Complete The Shair... :)

by Anique on December 21, 2006, 10:56:23 AM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 14
ReplyPrint
Author  (Read 10053 times)
vikas2210
Guest
«Reply #45 on: May 15, 2007, 11:35:32 AM »
Reply with quote
nami hai aaj aankhon par aur dil main gami hai
tu nahi paas mere par teri yaad dil mai basi hai
hum to hai tere, dil mai tere kaya jagah bachi hai
tu humse door hogai, humko kyo jeene ki saza mili hai


kehte the na bhool payenge kabhi bhi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
aik pnjabhi shair by piyar in Shairy-E-Watan
Need This Shair... by Anique in Chit - Chat & General Discussion
FAV SHAIR by mast_zindagani in Shayri-E-Dard
difference between the words COMPLETE and FINISHED by nandbahu in Quotable Phrase and Quotes
CoolGirl
Guest
«Reply #46 on: May 19, 2007, 10:47:50 AM »
Reply with quote
kehte the na bhool payenge kabhi bhi
ye saath na chor payenge kabhi bhi
aaj beech safar mein tanha ker gaye
un kasmo waado ko ek pal mein thor gaye


next


yaadon ke saaman se saaja hai gher
Logged
yoshiki
Guest
«Reply #47 on: May 25, 2007, 03:31:43 PM »
Reply with quote
Quote from: "Anique"
joo shair koo complete karay ga woh hee new misra dai ga .................. smile.gif
aur misra app koo 1 din main complete karna hoo ga aur ager koe us misray koo complete nahee kar saka tu jis na misra dia ho ga woh khud complete kar kay new misra dai ga .............. i hope so u all got it n enjoy this game......... smile.gif

first ma turn

WOH HI LIKHNEY PERHNEY KA SHOQ THA, WOH HI LIKHNEY PERHNY KA SHOQ HAI
Tera naam Likhna Kitaab per, Tera naam Perhna Kitab Main

Now :

NAHIN FURSAT YAQEEN MANO HUMAIN KUCH AUR KARNAY KI[/b]





nahin fursat yaqeen mano, hume kuch aur karne ki
ishq ibaadat ki hai..aur krenge..kasam khayi hai humne pyaar mai marne ki..
tum chand shabdo mai ishq-e-pegaam likhna chahte ho...haar jaoge
kyu ki humne to barso koshish ki hai is unhoni ko krne ki
Logged
yoshiki
Guest
«Reply #48 on: May 25, 2007, 07:40:54 PM »
Reply with quote
Quote from: "Anique"
joo shair koo complete karay ga woh hee new misra dai ga .................. smile.gif
aur misra app koo 1 din main complete karna hoo ga aur ager koe us misray koo complete nahee kar saka tu jis na misra dia ho ga woh khud complete kar kay new misra dai ga .............. i hope so u all got it n enjoy this game......... smile.gif

first ma turn

WOH HI LIKHNEY PERHNEY KA SHOQ THA, WOH HI LIKHNEY PERHNY KA SHOQ HAI
Tera naam Likhna Kitaab per, Tera naam Perhna Kitab Main

Now :

NAHIN FURSAT YAQEEN MANO HUMAIN KUCH AUR KARNAY KI[/b]

@Nahin fursat yaqeen mano humain kuch aur karne ki,
ishq ibaadat ki hai..aur krenge..kasam li hai humne pyaar mai marne ki,
tum chandd lawzoo mai pegaam-e-ishq likhna chahte ho..chodo...haar jaoge
humne b laakh koshishe ki hai is unhoni ko karne ki



nw:-
patjarh main mai foolon ki aas
Logged
yoshiki
Guest
«Reply #49 on: May 25, 2007, 08:22:10 PM »
Reply with quote
@Dil ko skonn nahio atta mere aur aankhai unki num hai,
koi dekh kr btaye ki kis raah par khade tanha hum hai,
aye the tanha is mehfil mai,aur yaadain bhi na wapas leja ske..
haal-e-dil tujhe btaane ke liye mere paas saanse kum hai ..
Logged
syednaami
Guest
«Reply #50 on: April 02, 2008, 10:22:40 PM »
Reply with quote
patjhaRh main  phoolon ki aas
bahaar main bhi kyun hai dil udaas
muhabbat ko har tarah se nibhaya humne
mausamon ke wujood ka dil se mitne laga Ahsaas


New:: Start from here.
Aaina-e-muhabbat main teri surat mitite dekhi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #51 on: April 02, 2008, 10:30:23 PM »
Reply with quote
Aaina-e-muhabbat main teri surat mitite dekhi
apne hi hatho apni lash uth.te dekhi
badi shiddat se chaha tha jise humne
ussi ki nigahon mai khud ke liye nafrat dekhi..

New:Start from here: dil-e-mandir mai jo tasveer sajai hai
Logged
syednaami
Guest
«Reply #52 on: April 02, 2008, 10:44:46 PM »
Reply with quote
dil-e-mandir mai jo tasveer sajai hai
zindagi jeene ka bas wohi ik sahara hai
uss maahjabeen ke paane ki justaju main
duniya ki har cheez se takkar khai hai

New:: Start from here.
pyar ka soda na kar itne saste main
Logged
aditi9
Guest
«Reply #53 on: April 24, 2008, 12:28:35 PM »
Reply with quote
pyar ka soda na ker itne saste mein
ki khuda b sochne per majbur ho jaaye
kahin usse koi khata toh nahi hogayi
laaaker "pyar" ko duniya ke bazar mein

New:: Start from here.
her kitab kyun acchi lagti hai

Logged
syednaami
Guest
«Reply #54 on: April 24, 2008, 03:18:02 PM »
Reply with quote
her kitab kyun acchi lagti hai
duniya men buhat sach kehti hai
sikhaati hai muhabbat ka sabaq
ilm-o-daanish ki aqal deti hai



New:: Start from here.
tamana jeene ki thi par aas khatam ho chuki,
Logged
aditi9
Guest
«Reply #55 on: April 24, 2008, 05:48:50 PM »
Reply with quote
tamana jeene ki thi, par aas khatam ho chuki,
marne ki koshish jo humne ki,toh unki kasam rahein rok gayi,
na jee sakte hai na maar sakte hai,
aesi adbhudt saza hume,humare sarkar ne di.


New:: Start from here.
ek ajnabi ki talash hai



Logged
syednaami
Guest
«Reply #56 on: April 24, 2008, 06:29:29 PM »
Reply with quote
Ek ajnabi ki talaash hai,
Jo payr ka avtaar hai,
Dil men khalish ka vaar hai,
Bin uske rahna dushwaar hai.



New:: Start from here.
Raah-e-nijaat ko dhoond raha hun
Logged
aditi9
Guest
«Reply #57 on: April 25, 2008, 08:21:37 AM »
Reply with quote

Raah-e-nijaat ko dhoond raha hun
mein aapne gamon ka anth dhundh raha hun
kahin khogayi hai meri khushiyan
jo dhundh ke la sake aisa hawaldar dhundh raha hun

New:: Start from here.
roz nayi umeed le ker chalti hun
Logged
syednaami
Guest
«Reply #58 on: April 25, 2008, 11:28:17 AM »
Reply with quote
Roz nayi umeed lekar chalti hun,
Bhawanaon ka ek samdar liye machalti hun,
Jeevan ke dagar pe sar taan ke chal sakun,
Issliye aasman se ooncha udne ki koshish karti hun.



New:: Start from here.
Jo Shahukaar the woh bane faqir kyun,
Logged
Pooja
Guest
«Reply #59 on: April 29, 2008, 02:20:33 PM »
Reply with quote
Jo Shahukaar the woh bane faqir kyun,
baich dete hai insaan,apna jameer kyun
dard hota hai her ek insaan ko ek jaisa
Phir insaano ka insaano se itna bhed kyun!!

New:: Start from here:
saanso main bas kar dil se un tera chale jaana
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 ... 14
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 09:10:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer