Dil Ki Khwaishe "Khwaish"

by khwaish on June 10, 2011, 12:06:23 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2151 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
Reply with quote
"Hazaaro Khwaishe Aisi Ke Har Khwaish Pe Dam Nikle
  Bahut Nikle Mere Armaan Phir Bhi Kam Nikle"

Yeh Sach Hai Ke Insaan ki Khwaishe kabhi khatam Hi Nahi Hoti, Ek Cheez jab Woh Paa Leta Hai Phir Kisi Dusri Cheez Ko paane Ki Khwaish Kar Baithta Hai..Jo iss Duniyavi Moh Se Chutkara paale Aisa Insaan Koi Virla Hi Hota Hai..Inn jazbaaton par Kuch Likh Raha Hoon...Iss Ghazal Ke Makte mein Ek Zikr Kiya Hai Maine Ke "Mujhe Sirf Iss Baat ka Gham Hai Ke Meri Zindagi Guzri Nahi, Maine Guzaari hai..Inn Do baaton Mein Zameen-Aasman ka Fark Hai..kisi Ko Baithe-Baithe Sab Kuch Mil Jaata hai Aur Zindagi Yuhi Guzar Jaati Hai Aur Kisi Ko Apni Zindagi Zarooraton Ke Mutaabik Guzarni Padhti Hai...



Waqt Ki Tez Andhiyon mein Jab Tere kadam ladkadaye Honge
Tujhe Bhi Kuch Guzre Hue Daur Ke Lamhe Yaad Aaye Honge

Woh Waqt Hi Acha Tha Jab Humein bhook Naa Thi Shohrat Ki
Humne Naa Jaane Aaj Kitno Ke Dil Yahan Dukhaye Honge..

Saahil par Baithkar Yuhi Lehron Ko Aate-Jaate Dekhne Wale!!!
Yeh soch,Inn Lehron Ne Kitne Kashtiyon Ko Yahan Dubaye Honge

Ab Woh Basti Ka Naam-o-Nishaan Bhi Nahi Jahan Basera Tha Apna!!
Unche Khwaabo Ke Saath Unche Ghar Bhi Ab Sabne Banaye Honge

Dil Ki Khwaishe Badhti Rahi Har Insaan Ki Yahan Taa-Umar!!!!
Koi To Aisa Mukaam Ho Iss Safar mein,Jahan Yeh Sukoon Paye Honge

"Khwaish"Gham Iss Baat Ka Hai Ke Zindagi Yuhi Guzri Nahi,Humne Guzaari Hai!!
 Apne Dard-o-Ranj Ko Dil mein Chupaakar Hum Bhi Kabhi Yuhi Muskuraye Honge


                    ~~~~~Khwaish~~~~~
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #1 on: June 10, 2011, 12:36:18 PM »
Reply with quote
bht bht khoob khwaish ji....
sply 2nd one...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: June 10, 2011, 12:49:32 PM »
Reply with quote
Dost,
Apki har ek kalam mujhe speechless kar jati hai..
Har ek kalam main, main apne apko dekh sakta hoon..
Lehron ko dekhne ka ashaar, kya soch ka nazara hai apka..
Humne bhi lehrein bahaut dekhi, mager itni umda soch kay saath nahin..
Aur haan, gehri baat kehgaye kay 'zindagi guzri nahin, guzari hai..'
Sach kaha dost kay kisi ko baithe baithe sab kuch mil jata hai..
Khair, dil dil aur dil ki gehrayion se daad apko..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: June 10, 2011, 01:12:33 PM »
Reply with quote
bht bht khoob khwaish ji....
sply 2nd one...


Aapka Bahut bahut Shukriya Priya Ji
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #4 on: June 10, 2011, 01:36:54 PM »
Reply with quote
khyalon me tere kabhi hum bhi jhilmilaye honge
jab beete khubsurat lamhe tere dil se takraye honge

hathon ki lakeeron ko tune bhi khurecha hoga kabhi
mujhe maang kar jab dua me hath tune uthaye honge

har raat jalti raaton me tune ashk tanha baaye honge
adhuri khwaishon ne dil pe jab naasoor banaye honge
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #5 on: June 10, 2011, 01:43:36 PM »
Reply with quote
Woh Waqt Hi Acha Tha Jab Humein bhook Naa Thi Shohrat Ki
Humne Naa Jaane Aaj Kitno Ke Dil Yahan Dukhaye Honge..


Good One .. Khwaish Ji ! Applause Applause
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #6 on: June 10, 2011, 03:11:16 PM »
Reply with quote

Waah...waah Khwaish ji..bahut khoob

Nice and lovely thoughts you have
expressed in your post.

Congrates and all the best.

Satish Shukla 'Raqeeb'
 
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #7 on: June 11, 2011, 08:28:55 AM »
Reply with quote
Dost,
Apki har ek kalam mujhe speechless kar jati hai..
Har ek kalam main, main apne apko dekh sakta hoon..
Lehron ko dekhne ka ashaar, kya soch ka nazara hai apka..
Humne bhi lehrein bahaut dekhi, mager itni umda soch kay saath nahin..
Aur haan, gehri baat kehgaye kay 'zindagi guzri nahin, guzari hai..'
Sach kaha dost kay kisi ko baithe baithe sab kuch mil jata hai..
Khair, dil dil aur dil ki gehrayion se daad apko..
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Khush rahiye..!

Bhai Rahim, Sabka Apna-Apna Padhne ka Andaaz Hota Hai Hai Koi Dil Se padhkar Usse Mehsoos Karta Hai Aur Koi Bas padhne Ke Liye Padhleta hai..aapne isse mehsoos Kiya..isliye yeh ghazal aapke dil mein jagah bana paayi..

Aapka Humesha Ki Tarah Bahuttttttttt Bahutttttttt Shukriya Dost!! icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #8 on: June 12, 2011, 11:56:37 AM »
Reply with quote
khyalon me tere kabhi hum bhi jhilmilaye honge
jab beete khubsurat lamhe tere dil se takraye honge

hathon ki lakeeron ko tune bhi khurecha hoga kabhi
mujhe maang kar jab dua me hath tune uthaye honge

har raat jalti raaton me tune ashk tanha baaye honge
adhuri khwaishon ne dil pe jab naasoor banaye honge

Anuji..Tuada Koi jawaab nahi..

Bahut bahut Khooooooooob Ji Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: June 12, 2011, 12:35:14 PM »
Reply with quote
Khawahish Jee Aadaab!

Kia baat hai khawahish jee ...
Behad gehri soch aur umdaa ashaar kahe hai aapne.. Usual Smile
Sabhi ashaar aik se badhkar aik rahe...  Usual Smile

Dili daad O mubarakbad kabul kijiye...

Likhate rahiye....
Khush O aabaad rahiye..
khuda Hafez Usual Smile
         



Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #10 on: June 12, 2011, 01:08:56 PM »
Reply with quote
bahut khoob khwaishji kabile taareef.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: June 13, 2011, 02:58:57 PM »
Reply with quote
Woh Waqt Hi Acha Tha Jab Humein bhook Naa Thi Shohrat Ki
Humne Naa Jaane Aaj Kitno Ke Dil Yahan Dukhaye Honge..


Good One .. Khwaish Ji ! Applause Applause

Aapka bahuttt bahuttt Shukriya Nareshji
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #12 on: June 13, 2011, 03:10:08 PM »
Reply with quote
Waah MashaAllah Kya baat hai Khwaish ji... Ak Ak sher Bahoot Bahoot Umda Likha hai specially 2nd One...

Bahoot Bahoot Umda ! :Clap: Applause Applause
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #13 on: June 13, 2011, 03:57:46 PM »
Reply with quote
Mere Paas Alfaaz Nahi Hain Bhai.. Is Lajawab peshkash Ki Taareef Kaise kaun..?? Kya Likh dete Ho Yaaar... aap Jaisa Shayad Hi Kabhi Likh Paun main...!!!

Very Touching Yaaaar... Dil Ko Chhoo gaye aapke Likhe yeh Alfaaz.. Har ek Jumla apne aap Me Khubsoorat Hai.. Bahut Umda Peshkash hai.. Daad Kubool karen.. Applause Applause Applause



**~** Mann **~**
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #14 on: June 13, 2011, 04:16:35 PM »
Reply with quote
khaawish sahab aadab ,,

apke kalam ne der tak apne hisar me rakha ,, apko parhane ka apna hi maza hai ,, jazbat ke shahinshah ho bhai app yaqeen jaaniye ,, allah apko mazeed nawaze ,, dad behad ho hisab ,, khush rahe.N hamesha ...


apka bhai

Qadeertoopchi
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:39:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer