Dedicated to Allama Iqbaal...zameen se aasmaa tak dhoondha..

by @kaash on March 04, 2009, 06:12:27 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2003 times)
@kaash
Guest
Reply with quote

zameen se aasmaa tak dhoondha
kabhi sabse kabhi apne dil se poochha
dar'o'deewar se alam ki ghataon se
apne kalam ki unsuni vafaon se
phir thak ke baitha to Khudi se pooch baitha
haan qatron me sulag rahe junoon se poochh baitha
tum mile har su mile
kya kahen tumhen charagar ya manzilon ki manzil
kashti me zindagi ki rahe,ho par tum hi asal saahil
dekh kaisi pashemaani mere ikhlaaq ko hui haasil
dard me bhi nikhra jo tu hai mujhme shamil
samajha hai mujhe tune bus ye khyaal acha hai
dil ki dhadkano me basa tu to dil'e'betaab acha hai
ek harf bhi hum kabhi bedili se nahi likhte
kya kahen hamesha vo ashaar kaano me goonjte rahte
par ye junoo kaisa ki dard me bhi Bismilaah nahi bhoolta
tera hi sabak hai ye ki khud ke lie bhi fariyaad nahi karta

vo aur honge jo khaak me yun hi mil gaye honge
tujhe yaad kar hi hum jaise kal bhi jee gaye honge

aur ye afsoordadili todke jeena hi jeena hoga
jo raah dikhayi tune sabhi ko uspe chalna hoga


-KAASH-

Logged
Talat
Guest
«Reply #1 on: March 05, 2009, 05:49:03 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot Khoob Kaash Ji

Allama Iqbal was one of the greatest poets, world has seen.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: March 06, 2009, 04:44:01 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: May 29, 2009, 02:40:16 PM »
Reply with quote
Applause Applause
Bahut accha shayri likha aapne aur dedicate kiya Iqbal sb k naam...
Thanks @Kaash ji.
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: May 29, 2009, 02:42:54 PM »
Reply with quote
Yeh wala shayri Iqbal sb ka mujhe bahut pasand hai. Yahan mai share kar rahi hu.


Khuda se husn ne ek roz yeh sawaal kiya
Jahan mein kyon na mujhe tune lazawaal kiya

Mila jawaab ke tasweer khana hai dunya
Shabe draze udum ka fasana hai dunya

Hoi hai roz e taghayyur se jab namood uski
Wahi haseen hai haqiqat e zawaal hai jiski

Kahin Qareeb se yeh guftagu Qamar ne suni
Falak pe aam hoi akhter e sehar ne suni

Sehar ne sitare se sunkar sunai shabnam ko
Falak ki baat batadi zameen ke mehram ko

Phir aye phool ke aaNsoo payam shabnam se
Kali ka nannha sa dil khun ho gaya gham se

Chaman se rota hoa mausam e bahar gaya
Shabab sair ko ayaa tha sogwar gaya.
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: May 31, 2009, 04:48:49 PM »
Reply with quote
Nice Sharing dear Roja
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:07:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer