Complete The Shair... :)

by Anique on December 21, 2006, 10:56:23 AM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 14
ReplyPrint
Author  (Read 10147 times)
ranjana
Guest
«Reply #15 on: February 08, 2007, 04:33:59 AM »
Reply with quote
tu nahi to teri yaad sahi
kuch toh hai dil ko behlaane ke liye
ek bahaana  mil jaata hai jeene ka
is yaad se tadpate dil ko samjhaane ke liye!!


next is

har pal socha hai tujhe hi ...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aik pnjabhi shair by piyar in Shairy-E-Watan
Need This Shair... by Anique in Chit - Chat & General Discussion
FAV SHAIR by mast_zindagani in Shayri-E-Dard
difference between the words COMPLETE and FINISHED by nandbahu in Quotable Phrase and Quotes
Shikha12
Guest
«Reply #16 on: February 08, 2007, 05:13:09 AM »
Reply with quote
Nice one All.....


Har pal socha hai tujhe hi humne,
Dil par lage, reh reh riste ghaav saa...
Galat chaal jaise zindagi ke khel ki,
Jaise Kisii kamzor baazi ke daav saa...
Guzar gaya jo aankhon se hawa ke janib,
Aur Dil mey Rukk gaya dard ke theheraav saa... sad5



:arrow:  Thehra hua hai chand....
Logged
salil2002
Guest
«Reply #17 on: February 09, 2007, 03:38:03 PM »
Reply with quote
thehra hua hai chand aur raat bhi tham si gayi  
tere dil par bhi jaise barf ki chadar jam si gayi
tadpa bahut tha tera aashiq dum todne se pahle
tere labon par hansi thi aur har aankh nam ho gayi


mujhe hai jaroorat pyaar kii................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #18 on: February 10, 2007, 06:09:39 AM »
Reply with quote
mujhe hai jaroorat pyaar kii
bas ek baar haatho mein apna haath de de
dil kab se beqarar hai mera tere liye
ek baar apni suart ka deedar de de !!




ajab tamasha hai yeh duniya ke mele mein
Logged
salil2002
Guest
«Reply #19 on: February 10, 2007, 08:06:28 AM »
Reply with quote
ajab tamasha hai ye duniya k mele main
koi mehfil main tanha hai toh koi hai hansta akele main



teri surat par mite chuke hain
Logged
ranjana
Guest
«Reply #20 on: February 12, 2007, 05:49:19 AM »
Reply with quote
teri surat par mite chuke hain
teri har aada lagti hai qatil mujhe
ek baar meri nazaro mein dekh kar keh de
ki karta hai tu bhi bepanaah pyaar mujhe !!



next is

Tere liye nighaien tarasti hein,
Logged
salil2002
Guest
«Reply #21 on: February 12, 2007, 09:49:37 AM »
Reply with quote

tere liye nigahein tarasti hain
yaad kar k tujhe din raat ye barasti hain
qayi raatein kat gayi tere intezaar main
ye raat hai aakhri ab saans meri rukti hain

tabhaayi ne teri yaad ko phir bulaaya hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #22 on: February 12, 2007, 03:28:13 PM »
Reply with quote

Tanhaayi ne teri yaad ko phir bulaya hai
Yaadon ne ashkon ka samandar bahaya hai
Tune kaha tha sada muskurane ko har pal
Ye yaad kar ke honton ne kanwal khilaya hai !!


Hasratain meri mujhe jeene nahin deti .......
Logged
salil2002
Guest
«Reply #23 on: February 12, 2007, 05:48:10 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"

Tanhaayi ne teri yaad ko phir bulaya hai
Yaadon ne ashkon ka samandar bahaya hai
Tune kaha tha sada muskurane ko har pal
Ye yaad kar ke honton ne kanwal khilaya hai !!


Hasratain meri mujhe jeene nahin deti .......

hasratein meri mujhe ab jeene nahi deti
kii aarzoo teri mujhe marne bhi nahi deti
roz shaam ko jaam lekar main beithta hoon
teri yaadein humein sharaab peene nahi deti


aankhon se jab tune is dil ko chhua..........
Logged
ranjana
Guest
«Reply #24 on: February 13, 2007, 08:16:24 AM »
Reply with quote
aankhon se jab tune is dil ko chhua.
ek naram sa ehsaas is dil ko hua
fir se chhaa gayi yah ghata matwaali
fir se tere ishq ka jaadu sa koi hua !!


next is


yu tere sawaloo par mera jawaab.........
Logged
salil2002
Guest
«Reply #25 on: February 13, 2007, 08:58:10 AM »
Reply with quote

yu tere saawalon par mera jawaab dena
jawaab sunkar mera ,nazrein apni jhuka lena
ye mohabbat kii pehli aahat hai sanam
tum agar chaho toh dil ko suna dena

next line

agar main khamosh reh jaata
Logged
ranjana
Guest
«Reply #26 on: February 13, 2007, 09:42:14 AM »
Reply with quote
agar main khamosh reh jaata
na banata yah ishq  ka afsaana
karke ishaare tere yun bhari mehfil mein
fir hole se woh tera muskara ke nazare churaana !!


next is

tere bin jane kaise jiya jayega
Logged
salil2002
Guest
«Reply #27 on: February 13, 2007, 11:40:23 AM »
Reply with quote
tere bin jaane kaise jiya jayega
dard k hansi k saath kaise piya jayega
dete rahe ummra bhar zakhmo ka hisaab
aaj dekhte hai kii zakhmo ko kaise siya jayega

next is

mohabbat ek tamasha hai dil ka
Logged
ranjana
Guest
«Reply #28 on: February 14, 2007, 11:41:17 AM »
Reply with quote
mohabbat ek tamasha hai dil ka
fir bhi  har koi chain khota hai
kabhi de ke sakun kabhi de ke dard yah
soda dil ka dil se baar baar hota hai !!


next is


zindagi bhar jeene ki kasam woh hamko de gaya
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #29 on: February 19, 2007, 03:33:38 AM »
Reply with quote
zindagi bhar jeene ki kasam woh hamko de gaya
roz marne ka sa farmaan jaise hume suna gaya
aansu na aane dena aankho mai kabhi ke gaya
jaane se pehle wo lambi umar ki dua kar gaya...


next
yun maathe pe sindoore laga haato mai chuda pehan
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 ... 14
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 02:44:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer