daulat..sheba

by Sheba on August 23, 2011, 07:43:33 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1133 times)
Sheba
Guest
Reply with quote


            so jaaein ya koi khawaab dekhein hum..,
            mita dein khud ko ya azaab dekhein hum..,

            ho qatl ameer ka aur shor bhi na machey,
            hai shauq ab kuch nayaab dekein hum,

            padh na sake aaina dil ki baatein ab,
            chehre pe apne aisa hijaab dekhein hum,


            rokte hain qadam jaane se maiqade mein,
            ho paaki jismein wo sharaab dekhein hum,

            hai haq unka bhi meri daulat pe sheba..!
            ghurbat ke shahar mein hisaab dekhein hum..!!


           
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
*DaulaT Ke Tarazu* - RH by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri
DAULAT.........................................................AB by adil bechain in Miscellaneous Shayri
Dil Ki Daulat.........Rishi by Rishi Agarwal in Shayri for Khumar -e- Ishq
Daulat By...SK by Shayaries_King in Shairi - E - Zindagi
daulat.aur ilm..........ss by SURESH SANGWAN in Miscellaneous Shayri
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: August 23, 2011, 08:07:10 PM »
Reply with quote
Shebaa Sahibaa Aadaab!

Janab achchi kalaam kahi hai aapne daad Usual Smile
Ahsaas O khayaal khoob rahe.. Usual Smile
Aur ashaar bhi Usual Smile

Kul milaake kalaam achchi rahi daad Usual Smile

Kuch khamiyaaN hai, jaise rabte ki kami..
Jab do line meiN sher mukammal hota hai to
dono line's meiN gehra conection hota hai..
gar aisa nahi hua to shayad sher nahi hua ..
         





            so jaaein ya koi khawaab dekhein hum..,
            mita dein khud ko ya azaab dekhein hum..,

Matla behad khoob kaha hai daad Usual Smile         

            ho qatl ameer ka aur shor bhi na machey,
            hai shauq ab kuch nayaab dekein hum,

is sher meiN hume rabta banta nazar nahi aa raha hai.. waise aik nazar meiN ulaa misra ( paleli line..) se meiN kuch baat hai, par dusri line meiN nayaab" istemaal rabte ki kami ka sabab hua???

Humare zaheN meiN is sher ke liye aik surat bani hai ..

 ho qatl ameer ka aur shor bhi na machey,
chalo ab ameer e shahar ka hisaab dekheN hum         


            padh na saka aaina e dil ki baatein koi,
            chehre pe apne aisa hijaab dekhein hum,


Bahut khoob achcha sher hai daad .. Usual Smile
kuch tarmeem ki hai dekh lijiye..
         


            rokte hain qadam jaane se maiqade mein,
            ho paaki jismein wo sharaab dekhein hum,

Kia kahne .... Gar aisi sharaab mil jaaye to hume bhi bataiyeNga :D         

            hai haq unka bhi meri daulat pe sheba..!
            ghurbat ke shahar mein hisaab dekhein hum..!!

wah janab kia kahne achcha Maqta ataa kia hai daad Usual Smile         



           


Gar humari tanqee baateN buri lagi ho to baraaye mehrbaani zaheN O dil se naa lagaiyeNga.. Usual Smile

Likhate rahiye... Khush O aabaad rahiye.. Usual Smile

Aate rahiye.. Khuda Hafez Usual Smile         

Logged
sbechain
Guest
«Reply #2 on: August 23, 2011, 08:33:55 PM »
Reply with quote
Shebaa Sahibaa Aadaab!

Janab achchi kalaam kahi hai aapne daad Usual Smile
Ahsaas O khayaal khoob rahe.. Usual Smile
Aur ashaar bhi Usual Smile

Kul milaake kalaam achchi rahi daad Usual Smile

Kuch khamiyaaN hai, jaise rabte ki kami..
Jab do line meiN sher mukammal hota hai to
dono line's meiN gehra conection hota hai..
gar aisa nahi hua to shayad sher nahi hua ..
         



Gar humari tanqee baateN buri lagi ho to baraaye mehrbaani zaheN O dil se naa lagaiyeNga.. Usual Smile

Likhate rahiye... Khush O aabaad rahiye.. Usual Smile

Aate rahiye.. Khuda Hafez Usual Smile         



bahut bahut shukria parwaaz sahab.

jahan tak sawaal doosre sher ka hai . meri khund zehan se ye moqammal sher hai kyon ki pahli line mein jo baat maine kaha chha hai wo ek nayaab hadsaa hi ho sakta hai. uske liye zaruri nahin ki ameer ke hisaab ko waze kiya jaaye.
aap kamyaab sukhwar hain aap sahi ho sakte hain. per mujhe apne iss sher mein aisi kami mahsoos nahin hui
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #3 on: August 23, 2011, 08:41:25 PM »
Reply with quote
Sheba Sahibaa Aadaab!

janab sher aik mukhaam par mukammal hai daad... bus
humare khayaal meiN nahi ban paa raha hai ke sher
kaise kaha gaya hai... Huh?Huh???

            ho qatl ameer ka aur shor bhi na machey,
            hai shauq ab kuch nayaab dekein hum,

YahaaN aapne shauq ka bhi istemaal kiya hai??
pata nahi kyuN humare zaheN meiN nahi ban paa raha hai.. Usual Smile

khair aisa hota hai kabhi kabhi humare saath, kyuN ke padhne
ka aur sochne ka mood kuch hota hai aur kuch alag padhne mil
jaaye to zaheN samajh nahi pata Usual Smile

Wel likhate rahiye..
khush O aabaad rahiye..
Khuda hafez Usual Smile
         

Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #4 on: August 24, 2011, 05:31:18 AM »
Reply with quote
nice


            so jaaein ya koi khawaab dekhein hum..,
            mita dein khud ko ya azaab dekhein hum..,

            ho qatl ameer ka aur shor bhi na machey,
            hai shauq ab kuch nayaab dekein hum,

            padh na sake aaina dil ki baatein ab,
            chehre pe apne aisa hijaab dekhein hum,


            rokte hain qadam jaane se maiqade mein,
            ho paaki jismein wo sharaab dekhein hum,

            hai haq unka bhi meri daulat pe sheba..!
            ghurbat ke shahar mein hisaab dekhein hum..!!


           

Logged
sbechain
Guest
«Reply #5 on: August 29, 2011, 12:46:55 PM »
Reply with quote
Sheba Sahibaa Aadaab!

janab sher aik mukhaam par mukammal hai daad... bus
humare khayaal meiN nahi ban paa raha hai ke sher
kaise kaha gaya hai... Huh?Huh???

            ho qatl ameer ka aur shor bhi na machey,
            hai shauq ab kuch nayaab dekein hum,

YahaaN aapne shauq ka bhi istemaal kiya hai??
pata nahi kyuN humare zaheN meiN nahi ban paa raha hai.. Usual Smile

khair aisa hota hai kabhi kabhi humare saath, kyuN ke padhne
ka aur sochne ka mood kuch hota hai aur kuch alag padhne mil
jaaye to zaheN samajh nahi pata Usual Smile

Wel likhate rahiye..
khush O aabaad rahiye..
Khuda hafez Usual Smile
         



shukria
Logged
sbechain
Guest
«Reply #6 on: September 08, 2011, 07:33:27 AM »
Reply with quote
nice


thank you manoj
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: September 08, 2011, 07:45:23 AM »
Reply with quote


            so jaaein ya koi khawaab dekhein hum..,
            mita dein khud ko ya azaab dekhein hum..,

            ho qatl ameer ka aur shor bhi na machey,
            hai shauq ab kuch nayaab dekein hum,

            padh na sake aaina dil ki baatein ab,
            chehre pe apne aisa hijaab dekhein hum,


            rokte hain qadam jaane se maiqade mein,
            ho paaki jismein wo sharaab dekhein hum,

            hai haq unka bhi meri daulat pe sheba..!
            ghurbat ke shahar mein hisaab dekhein hum..!!


           


"Rokhte Hai Qadam Jaane Se Maiqade mein
Ho Paaki Jismein Woh Sharaab Dekhein  Hum

Hai Haq Unka Bhi Meri Daulat Pe Sheba..!
Ghurbat ke Shahar mein hisaab Dekhein Hum..!! Waah Waah Waah

Kya Kehne Sheba Ji..lajawaab!!!! Humari itni Haisiyat To nahi ke aapko Daad de sake Par Vaakai Aap Ke Lekhni Shandaar hai..

Bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
sbechain
Guest
«Reply #8 on: November 20, 2011, 09:54:15 AM »
Reply with quote
"Rokhte Hai Qadam Jaane Se Maiqade mein
Ho Paaki Jismein Woh Sharaab Dekhein  Hum

Hai Haq Unka Bhi Meri Daulat Pe Sheba..!
Ghurbat ke Shahar mein hisaab Dekhein Hum..!! Waah Waah Waah

Kya Kehne Sheba Ji..lajawaab!!!! Humari itni Haisiyat To nahi ke aapko Daad de sake Par Vaakai Aap Ke Lekhni Shandaar hai..

Bahut Ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley



thank you khawaish ji
Logged
mkv
Guest
«Reply #9 on: November 20, 2011, 10:03:43 AM »
Reply with quote


            so jaaein ya koi khawaab dekhein hum..,
            mita dein khud ko ya azaab dekhein hum..,  Applause Applause

            ho qatl ameer ka aur shor bhi na machey,
            hai shauq ab kuch nayaab dekein hum,

            padh na sake aaina dil ki baatein ab,
            chehre pe apne aisa hijaab dekhein hum,
  Applause Applause

            rokte hain qadam jaane se maiqade mein,
            ho paaki jismein wo sharaab dekhein hum,  Applause Applause

            hai haq unka bhi meri daulat pe sheba..!
            ghurbat ke shahar mein hisaab dekhein hum..!!
Applause Applause

           

Bahut khoob sheba ji
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #10 on: November 20, 2011, 10:14:55 AM »
Reply with quote
 Applause
Bahut khoob,Sheba ji.Keep it up !!
Logged
sbechain
Guest
«Reply #11 on: April 03, 2013, 03:10:15 AM »
Reply with quote
Bahut khoob sheba ji


shukria......!
Logged
sbechain
Guest
«Reply #12 on: August 13, 2014, 12:37:59 PM »
Reply with quote
Applause
Bahut khoob,Sheba ji.Keep it up !!

shukria icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:46:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer