap me ek misaal hai... dil khush ho jaata hai apko padh ke... bahut bahut umda likhte hain aap... yunhi likhte rahiye jisse humein bhi aapko padhne ka mauka milta rahe...!!!


********* Qaaf *********


Ishq aur maut main fark bachta hay kya?
Jaan nikalti hay, saansen ruki jaatee hain
Ab k soen tu uthna nahi phir kabhi
Neend say aaj aankhen bujhi jaatee hain

Un k bazu khulay na hamaaray liyay
Maut k baazuon main simat jain gay
Chaar din hain kisi taur kat jain gay

Ik qadam un ko chalna gawaara nahi
Geet likh likh kar un ko bulaatay rahay
Har lafaz qasm khaata raha pyaar ki
Har lafaz say wo nazren churaatay rahay

Manzilen raaston say pashemaan sahi
Raastay manzilon say lipat jain gay
Chaar din hain kisi taur kat jain gay

Ik sharaabi ka duniya main jeena he kya
Us say paymaan-e-ulfat karay kya koi
Jis ki qismat nasha, marg-e-aawaargi
Aisay paagal ki chahat karay kya koi

Aaj may baykaraari main hay jis qadar
Jaam lagta hay saaray ulat jain gay
Chaar din hain kisi taur kat jain gay

Un say keh do k jaatay tu hain hum magar
Yaad aatay rahain gay unhen umr bhar
Aur ye keh do qazaa say k aa jayay abb
Is say pehlay k puhnchay koi chaara-gar

Jaan hay jab talak, uth na pain gay hum
Mar k is aastaanay say hat jain gay
Chal chalen vb ab is gali say kahin


Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 06:17:29 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:53:30 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]

[October 29, 2024, 06:05:52 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.123 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer