de kar jaam wo armaanoN ka... Intezar !

by Intezar on October 21, 2010, 07:33:49 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1141 times)
Intezar
Guest
Reply with quote
    
    de kar jaam wo armaanoN ka usme, fareb ka zeher mila gaya…
                   apni jaan ko wo bejaan kar ke ek gehri neend sula gaya…!


  

   Shukriya
   Intezar !
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Armaanon bhara dil... by sweetie2210s in Shayri-E-Dard
Jaam pe jaam pilaye jaa saqi... by daljeet_faqeer in Kaifiyaat-ae-maye
bikhre armaanoN ka mera AASHIYAANAH...!! by ghayal_shayar in Shayeri for Dard -e- Bewafai
<>*Mere armaanon ne aaj dum toda hai*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayri-E-Dard
intezar ke haalaat par… Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard
krisnaa
Guest
«Reply #1 on: October 22, 2010, 02:08:01 AM »
Reply with quote
mujhe raat ko sone ki aadat nahi,
raat ke sapno me khone ki aadat nahi,
har raat main kisi ki yaad me jaagta hoon,
par mujhe un yaadon me khone ki aadat nahi
Logged
AKHILESHWAR KUMAR
Guest
«Reply #2 on: October 22, 2010, 08:49:18 AM »
Reply with quote
MEN TADPTA RHA DOSTI KE INTJAR MEN,
LEKIN KAFAH BHI NHI MILA BEWFA BAZAR MEN.
Logged
Intezar
Guest
«Reply #3 on: October 22, 2010, 09:15:56 AM »
Reply with quote
mehmaan banke kuch roz wo dil mein rahe
phir to is dil ko unki aadat si ho gayee,
na jaana use na pehchaan hi bana paaye
phir bhi ek ajnabi se chahat si ho gayee... !

Intezar !
Logged
yasmeen khan
Guest
«Reply #4 on: October 22, 2010, 05:42:51 PM »
Reply with quote
hamesha ki tarah bahoot achcha likha aapne  Keep writting
 
mehmaan banke kuch roz wo dil mein rahe
phir to is dil ko unki aadat si ho gayee,
na jaana use na pehchaan hi bana paaye
phir bhi ek ajnabi se chahat si ho gayee... !

Intezar !
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #5 on: October 22, 2010, 05:47:37 PM »
Reply with quote
   
    de kar jaam wo armaanoN ka usme, fareb ka zeher mila gaya…
                   apni jaan ko wo bejaan kar ke ek gehri neend sula gaya…!


   

   Shukriya
   Intezar !


aisi gehri nind sone ki khatir hum kabse jaage hain
         ae bewafa aaja aake ek baar to pyar se thapkiyan dede........
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #6 on: October 22, 2010, 05:49:56 PM »
Reply with quote
mehmaan banke kuch roz wo dil mein rahe
phir to is dil ko unki aadat si ho gayee,
na jaana use na pehchaan hi bana paaye
phir bhi ek ajnabi se chahat si ho gayee... !

Intezar !

wo ajanabi kab dil me ghar kar gaya
kab wo zindagi ki zarurat ban gaya
hum na samjh paye ye baat aaj tak
ajnabi kaise mujhe apna gulam kar gaya...!!
Logged
Intezar
Guest
«Reply #7 on: October 22, 2010, 07:36:32 PM »
Reply with quote
na samjha main hi, na usay samjhaa paaya,
kyon main khud ko uspar is kadar lutaa aaya,
na jaane us ajnabi pe kyon itna aitbaar ho aaya
jitna sametata gaya usko khud ko bikharta paaya...

shukriya
Intezar !

wo ajanabi kab dil me ghar kar gaya
kab wo zindagi ki zarurat ban gaya
hum na samjh paye ye baat aaj tak
ajnabi kaise mujhe apna gulam kar gaya...!!
Logged
Intezar
Guest
«Reply #8 on: October 22, 2010, 07:37:42 PM »
Reply with quote
shukirya yasmeen ji bahut bahut shukriya... !

Intezar

hamesha ki tarah bahoot achcha likha aapne  Keep writting
 
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #9 on: October 22, 2010, 07:44:24 PM »
Reply with quote
bikhar k jab tu zameen pe girta ja raha tha
koi tha jo tujhe khudme samete ja raha tha
sama lena chahta tha wo tujhe apni ruuh me
na fir wo ajnabi tujhse rehna chahta tha...!!!
na samjha main hi, na usay samjhaa paaya,
kyon main khud ko uspar is kadar lutaa aaya,
na jaane us ajnabi pe kyon itna aitbaar ho aaya
jitna sametata gaya usko khud ko bikharta paaya...

shukriya
Intezar !

Logged
Intezar
Guest
«Reply #10 on: October 22, 2010, 07:51:00 PM »
Reply with quote
mujhe kahaan hosh mujhe kisne sambhaala apni baahon me
wo shayad tum hi the jo mujhe jaan kar anjaan  kar gaye
koshish to tumne ki hume sametne ki bahut lekin
phir kyun tum khud hi kasak ban kar is dil me utar gaye.. !

Intezar
bikhar k jab tu zameen pe girta ja raha tha
koi tha jo tujhe khudme samete ja raha tha
sama lena chahta tha wo tujhe apni ruuh me
na fir wo ajnabi tujhse rehna chahta tha...!!!
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #11 on: October 23, 2010, 04:06:01 AM »
Reply with quote
meri koshishon ko tune hi to naakaam kar diya
kyun meri mahobbat ko sare aam badnaam kar diya
maine to muskaan ban rehna chaha  tere labon pe
tune kasak ko apni zindagi me dard ka naam de diya...!!!

mujhe kahaan hosh mujhe kisne sambhaala apni baahon me
wo shayad tum hi the jo mujhe jaan kar anjaan  kar gaye
koshish to tumne ki hume sametne ki bahut lekin
phir kyun tum khud hi kasak ban kar is dil me utar gaye.. !

Intezar
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:36:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer