Dard Sehkar Bhi Khush Rehna Hai Yaaron "Khwaish"

by khwaish on December 22, 2010, 09:59:43 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 6035 times)
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #15 on: December 29, 2010, 08:07:31 AM »
Reply with quote
un hooon nahin samajh aaya.
agar banda musafir hai jisse aap keh rahen hain to kashti kaise bande se compare ho sakti hai.ya to dono kashtiyon ko banda kahiye ya kashti ko kashti rehne dijiye.
Hahaha..Sureshji, Iss Misre mein Maine khud Ko Kashti Ka Roop Diya hai,Aur Kisi Musafir Se Yeh baat Keh Raha Hoon ke Eh musafir,Do kashtiyon Par sawaar Rahoge To Dooboge, isliye behtar hai ek Kashti Peeche reh jaaye, matlab Main peeche Hat Jaau,Aur Aap Ek hi kashti par Sawaar Raho..
Aur Vistaar Mein Aapse P.m Ke zariye Hi baat kar sakta Hoon icon_flower

n
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #16 on: January 02, 2011, 05:13:17 PM »
Reply with quote
Hahaha..Sureshji, Iss Misre mein Maine khud Ko Kashti Ka Roop Diya hai,Aur Kisi Musafir Se Yeh baat Keh Raha Hoon ke Eh musafir,Do kashtiyon Par sawaar Rahoge To Dooboge, isliye behtar hai ek Kashti Peeche reh jaaye, matlab Main peeche Hat Jaau,Aur Aap Ek hi kashti par Sawaar Raho..
Aur Vistaar Mein Aapse P.m Ke zariye Hi baat kar sakta Hoon icon_flower

bahut khoob baat kahi hai aapne khwaish ji....musaafir na samjhe toh ek kashti ko toh peeche rehna hi hoga....mussafir ko doobne se bachane k liye...jo samajh paayi hu ussi samajh se khuch likha hai....aapki soch ka intzaar rahega.... Usual Smile

Do kashti mein sawaar uss raahi ko dekha hai
Shuruaati safar mein aayi,uske chehre ki muskaan ko dekha hai

Ek kashti se aage nikla,aur dusri kashti par sawaar hua
Har naye pehar mein uski badalti kashtiyon ko dekha hai

khud ki soch se badi kashti mein pahuche jb kadam achanak,
Apni karni par usse, pachhtaate dekha hai

Karne khud ki galtiyon ka paschataap
Sabse usse dur jaate dekha hai

Hawaaon ne chua uske chehre ko toh aansu nikal aaye aankho se
Inn aansuon mein uske dard k aansuon ko dekha hai

Tumne dekha hai kya??? Uss musaafir ko kashti k bina
Maine usse har kashti se utar k jaate dekha hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #17 on: January 02, 2011, 05:45:03 PM »
Reply with quote


Do kashti mein sawaar uss raahi ko dekha hai
Shuruaati safar mein aayi,uske chehre ki muskaan ko dekha hai

Ek kashti se aage nikla,aur dusri kashti par sawaar hua
Har naye pehar mein uski badalti kashtiyon ko dekha hai

khud ki soch se badi kashti mein pahuche jb kadam achanak,
Apni karni par usse, pachhtaate dekha hai

Karne khud ki galtiyon ka paschataap
Sabse usse dur jaate dekha hai

Hawaaon ne chua uske chehre ko toh aansu nikal aaye aankho se
Inn aansuon mein uske dard k aansuon ko dekha hai

Tumne dekha hai kya??? Uss musaafir ko kashti k bina
Maine usse har kashti se utarte dekha hai


Mashallah Bohat achcha likha hai aapne Nikhaar ji,.

Good one
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #18 on: January 03, 2011, 06:12:37 PM »
Reply with quote
Mashallah Bohat achcha likha hai aapne Nikhaar ji,.

Good one
bahut bahut bahut bahut shukriya Ajeem ji
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #19 on: January 03, 2011, 06:28:30 PM »
Reply with quote
nikhaar bht hi khubsurat aur satiik jawab diya h tumne...kashti aur musafir ka dard kya khub dikhaya h....dil k bht kareeb rahegi tumhari ye rachna....dil se shukriya ise share karne ka...
Logged
manjum
Guest
«Reply #20 on: January 04, 2011, 05:03:57 AM »
Reply with quote
bahut bahut badhiya khwaishji

bahut khoob...
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #21 on: January 04, 2011, 02:52:25 PM »
Reply with quote
nikhaar bht hi khubsurat aur satiik jawab diya h tumne...kashti aur musafir ka dard kya khub dikhaya h....dil k bht kareeb rahegi tumhari ye rachna....dil se shukriya ise share karne ka...
shukriya kasak di....bahut bahut shukriya.....aapne saraha aur pasand kiya....meri mehnat safal ho gayi....
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:44:07 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer