ChiriyaaN Ka Ghar Tuta Tha......masoom

by Masoom Shahzada on April 17, 2013, 01:31:32 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1083 times)
Masoom Shahzada
Guest
Reply with quote

Unko bhulaake, ak baar soch gayaa, Kyaa buraa kiyaa.
Saaree raat ibaadat kee, sahree me so gayaa, Kyaa buraa kiyaa.
.
Daadaa ne kahaa tha, baraa aadmee bankar hee waapas aana.
MaiN baraa ban na sakaa, so yaheeN ka ho gayaa, Kyaa buraa kiyaa.
.
Shahar me rahna tha so seekh lee chalakii, makkaarii.
MaiN gaanv ka bholaapan bhol gayaa, Kyaa buraa kiyaa.
.
Chupchaap tamaashaa dekh rahe the sab larkiyoN se cher-chaar ka.
Jo bheer dekhii, maiN bhii thahar gayaa, Kyaa buraa kiyaa.
.
Sabka sawaal tha, es baar chhuttiyoN mein jana kahaaN chahoge.
Dil mein Madeena tha, Gaanv nikal gayaa,, Kyaa buraa kiyaa.
.
Mujhko mila bachpan se kamjor dil ka tamgaa.
ChiriyaaN ka ghar tutaa tha, maiN ro gayaa, Kyaa buraa kiyaa.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: April 17, 2013, 02:27:18 PM »
Reply with quote
waaah waah bahut dino ke baad aaye tumhe khoob miss kiyaa
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: April 17, 2013, 02:30:36 PM »
Reply with quote
Mujhko mila bachpan se kamjor dil ka tamgaa.
ChiriyaaN ka ghar tutaa tha, maiN ro gayaa, Kyaa buraa kiyaa.

Bahut badhiya masoom
Logged
suman59
Guest
«Reply #3 on: April 17, 2013, 02:32:21 PM »
Reply with quote

Unko bhulaake, ak baar soch gayaa, Kyaa buraa kiyaa.
Saaree raat ibaadat kee, sahree me so gayaa, Kyaa buraa kiyaa.
.
Daadaa ne kahaa tha, baraa aadmee bankar hee waapas aana.
MaiN baraa ban na sakaa, so yaheeN ka ho gayaa, Kyaa buraa kiyaa.
.
Shahar me rahna tha so seekh lee chalakii, makkaarii.
MaiN gaanv ka bholaapan bhol gayaa, Kyaa buraa kiyaa.
.
Chupchaap tamaashaa dekh rahe the sab larkiyoN se cher-chaar ka.
Jo bheer dekhii, maiN bhii thahar gayaa, Kyaa buraa kiyaa.
.
Sabka sawaal tha, es baar chhuttiyoN mein jana kahaaN chahoge.
Dil mein Madeena tha, Gaanv nikal gayaa,, Kyaa buraa kiyaa.
.
Mujhko mila bachpan se kamjor dil ka tamgaa.
ChiriyaaN ka ghar tutaa tha, maiN ro gayaa, Kyaa buraa kiyaa.


Wah beta bahut dino baad damakedaar entry... excellant shayri
last four lines are vry vry good.
Logged
sarfira
Guest
«Reply #4 on: April 17, 2013, 03:27:13 PM »
Reply with quote
bht khoob
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #5 on: April 17, 2013, 04:35:34 PM »
Reply with quote

Unko bhulaake, ak baar soch gayaa, Kyaa buraa kiyaa.
Saaree raat ibaadat kee, sahree me so gayaa, Kyaa buraa kiyaa.
.
Daadaa ne kahaa tha, baraa aadmee bankar hee waapas aana.
MaiN baraa ban na sakaa, so yaheeN ka ho gayaa, Kyaa buraa kiyaa.
.
Shahar me rahna tha so seekh lee chalakii, makkaarii.
MaiN gaanv ka bholaapan bhol gayaa, Kyaa buraa kiyaa.
.
Chupchaap tamaashaa dekh rahe the sab larkiyoN se cher-chaar ka.
Jo bheer dekhii, maiN bhii thahar gayaa, Kyaa buraa kiyaa.
.
Sabka sawaal tha, es baar chhuttiyoN mein jana kahaaN chahoge.
Dil mein Madeena tha, Gaanv nikal gayaa,, Kyaa buraa kiyaa.
.
Mujhko mila bachpan se kamjor dil ka tamgaa.
ChiriyaaN ka ghar tutaa tha, maiN ro gayaa, Kyaa buraa kiyaa.



bahut bahut Khooob Masoom Ji..

Gehre Khayalaat....

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: April 17, 2013, 05:51:54 PM »
Reply with quote
bahut khoob , masoom sahib. bahut achcha
kalaam pesh kiya hai . bahut mubarakbad.
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #7 on: April 17, 2013, 05:52:45 PM »
Reply with quote
chiriyaaN ka ghar toota tha, maiN ro gaya kya bura kiyaa.....

wah saaheb was, bas mazaa aa gaya, bahut hi umda, is aakhiri sher pe meri taraf se ik rau... par thoda intezaar karna padega... Usual Smile likhte rahiye saaheb aur bazm ko roshan karte rahiye...
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #8 on: April 18, 2013, 02:41:29 AM »
Reply with quote
Masoom Pyaare Aadaab...!


KahaaN gum ho janab, bade dinoN baad haazri lagayi.. ?
Bade achche ashaar jode haiN aapne... waise toH sabhi ashaar behad khoob rahe.. par hume aakhri ke dono ashaar laa jawaab lage.. Usual Smile

HazaaroN dili daad O mubbarakbad kabul kijiye..

Likhate rahiye... bazm meiN aate rahiye.. Shaad O aabaad rahiye..
Khuda Hafez... Usual Smile


Logged
aqsh
Guest
«Reply #9 on: April 18, 2013, 02:00:39 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
wowwwwwwwww. masoom kitni pyaari ghazal likhi hai tumne. kya khoob ashaar hai. kisi ek ki tareef kya karoon sabhi hi lajawaab hai. dil se mubarkbad qubool karo.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 08:04:30 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer