DIL KA PANCHI [Asghr]

by Asghr on February 24, 2009, 07:31:15 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2272 times)
Asghr
Guest
Reply with quote
DIL KAY PANCHI KO AZAD KAR KAY DAIKHTE HAIN
KHUD KO MOHABAT MAIN BARBAAD KAR K DAIKHTE HAIN
SAARI KHUSHIYAAN KISI PEH NICHAWER KAR KAY
APNE AAAP KO NASHAAD KAR KAY DAIKHTE HAIN
SUNAA HAI DIL KO DIL SE RAH HOTI HAI
SONE SE KABL USAY YAAD KAR K DAIKHTE HAIN
ISS JEEVN MAIN UHSAY PANA  NAMUMKIN HAI
APNE RAB SE FARYAAD KAR K DAIKHTE HAIN
SABI KEHTE HAIN BADA BAA-ZAUQ HAI WO
UHS KI NAZAR GAZAL IRSHAAD KAR K DAIKHTE HAIN
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Panchi Ko Ghar Aana Hi Tha,. by Azeem Azaad in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Sham Dhale Har Panchi (Shayar Jamali) by noorul hasnain in Ghazals
PINJRE KA PANCHI by hparmar in Share: Poetry of Pain
Pyar ka Panchi by nishi gahlaut in Shayri-E-Dard
panchi pyare (nam) by poonamA in Shayri for Khumar -e- Ishq
Talat
Guest
«Reply #1 on: February 24, 2009, 08:03:13 PM »
Reply with quote
DIL KAY PANCHI KO AZAD KAR KAY DAIKHTE HAIN
KHUD KO MOHABAT MAIN BARBAAD KAR K DAIKHTE HAIN
SAARI KHUSHIYAAN KISI PEH NICHAWER KAR KAY
APNE AAAP KO NASHAAD KAR KAY DAIKHTE HAIN
SUNAA HAI DIL KO DIL SE RAH HOTI HAI
SONE SE KABL USAY YAAD KAR K DAIKHTE HAIN
ISS JEEVN MAIN UHSAY PANA  NAMUMKIN HAI
APNE RAB SE FARYAAD KAR K DAIKHTE HAIN
SABI KEHTE HAIN BADA BAA-ZAUQ HAI WO
UHS KI NAZAR GAZAL IRSHAAD KAR K DAIKHTE HAIN

Bohot hi Khoob Asghr Ji  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Ek baar phir se bohot achcha likha hai aapne...!!

Jawab dene ki koshish ki hai......

Dil ka panchi udd kar jaaye bhi kahan,
Mohabbat kar ke chain aaye bhi kahan

Jise maane apna, us pe jaan qurbaan,
Apni taraf tawajjah jaaye bhi kahan

Har shab ghum-e-firaaq main guzarti hai,
Sooni aankhon main neend aaye bhi kahan

Rab sunta hai dua, so maangte hain hum
Qubuliyat har ghadi par aaye bhi kahan

Yoon to bohot umdah hoti hai har ghazal,
Sarahne magar har shakhs aaye bhi kahan !!

Logged
Asghr
Guest
«Reply #2 on: February 24, 2009, 10:09:04 PM »

aaj b aap k jwaab ne lajwaab kar diya Celmira ji muje Aitbar Sajid ka aik shair yaad ah gya
 yeh zaroori tau nahin laug muqarar hee kehain
 aisa ho jaye tau phir iss ko muqader hee kehain
doosra shair poora yad nahin mugar kuch aisa hai jo dil ko choo laita hai= chund misre jo liye phirta hai gareeb
         uhs ka dil rakh lain usay sukhnwer hee kehain 
hosla afzai ka shukriyasdaa khush rehain.Asghr
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: February 25, 2009, 09:19:00 AM »
Reply with quote
Beautiful work Asghr, Faraaz saheb ki ek Ghazal yaad aa gayee and equally beautiful reply by u Talat  Clapping Smiley Clapping Smiley

sunaa hai log use aa.Nkh bhar ke dekhate hai.n
so us ke shahar me.n kuchh din Thahar ke dekhate hai.n

sunaa hai rabt hai us ko Kharaab haalo.n se
so apane aap ko barbaad karake dekhate hai.n

[rabt=closeness/relation]

sunaa hai dard kii gaahak hai chashm-e-naazuk us kii
so ham bhii us kii galii se guzar kar dekhate hai.n

[gaahak=customer]

sunaa hai us ko bhii hai sher-o-shaayarii se shagaf
so ham bhii mojaze apane hunar ke dekhate hai.n

[shagaf=passion]

sunaa hai bole to baato.n se phuul jha.Date hai.n
ye baat hai to chalo baat kar ke dekhate hai.n

sunaa hai raat use chaa.Nd takataa rahataa hai
sitaare baam-e-falak se utar kar dekhate hai.n

sunaa hai hashr hai.n us kii Gazaal sii aa.Nkhe.n
sunaa hai us ko hiran dasht bhar ke dekhate hai.n

sunaa hai din ko use titaliyaa.N sataatii hai.n
sunaa hai raat ko jugnuu Thahar ke dekhate hai.n

sunaa hai raat se ba.Dh kar hai.n kaakule.n us kii
sunaa hai shaam ko saaye guzar ke dekhate hai.n

sunaa hai us kii siyaah chashmagii qayaamat hai
so us ko surmaafarosh aa.Nkh bhar ke dekhate hai.n

sunaa hai us ke labo.n se gulaab jalate hai.n
so ham bahaar par ilzaam dhar ke dekhate hai.n

sunaa hai aa_iinaa tamasaal hai jabii.n us kaa
jo saadaa dil hai.n ban sa.Nvar ke dekhate hai.n

sunaa hai jab se hamaa_il hai.n us kii gardan me.n
mizaaj aur hii laal-o-gauhar ke dekhate hai.n

[hamaail=something to wear around the neck]

sunaa hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkaan me.n
palang zaave us kii kamar ke dekhate hai.n

[zaave=angles]

sunaa hai us ke badan ke taraash aise hai.n
ke phuul apanii qabaaye.N katar ke dekhate hai.n

vo sarv-qad hai magar be-gul-e-muraad nahii.n
ke us shajar pe shaguufe samar ke dekhate hai.n

[sarv-qad=tall and graceful; shaguufe=bud; samar=fruit]

bas ek nigaah se luTataa hai qaafilaa dil kaa
so rah_ravaan-e-tamannaa bhii Dar ke dekhate hai.n

[rah_ravaa.N=travellers]

sunaa hai us ke shabistaan se muttasil hai bahisht
makiin udhar ke bhii jalve idhar ke dekhate hai.n

[shabistan=bedroom; muttasil=near; makiin=tenant]

ruke to gardishe.n us kaa tavaaf karatii hai.n
chale to us ko zamaane Thahar ke dekhate hai.n

kise nasiib ke be-pairahan use dekhe
kabhii kabhii dar-o-diivaar ghar ke dekhate hai.n

[be-pairahan=without clothes]

kahaaniyaa.N hii.n sahii sab mubaalaGe hii sahii
agar vo Khvaab hai taabiir kar ke dekhate hai.n

[mubaalaGe=beyond one's limits]

ab us ke shahar me.n Thahare.n ki kuuch kar jaaye.N
'Faraz' aao sitaare safar ke dekhate hai.n

-Ahmed Faraaz-
Logged
salma786
Guest
«Reply #4 on: February 25, 2009, 09:26:36 AM »
Reply with quote
Bahoot khoob asghr ji Clapping Smiley
Bahoot hi acha jawab Talat sis Clapping Smiley
Nice shairng sajid ji Thumbs UP
Logged
Asghr
Guest
«Reply #5 on: February 25, 2009, 12:54:52 PM »

aap ka mamnoon hoohn Gayel bhai sdaa khush rehain.Asghr
Logged
Asghr
Guest
«Reply #6 on: February 25, 2009, 12:56:09 PM »
Reply with quote
Bahoot khoob asghr ji Clapping Smiley
Bahoot hi acha jawab Talat sis Clapping Smiley
Nice shairng sajid ji Thumbs UP
thanks Salma ji.Asghr
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:22:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer