chubhan.......sheba

by Sheba on May 24, 2011, 06:34:47 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1963 times)
dead heart
Guest
«Reply #15 on: May 25, 2011, 01:12:53 PM »
Reply with quote
Akhri do ashaar, Sheba jee behad khaas hai..
Maine hamesha yehi stand liya hai kay jazbaaton ko parro..
Khwaish dost agree karenge mere saath kay maine kayi kalam sirf
issi baat ko darshane kay liye likhe hai..
Khair, dil se daad..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye.!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dil ki chubhan by Nino in Shayri-E-Dard
***Kandia'n Di Chubhan*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Dard -e- Judai
kanton ki chubhan by saahill in Shayri-E-Dard
|| Chubhan.....Priya...|| by manzil-e-ishq in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
chubhan by miss impossible in Shayri for Khumar -e- Ishq
nirala
Guest
«Reply #16 on: May 25, 2011, 01:33:51 PM »
Reply with quote
good
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #17 on: May 25, 2011, 01:50:29 PM »
Reply with quote
Sajid Ji, main Aapke har Ek baat Ki kadar karta Hoon Aur Yakeen maniye Main Yeh Jaanta Hoon Ke Aap Yakeenan Apni Taraf se kisi ke behtari ke liye yeh keh rahe hai Par Dost, Agar Hum samjhte Hai ke Humein Koi Guun Hai,Yaa Koi Kaabliyat To Hum Dusre Ko yeh Baat Ek P.m ke Zariye Bhi Keh sakte Hia Ke "Haan, Main Jo Soch Raha Hoon, uss Hisaab se Aisa Nahi Hona Chahiye" par Apna Yuh Open Thread mein Kisi Ko Salaah Dena Jaayaz Nahi..Main Koi Shayar Nahi Par Main Upar Likhi Gayi Ghazal ka Har Ek As'haar Mein CHupe Jazbaatton Ko Samaj Sakta Hoon..
bas Aapse Itni Si Guzaarish Hai Ke Insaaniyat Ke Naate,"jab kisi Ki tareef Karo To Dil Se Karo Jab Aapko Lagta Hai Ke Kuch Kami-Peshi hai To Usse Yeh Baat Akele Mein Kaho,Woh Kabhi Bura Nahi Maanega..

Shukriya Dost!!! icon_flower

khwaish saheb aap bohat achche insaan hai aur aapki achchaiee aapki bato me jhalakti hai...lekin yaha baat mere ya aapke achche hone ki nahi hai na hi yaha baat insaniyat ki ho rahi hai.......Yoindia par shero shayri hoti aur shero shayri par baat karna is also one the important part of this site.

Aaj Yoindia par sabkuch ho raha hai siway achchi shayri ke aur yeh baat aap bhi achchi tarah jaante hai........yaha hum kisi ke dil me ghoos kar nahi dekhte ke woh kya soch raha tha......hum jo padhte hai usi hisaab se comment dete hai........ab agar har kisi ko PM karna pade to open thread ka matlab hi kya reh jayega, agar aisa hai to koi nayee thread nahi banaye sabko apne kalam PM hi kar diya kare.

Yeh baat aap bhi jante hai ke maine jo Sheba jee se kaha unki behtari ke liye kaha aur isme aur member ki bhi behtari hai....and i have all the right to that because its an open thread ha shart yeh hai ke main apni baat achche tarike se samjaoo jo maine samjhayee.

Yaha mostly bina sar pair ke shero par badi badi Wah ki jaa rahi hai........agar main un wah wah karne walo se yeh pooch lu ke aapko kya samajh aaya to yaqeen janiye unke pass jawab nahi hoga. Humne Yoindia par discussion bilkool bandh sa kar diya shayri par. Jisko dekho personnel ho jata hai arey yeh kya baat hui. Yaha Koi Ghalib nahi hai main to khud apne aapko Yoindia ka sabse bura shayer maanta hu aur hamesha manta rahuga.

Meri guzarish hai members se ke shayri par baatein karein apni kamiyo par baatein kare isse aapki shayri me aur nikhaar aayega........isme koi sharm ki baat nahi hai.

Anyway main to ab poori tarah confuse hu ke kiski islah karni hai kiski nahi jab monitors khud confuse hai to main kya kar sakta hu, par main kisi ko PM karke batane wali baat ke bilkool favour me nahi hu.......islah karna ek achcha kaam hai koi gunah nahi jo chup chupa ke kiya jaaye.

Anyway galti meri hai maujooda Yoindia ke halaat ko dekhkar mujhe khamosh hi rehna chahiye tha.

Allah Hafiz.
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #18 on: May 25, 2011, 02:31:01 PM »

Yeh Thread Ussi Orre Chala Jaa Raha Hai Jahan main Bilkul Bhi Isse Jaane Nahi Dena Chaahta Tha..Khair..Aapki Baaton Se Main Ittefaak Rakhta Hoon Ke Hum Sab Yahan Sher-o-shayari karte bhi hai aur ek dusre se seekhte bhi hai Par Aaj agar iss Thread Ki Aap baat karte ho to mere hisaab se yahan par Do Raaye Hai,Ek Aapki Raaye Jo Ek Alag Baat kehti Hai Aur ek Dusri Raaye Jo Kuch Aur kehti Hai..Bahut fark ho raha Hai inn Do Baaton mein..iss ghazal par Baaki Jitne Bhi Log Comment kar rahe Hai Woh Unki Apni Soch Hai..Aur Jahan Tak Main dekh sakta Hoon,Sab Iss Ghazal Ko pasand Farma rahe hai,aur haan yeh sirf bin soche samjhe Waah-Waah karne wale log nahi..Aur Apni Kamiyo par Baat karne par sharam kaisi Dost lekin baat Jab Ek tareeke Se Ho to Achi lagti hai..main open Forum mein kisi Ki kamiyan Ginaane Ke Khilaaf hoon,Yeh Merri Apni Zyaati Soch Hai Aur Shayad Meri yeh Soch Aapko Bilkul Gawaara Naa Ho..Par sach kehne par Sankhoch Kyon...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006

View Profile
«Reply #19 on: May 25, 2011, 04:14:54 PM »
Reply with quote

                    sahte ho zulm kyon khamosh rah kar..,
                    samajhte hain phir bhi tumhein sitamgar...,

                    guzre uss roz jo tum meri gali se,
                    batayaa dariche ke chilman ne aa kar,

                    chubhta hai mera hi pyaar na jaane kyon,
                    dekhna zara kisi khaar ko bataa kar,

                    hue fanaa to bhi muskuraye gi mohabbat,
                    haasil kya parwaane sa jigar rakh kar,

                    nahin hai 'noor' khazane mein ab sheba..........!
                    tum aao to rakhe ge andhere ko sajaa kar.....!

Pehle  A'shaar mein "Kyon" Lafz istemaal kiya gaya hai..Ke Kyon sehte ho har zulm ko khamosh reh kar,jabki yahan tumhe khud sitam karne walo mein Gina Jaata hai..

Dusre A'shaar Mein Ek Seedhi Baat kahi gayi Ke Tum Jis Din Tum Mere Ghar Meri gali se Guzre The Mujhe Khabar Hui Khud Chilman (Khidki) ki Dariche Se Jhaankar..

Teesre A'shaar mein Yehi Kaha Gaya hai ke, Mera Hi Pyaar Tumhe Ab Chubta Hai naa jaane Kyon,Kabhi Kisi Kaante Ko Batakar Dekho,Pata Chale Ke chuban Kya Hoti Hai

4rth A'shaar mein parwaane par Koi Tanz Nahi Kassa Gaya Balki Yeh Baat kahi Gayi Ke Parwaane Sa Jigar Rakhkar Bhi Agar Fanaa Hote Waqt meri Mohabbat Nahi muskurayi To Kya Faayeda Parwaane Jaisa Jigar Rakhkar...

Maqta Mein yeh Kaha Gaya Ke Ab mere paas Koi Noor(Roshini) Bhi Nahi Par Tum Aao To sahi Main Mere Ird-Gird Ke Andhere Tak Ko Saja Kar Rakh Lungi...

Jahan Tak Meri Samaj Ki Baat hai  Yeh Ghazal mein Koi kami Nahi..Ehsaaso Ko Baraabar lafz Diye Gaye Hai....

Shukriya...

Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #20 on: May 25, 2011, 06:34:03 PM »
Reply with quote
Kamaal hai Khwaish saheb sach me kamaal hai maine to kisi se nahi kaha ke aap wah wah na kare mujhe to kisi ke wahhhhh karne par koi aitraaz nahi tha........meri seedhi baat chal rahi thi Sheba Jee se. Unka rawaiyya galat tha mera nahi, maine unke samne apni raaye rakhi.........aur unhe unki khamiyaa batayee.

Jaha tak aapka yeh kehna hai ke aapko is Ghazal me koi kami nazar nahi aayee to shayed isse badi hairani wali baat mere liye aur koi nahi ho sakti. Jis tarah se aapne Ghazal samjhayee hai thodi deir ke liye aisa laga yeh Ghazal aapne likhi ho aur aap apni ghazal ko explain kar rahe hai.

Mujhe poora yaqeen hai ke aapko yeh baat pata hogi lekin aap shayed bhool gaye hai......ghazal khoobsurat bayani ka naam hai. Aap meri comments phir padhe aur gaur se padhe jo maine Sheba jee ko di hai.....shayed baat aapke samajh me aa jaye. Aur is thread ne haqeeqat me confuse karke rakh diya hai aakhir Yoindia ke kya principle hai ab.........kya kisi thread par sirf tareef ki jani chahiye kya kisi ko koi baat galat lage ya koi baat samajh me na aaye to kya discussion nahi hona chahiye.......main aaj jitna bhi likh leta hu sab Yoindia ki dein hai aur us mahaul ki dein hai jo kabhi hua karta tha.

Agar main chahu to aapke Ghazal par diye huye explanation ka post mortem kar sakta hu aur aap bhi jante hai ke main aisa kar sakta hu..........lekin main aisa kuch nahi karuga.

Jaisa maine pehle kaha ab bhi yahi kahuga ke galti meri thi.......aur main Admin saheb se nivedan karuga ke aisa koi option ho thread me jaha yeh pata chale ke likhne wala critism welcome karta hai ya nahi.......qke maujuda haalat me jis tarah monitors bhi shayri par discussion karne walo par bijliyaa gira rahe hai......mere jaisa khari baat karne wala 10000000 baar sochega kuch kehne se pehle.........main utha patak karke khud ko sher nahi samjha sakta.

Shukriyaa.
Logged
sbechain
Guest
«Reply #21 on: July 14, 2011, 09:46:37 AM »
Reply with quote
Akhri do ashaar, Sheba jee behad khaas hai..
Maine hamesha yehi stand liya hai kay jazbaaton ko parro..
Khwaish dost agree karenge mere saath kay maine kayi kalam sirf
issi baat ko darshane kay liye likhe hai..
Khair, dil se daad..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye.!

thank you rahim ji
Logged
sbechain
Guest
«Reply #22 on: July 14, 2011, 09:50:05 AM »
Reply with quote

                    sahte ho zulm kyon khamosh rah kar..,
                    samajhte hain phir bhi tumhein sitamgar...,

                    guzre uss roz jo tum meri gali se,
                    batayaa dariche ke chilman ne aa kar,

                    chubhta hai mera hi pyaar na jaane kyon,
                    dekhna zara kisi khaar ko bataa kar,

                    hue fanaa to bhi muskuraye gi mohabbat,
                    haasil kya parwaane sa jigar banaa kar,

                    nahin hai 'noor' khazane mein ab sheba..........!
                    tum aao to rakhe ge andhere ko sajaa kar.....!

Logged
sbechain
Guest
«Reply #23 on: July 14, 2011, 09:52:09 AM »
Reply with quote
bahut achhe seba ji. Bahut khoob.

thank you imdad
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:24:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer