aapke shehar se humare shehar ki dooriya bahaut hain
fir bhi aapke kareeb hone ka ehasaas gehra bahaut hai
aap wahan nahi ho aangan humara soona bahaut hai
lambi intezaar ki ghariya bahaut hain

akelapan kaate nahin kat_ta
jaise reeta gagar nahi bharta
mere aansoo_on ki kasam hai laut aayiye
dil ki majbooriya_n bahaut hain
fir bhi aapke kareeb hone ka ehasaas gehra bahaut hai
aapke shehar se humare shehar ki dooriya bahaut hain
aapke shehar se humare shehar ki dooriya bahaut hain
fir bhi aapke kareeb hone ka ehasaas gehra bahaut hai
aap wahan nahi ho aangan humara soona bahaut hai
lambi intezaar ki ghariya bahaut hain
kab raat gayi kab din dhalaa maaloom nahi
humne to needein aapke naam kar di hain
aankh jo khuli to judai ka ehasaas hota hai
seene mein uth_ti tees ki chubhan gehri bahaut hai
aap wahan nahi ho aangan humara soona bahaut hai
lambi intezaar ki ghariya bahaut hain
aapke shehar se humare shehar ki dooriya bahaut hain
fir bhi aapke kareeb hone ka ehasaas gehra bahaut hai
aap wahan nahi ho aangan humara soona bahaut hai
lambi intezaar ki ghariya bahaut hain
na rang hain na umang koi
aap bin zindagi bahaut royee
kajal thehara nahi aankho mein
hotho pe thehari muskaan dukhti bahaut hai