Chup Rehna, Kuch Naa Kehna "Khwaish"

by khwaish on August 04, 2010, 03:32:06 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 6219 times)
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #15 on: August 05, 2010, 11:03:19 AM »
Reply with quote
khwaish ji iske jawab mein ye kehna hai ki

kisi ke zazbaat napne ka koi paimana nahin bana aaj tak.
sab deewane hi lagte hain mujhko to insaan se khuda tak.

aap yun hi likhte rahen lafzon mein utaarte rahiye zazbaaton ko.
hum aapko padhate rahenge iss jahan se uss jahaan tak.

Kissa Koi Purana Lagta Hoon
Bade Shayaro Ke Beech Main Ek Diwana Lagta Hoon....

Bas Jazbaaton Ko lafzon Mein Utaarta Raha!!!
Main Iss Mehfil mein Ab Ek Anjaana Lagta Hoon...

Yeh Ghazal Koi Behr Mein Nahi,
Mujh Jaisa Ghatiya Shayar Iss Shehar mein Nahi!!!
Ab Main Guzra Hua Zamaana Lagta Hoon...

Chup Rehna, Kuch Naa Kehna Bhi Bahut zaroori Hai!!!
Samajdaaro ke Beech main Bhi Ek Syaana Lagta Hoon...

"Khwaish" Kuch Naa Kehkar Bhi bahut Kuch Keh Gaya!!!!
Maan Wale Logon Ke Beech main Ek NIMAANA Lagta Hoon...

                ~~~~~Khwaish~~~~~

crybaby2
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #16 on: August 05, 2010, 12:34:58 PM »
Reply with quote
hmmmmmmmmmmm bhai aap mere bhi fav. shayar hai. aapki likhi har poem mujhe behad pasand aati hai...aur ye bhi aayi....bas aap kalam chalate rahen ...moti to khud - ba-khud bikhar jaate hain panne pe

Sanjeev Bhaiya, Aapka Sirf Yahan Aakar Comment dena hi mere liye bahut badi baat hoti hai,aap ke comments ka sabse se Zyaada besabri se intezaar karta hoon..

bas aap yuhi saathd ete rahiyega humesha..

Tehhhhhhhhhhhh dil se shukriya.. notworthy notworthy notworthy
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #17 on: August 05, 2010, 01:02:41 PM »
Reply with quote
Ye aapne kaisi mayoos karne wali kavita likhi hai Khwaish ji. Samajh nahi aata ke aap mein ye ahsaas kyon paida hua. Har koi talib-e-ilm hai aur apne apne taur par seekhne ki koshish karta hain. Khair naummeed hone ki koi baat nahi hai, aap bahot achhe achhe topics par apne khoobsurat khayalaat ka izhar karte aaye hain unhe jaari rakhiye. Albatta itna zaroor hai ke agar apni poetry mein kisi ko bhi koi kami mahsoos hoti hai to door karne ki koshish zaroor karni chahiye. Jo apne aap ko perfect samajh leta hai wo wahi ruk jaata hai.
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #18 on: August 07, 2010, 11:36:50 AM »
Reply with quote
mohtram khwaish bhai,tasleemat;mere bhai aap iss bazm ke bahot qaabil aur senior member hain,aap ka roz iss bazm main aana aur apne jazbaatao'n ko shayeri main bayaan karna "shayeri se dilchaspi aur unsiyat ki daleel hai".mere bhai agar kisi ne aap se kuch kaha ho to aap ko pura haq hai ke us shakhs se wajeh puchne ka.mere bhai mere aziz ,ilm gar akhiri saans tak bhi seekha jae bhi to kam hi hai,aap main khuda ne shayeri ki salahiyat di hai,kyun ke shayeri har kisi ke bas ki baat nahi hoti,yeh to khuda daad salahiyat hoti hai ,jo aap main bhi maujood hai mere aziz,salahiyata'n ko polish kiya jaata hai to kalaam main nikhaar aata hai,isiliye mere bhai jab koi aap se ya mujh se iss baare main tawajjeh markooz karne ke liye kahe to ,mera aur aap ka farz banta hai ke sar kham kar ke usse qubool karein,mere bhai meri agar koi baat giraa'n lage to maaf kardein.aap ke jazbataon aur ehsaasaon ko shayeri bahot zarorat hai jis ka andaza aap ki kaavishaon se hota hai,aap se yeh umeed hai bahot jald aap ki taza nazm yah ghazal zaroor padhne ko mile gi.aapka mukhlis
        nazar ghouri
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #19 on: August 09, 2010, 06:43:53 AM »
Reply with quote
Saadgi se likhi is kavita me apne to kamal kar diya. Apne very frankly apni hakikat ko describe kiya hai. Apne bare me yu accept karna badi baat hai tabhi insan improvement karta hai. Nice poem ji. 

Mehmaan Saheb!!!!!

Bilkul Sach Kaha Aapne, Ke insaan ka Kaam Improvement Karte Rehna Hai Aur Sach bhi Yehi Hai,Aur yeh kehne par mujhe koi sankoch Bhi nahi..

par Kisi Ka Yeh keh dena Ke Iss Mehfil Mein "Shayari Ka Qatl-e-aam Ho raha Hai,Yeh Baat Mere Bardaasth Shakti Ke Bahaar Hai..Aap Samaj gaye Honge..

Shukriya...
Logged
ghufranreyaz
Guest
«Reply #20 on: January 11, 2011, 10:10:17 AM »
Reply with quote
Kissa Koi Purana Lagta Hoon
Bade Shayaro Ke Beech Main Ek Diwana Lagta Hoon....

Bas Jazbaaton Ko lafzon Mein Utaarta Raha!!!
Main Iss Mehfil mein Ab Ek Anjaana Lagta Hoon...

Yeh Ghazal Koi Behr Mein Nahi,
Mujh Jaisa Ghatiya Shayar Iss Shehar mein Nahi!!!
Ab Main Guzra Hua Zamaana Lagta Hoon...

Chup Rehna, Kuch Naa Kehna Bhi Bahut zaroori Hai!!!
Samajdaaro ke Beech main Bhi Ek Syaana Lagta Hoon...

"Khwaish" Kuch Naa Kehkar Bhi bahut Kuch Keh Gaya!!!!
Maan Wale Logon Ke Beech main Ek NIMAANA Lagta Hoon...

                ~~~~~Khwaish~~~~~

Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 03:51:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.095 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer