dil bhara bhara sa,khud mai ek khalipan..

by Pooja on May 23, 2008, 06:59:34 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 9718 times)
Roja
Guest
«Reply #30 on: August 05, 2008, 06:15:22 PM »
Reply with quote
her pal tujhe chahu, her pal teri yaad aaye
Sun 'O' Piya, Kaya kabhi tera jiya bhi hai ghabraye...

Ankhon mai barsaat, dil mera bhar bhar aaye
Sochu her pal, aise, kaise koi itna nirdai ban jaaye
Sun 'O' Piya, Kaya kabhi tera jiya bhi hai ghabraye...

karu fariyaad apne dil ki suraj, chand taaro se,
to kabhi jameen-asmaan mai tu hi tu bas mujhe najar ayye
Sun 'O' Piya, Kaya kabhi tera jiya bhi hai ghabraye...

Din raat ke issi chakarview mai pal pal jeevan beeta jaaye
Sun 'O' Piya, Kaya kabhi tera jiya bhi hai ghabraye...

Bana bana ke tamanna mitayi jaati hai
Tarah tarah se wafa aajmayi jaati hai

Jab unko meri mohabbat ka aitbar nahi
Toh chupke chupke pyar kyu jatayi jaati hai?

Hamre dil ka pata woh hame nahi dete
Hamari cheez hami se chupayi jaati hai

"Roja" dhoori-e-manzil se na-umeed na ho
Manzil ab aa hi jaati hai ... ab aa hi jaati hai..!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kanto bhara daman by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
((Rango Se Bhara)) by honeyrose in Occassion Specific Poetry
Bhara Bhai............ by palkhi in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2 3  All »
Armaanon bhara dil... by sweetie2210s in Shayri-E-Dard
Dil dara dara sa, Jee bhara bhara sa rehta hai.. by RUHAANII in Shairi - E - Zindagi
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #31 on: August 05, 2008, 06:19:53 PM »
Reply with quote
Nice lines Bhaiya

shukriya roja
ye mousam ka takaza hai, na udaas hona tum,
baharon ko aana hota hai, har patjhad ke baad hi

jo kahe ja rahe ho tum, dastan-e-dard ki,
naye fasane bune jayenge, purane ke baad hi,

kitni khushiyon ko gheroge, kitni muskan churaoge,
kushiyon ki taasir samajh ayegi, gumon ke baad hi,

jo bhi de jindagi apni, sameto apne aanchal me,
anmol hai tu ye log kahenge, tere jaane ke baad hi

Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: August 05, 2008, 06:21:50 PM »
Reply with quote
wah kay abaat hai Roja!!! kaha tha, apni kalam ke baare khud na socho.. bahoot acha likha hai!! Dil khush ho gaya!!

Na koi tamnna, na hi khayal sajaya hai
Sun ‘O’ piya, humne her zajbaat mitaya hai

Na aitbaar tujh per, Na teri baato main ab khud ko paaya hai
Sun ‘O’ piya, humne khud ko tujh se alag ab sabko batlaya hai

Dil main kahin, dard ke sath tujhko dafnaya hai
Sun ‘O’ piya, alag alag rasto ko ab humne apnaya hai

Na hai meri manjil ab tere sung kahin bhi
Sun ‘O’ piya, yah Antim baar tujhko PIYA bulaya hai... 
Logged
Roja
Guest
«Reply #33 on: August 05, 2008, 06:23:47 PM »
Reply with quote
shukriya roja
ye mousam ka takaza hai, na udaas hona tum,
baharon ko aana hota hai, har patjhad ke baad hi

jo kahe ja rahe ho tum, dastan-e-dard ki,
naye fasane bune jayenge, purane ke baad hi,

kitni khushiyon ko gheroge, kitni muskan churaoge,
kushiyon ki taasir samajh ayegi, gumon ke baad hi,

jo bhi de jindagi apni, sameto apne aanchal me,
anmol hai tu ye log kahenge, tere jaane ke baad hi



wah bahut khoob...bhaiya  Applause
Logged
punam
Guest
«Reply #34 on: August 05, 2008, 06:26:21 PM »
Reply with quote
wah yehan sab ne bahut khoob likha...Pooja di..Roja di..Sanjeev bhaiya...
ek se badh ke ek...bahut khoob...


Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #35 on: August 05, 2008, 06:28:11 PM »
Reply with quote
Bana bana ke tamanna mitayi jaati hai
Tarah tarah se wafa aajmayi jaati hai

Jab unko meri mohabbat ka aitbar nahi
Toh chupke chupke pyar kyu jatayi jaati hai?

Hamre dil ka pata woh hame nahi dete
Hamari cheez hami se chupayi jaati hai

"Roja" dhoori-e-manzil se na-umeed na ho
Manzil ab aa hi jaati hai ... ab aa hi jaati hai..!!


Hamre dil ka pata woh hame nahi dete
Hamari cheez hami se chupayi jaati hai


wah wah kya khoob kaha roja...ye do line to kamal hai....
Logged
Roja
Guest
«Reply #36 on: August 05, 2008, 06:30:25 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Pooja di...

Aaj Dil mera ber aaya, ghar mera soona hai..

Meri yaadon ka ghar tum jala dijiye
Naam dil se hi mera bhula dijiye

Mai tadapti rahu tanha roti rahu
Bas meri wafa ka yehi sila dijiye

Hauslon ki zameen pe chal na pau kabhi,
Khaak mein hasti ko meri mila dijiye

Aarzuvon ki raahon mein batakte huwe
Tak chuki hai zindagi ab sula dijiye

Mehekne lage tann pattaron ke bhi aaj
Chaman mein phool aisa koyi khila dijiye

Maut bhi na mile aur jiye bhi na jaye
Zehar "Roja" ko aisa aap pila dijiye
Logged
Pooja
Guest
«Reply #37 on: August 05, 2008, 06:34:15 PM »
Reply with quote
shukriya roja
ye mousam ka takaza hai, na udaas hona tum,
baharon ko aana hota hai, har patjhad ke baad hi

jo kahe ja rahe ho tum, dastan-e-dard ki,
naye fasane bune jayenge, purane ke baad hi,

kitni khushiyon ko gheroge, kitni muskan churaoge,
kushiyon ki taasir samajh ayegi, gumon ke baad hi,

jo bhi de jindagi apni, sameto apne aanchal me,
anmol hai tu ye log kahenge, tere jaane ke baad hi




Wah kay abaat hai Bekarar ji!! bahoot achi kavita likhi haia pen.. yah last ki do line kamal ki likhi hai:

jo bhi de jindagi apni, sameto apne aanchal me,
anmol hai tu ye log kahenge, tere jaane ke baad hi




Jitna bhi chaho, udaasi aa hi jaati hai
Lakh baharo ko socho, ek khamoshi cha hi jaati hai

Hansi main bhi jab dard chalak kar ankhein bhar de
Aise main rangat patjhar ke baton mai sama hi jaati hai

Such-dukh ko mana hai jeevan ke do pehlu
Kabhi kabhi dukho main, dagmugahat aa hi jaati hai

Royege bahoot humare jaane ke baad wo
Yah baat bhi, kabhi kabhi, dil dukha hi jaati hai….
Logged
Roja
Guest
«Reply #38 on: August 05, 2008, 06:38:40 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Sanjeev bhaiya and Pooja di..

Pooja di..yeh line bahut khoob..

Quote
Jitna bhi chaho, udaasi aa hi jaati hai
Lakh baharo ko socho, ek khamoshi cha hi jaati hai

Hansi main bhi jab dard chalak kar ankhein bhar de
Aise main rangat patjhar ke baton mai sama hi jaati hai

Very well expressed lines.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #39 on: August 05, 2008, 06:40:20 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Pooja di...

Aaj Dil mera ber aaya, ghar mera soona hai..

Meri yaadon ka ghar tum jala dijiye
Naam dil se hi mera bhula dijiye

Mai tadapti rahu tanha roti rahu
Bas meri wafa ka yehi sila dijiye

Hauslon ki zameen pe chal na pau kabhi,
Khaak mein hasti ko meri mila dijiye

Aarzuvon ki raahon mein batakte huwe
Tak chuki hai zindagi ab sula dijiye

Mehekne lage tann pattaron ke bhi aaj
Chaman mein phool aisa koyi khila dijiye

Maut bhi na mile aur jiye bhi na jaye
Zehar "Roja" ko aisa aap pila dijiye



wah Roja kaya baat hai.. bahoot acha likha hai.. khas kar yah do line.. kamal ki likhi hui hai:

Aarzuvon ki raahon mein batakte huwe
Tak chuki hai zindagi ab sula dijiye



waise kabhi yahi soch thi meri bhi.. jo apki kavita main najar aai hai.. magar ab nahi..

Jeena hai mujhe, jee kar main dikhlaugi
E-khuda, BAS EK APP sath dena, khari hokar mai dikhlaugi

kaya laai thi, kaya kho diya, socho main na waqat gawaugi
hatho per apne vishwaas mera, sab kuch phir se main banaugi

ghar hai mera, makan jise kisi ne sawarthi ho kar bana dala
issi char deewari ko, ghar main phir se bana kar dikhlaugi

Jeena hai mujhe, jee kar main dikhlaugi
E-khuda, BAS EK APP sath dena, khari hokar mai dikhlaugi...
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #40 on: August 05, 2008, 06:45:45 PM »
Reply with quote
wah yehan sab ne bahut khoob likha...Pooja di..Roja di..Sanjeev bhaiya...
ek se badh ke ek...bahut khoob...



welcome punam...tumhaari kami thi



Wah kay abaat hai Bekarar ji!! bahoot achi kavita likhi haia pen.. yah last ki do line kamal ki likhi hai:

jo bhi de jindagi apni, sameto apne aanchal me,
anmol hai tu ye log kahenge, tere jaane ke baad hi




Jitna bhi chaho, udaasi aa hi jaati hai
Lakh baharo ko socho, ek khamoshi cha hi jaati hai

Hansi main bhi jab dard chalak kar ankhein bhar de
Aise main rangat patjhar ke baton mai sama hi jaati hai

Such-dukh ko mana hai jeevan ke do pehlu
Kabhi kabhi dukho main, dagmugahat aa hi jaati hai

Royege bahoot humare jaane ke baad wo
Yah baat bhi, kabhi kabhi, dil dukha hi jaati hai….


matlab ye hua ki mai kitna bhi samjhaun ye gumon ki mahfil chalti rahegi BangHead

ghalib sahab ka ek sher yaad aa gaya....

dil hi to hai na sango-khisht se, dard se bhar na aaye kyon,
roenge hazar baar koi hume sataye kyun


waise aapne bahoot achcha likha hai pooja ji


Bahut khoob Pooja di...

Aaj Dil mera ber aaya, ghar mera soona hai..

Meri yaadon ka ghar tum jala dijiye
Naam dil se hi mera bhula dijiye

Mai tadapti rahu tanha roti rahu
Bas meri wafa ka yehi sila dijiye

Hauslon ki zameen pe chal na pau kabhi,
Khaak mein hasti ko meri mila dijiye

Aarzuvon ki raahon mein batakte huwe
Tak chuki hai zindagi ab sula dijiye

Mehekne lage tann pattaron ke bhi aaj
Chaman mein phool aisa koyi khila dijiye

Maut bhi na mile aur jiye bhi na jaye
Zehar "Roja" ko aisa aap pila dijiye


wah roja...ek baat tumahari kavita me maine specially note ki hai....wo hai shuruaat aur end... humesha dumdaar sher se hota hai
bahoot achche

Logged
Roja
Guest
«Reply #41 on: August 05, 2008, 06:46:03 PM »
Reply with quote
Quote
kaya laai thi, kaya kho diya, socho main na waqat gawaugi
hatho per apne vishwaas mera, sab kuch phir se main banaugi

ghar hai mera, makan jise kisi ne sawarthi ho kar bana dala
issi char deewari ko, ghar main phir se bana kar dikhlaugi

simply good  Applause

Magar mai ab tak uber nahi paayi hu.. so ek bar shuru hua,
toh dard hi dard umadkar aajata hai.. sad7
Logged
Roja
Guest
«Reply #42 on: August 05, 2008, 06:50:43 PM »
Reply with quote
Kayi baar rahon se bhatka kiye
Aankh mein zindagi ki katka kiye

Jab bi chaha unke baahon ka saya
Woh apna dhaman jadka kiye

Tha hum mein bi tufaan se takrane ka huner
Yeh alag baat ki aaina-sa chatka kiye

Log pyar ke Tajmehal tak pahunch gaye
Hum aksar be-rukhi ki sooli pe latka kiye

Woh hai ki gair ki mehfil mein shauk farma rahe
"Roja" jinke liye kahan-kahan bhatka kiye
 tearyeyed
Logged
Pooja
Guest
«Reply #43 on: August 05, 2008, 06:51:34 PM »
Reply with quote

matlab ye hua ki mai kitna bhi samjhaun ye gumon ki mahfil chalti rahegi BangHead

ghalib sahab ka ek sher yaad aa gaya....

dil hi to hai na sango-khisht se, dard se bhar na aaye kyon,
roenge hazar baar koi hume sataye kyun


waise aapne bahoot achcha likha hai pooja ji


Kabhi gum, kabhi de dum ke mare hai
Samjhao jitna bhi, Gum bhi to bahoot sare hai tongue3

Janti hu funnny hai, magar Bekarar ji apki yah line parr kar, yahi man mai ayya..
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #44 on: August 05, 2008, 06:56:30 PM »
Reply with quote

wah Roja kaya baat hai.. bahoot acha likha hai.. khas kar yah do line.. kamal ki likhi hui hai:

Aarzuvon ki raahon mein batakte huwe
Tak chuki hai zindagi ab sula dijiye



waise kabhi yahi soch thi meri bhi.. jo apki kavita main najar aai hai.. magar ab nahi..

Jeena hai mujhe, jee kar main dikhlaugi
E-khuda, BAS EK APP sath dena, khari hokar mai dikhlaugi

kaya laai thi, kaya kho diya, socho main na waqat gawaugi
hatho per apne vishwaas mera, sab kuch phir se main banaugi

ghar hai mera, makan jise kisi ne sawarthi ho kar bana dala
issi char deewari ko, ghar main phir se bana kar dikhlaugi

Jeena hai mujhe, jee kar main dikhlaugi
E-khuda, BAS EK APP sath dena, khari hokar mai dikhlaugi...


oye shabash kudiye......ye hui na baat ......chalo ab hum sone ja rahe hainnnnnnnn
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:06:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer