deewar baat karti hai

by mohsin akhter on July 13, 2010, 09:06:26 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1885 times)
mohsin akhter
Guest
Reply with quote
Dosto wese to bahut waqt aya hoon magar phir bhi ummeed hai ki aap log mujhe bhoole nahi honge

ek choti si peshkash aapke liye

MERE GHAR KI
EK DEEWAR MUJHSE BAAT KARTI HAI
JAB KOI NAHI HOTA
WO AKSAR MUJHSE MULAKAT KARTI HAI
MERE GHAR KI
EK DEEWAR MUJHSE BAAT KARTI HAI

LOG PATHAR KAHTE HAI USE
MAA KE ANCHAL KI TARAH
WO DEEWAR MUJHE MAHFOOJ KARTI HAI
MERE GHAR KI
EK DEEWAR MUJHSE BAAT KARTI HAI

JAB BHI MAN UDAS HOTA HAI
JAB KOI AAS PASS NAHI HOTA HAI
MERE SAR KA SAYA BAN
WO MERE SAR PAR HATH RAKHTI HAI
MERE GHAR KI
EK DEEWAR MUJHSE BAAT KARTI HAI
JAB KOI NAHI HOTA
WO AKSAR MUJHSE MULAKAT KARTI HAI
MERE GHAR KI
EK DEEWAR MUJHSE BAAT KARTI HAI


Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: July 13, 2010, 09:31:33 AM »
Reply with quote
HAAN HAR GHAR ME EK HISSA AISA HOTA HAI
JAHAN DIL AUR AATAMA KO SUKUN HOTA HAI
KUCH AISE LAMHEN AATE HAIN ZINDAGI ME
JAB INHI PATHARON SE SAAJAN JAISA PYAAR MILTA HAI
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: July 13, 2010, 10:01:09 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob Mohsin ji..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Par Yeh shayari Misc Poetry Mein Honi Chahiye..Isliye Move Kar raha hoon
Logged
Rahi2001
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 19 hours and 8 minutes.

ミ★яαнι★彡¤ℓσνє¤ ●๋•кιηg σƒ ωαソ●๋•

Posts: 745
Member Since: Nov 2008


View Profile WWW
«Reply #3 on: July 13, 2010, 10:25:21 AM »
Reply with quote
good one mohsin ji
bahut hi umda khayalat hai aap ke
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #4 on: July 14, 2010, 04:39:41 AM »
Reply with quote
aap sab ka bahut bahut sukriya jo aap logo ne mera kalam padh kar meri itni hosla afjai ki

again thanks
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: July 14, 2010, 06:26:53 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Waah Mohsin ji... kya baat hai... bahut hi khoob likha hai aapne...!!!
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #6 on: July 14, 2010, 08:33:56 AM »
Reply with quote
BAHUT HI BEHTAREEN SOCH KI GAWAAH HAI AAP KI YE TAKHLEEQ.
SACH HI HAI HUMARE SUKH DUKH ,AABADI OR BARBAADI KI MOUN GAWAAHI DETI HAIN YE DEEWARE.......
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #7 on: July 14, 2010, 09:33:32 AM »
Reply with quote
BAHUT BAHUT SUKRIYA MAMTA JI

DEEWAR HUMARI SABSE JYADA KAREEB HOTI HAI JO HUMARE GUM MAIN KHUSHI MAIN HUMARA SATH DETI HAI MAGAR HUM SHAYAD GUM MAIN TO USE YAAD KARKE USKE SAYE MAIN SO JATE HAIN MAGAR JAB BHI KHUSHI MILTI HAI TO USI DEEWAR KO TANHA CHOD JATE HAI.
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #8 on: July 14, 2010, 05:06:43 PM »
Reply with quote
AISA NAHI HAI MOHSIN JEEVAN KE BAHUT SE ROOMANI PALON KI DHADKAN BHI INHI ME QAID HAI. KILKARIYON OR KAHKAHE BHI INHI ME SAMAYE HUE HAIN.........
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #9 on: July 15, 2010, 10:31:14 AM »
Reply with quote
aapka apna andaze bayan hai merea apna

aap apni jagah sahi hai

chaliye sayari ke silsike ko age badate hai

ULJHI HUI MERI ZINDAGI KO SULJHA NA SAKA
DARD KAHAN HOTA HAI KISI KO BATA NA SAKA
ANKH NAM HO RAHI HAI DIL BHI YE RO RAHA HAI
MAGAR MAIN APNI ANKHON SE EK ANSU GIRA NA SAKA

MERE GHAR KI RAH MAIN RAKHE PATHAR NE ROKA RASTA MERA
MAIN ITNA KAMJOR THA KI US PATHAR KO HILA NA SAKA
MAIN ULJHA HI FAKAT APNE HI MASAILON MAIN
MERE APNO KE BEECH KA FASLA MAIN MITA NA SAKA

TAKLEEF ITNI SI THI MAIN JANTA THA GALTI MERI
MAGAR MERE WAZOOD KO MAIN KABHI JHUKA NA SAKA
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #10 on: July 16, 2010, 06:10:50 AM »
Reply with quote
mohsin ji....aapki sono hi rchnayen behad prbhav-shali hain...in behtreen rachnaon ke liye dad kabool karen
Logged
mohsin akhter
Guest
«Reply #11 on: July 16, 2010, 11:57:52 AM »
Reply with quote
dhanyawad bekarar ji

jo aapko humari kruti itni pasand ayi
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 03:21:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer