Door Talak....

by Pooja on April 08, 2008, 04:05:44 PM
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 4113 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Zameen wahin hai magar koi Ghar najar nahi atta
Asmaan wahin hai, kyun phir RUB najar nahi atta

Dil hi toota hai, chalo ise to mana lege hum
Per door talak kyun koi sath najar nahi atta

Bilakh raha hai koi, sune koi to uski awaz
Kyun kisi ka bhi dhayan ajkal, kisi per nahi jaata

Her ek muskura kar mil raha hai Phir bhi POOJA
Ab to her ek zisam-o-jaan bas ek lash hi hai najar atta

Zameen wahin hai magar koi ghar najar nahi atta
Asmaan wahin hai, kyun phir Rub najar nahi atta.........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
der talak barsaat hui by kaushikbhawna008 in Shayri-E-Dard
Kab talak aur raheyn aansuoun sey munh dhotey? by abdbundeli in Shairi - E - Zindagi
Kab talak, roz, shahnaaz sharmaayegee? by abdbundeli in Ghazals
sulag raha hay abhi talak... (by vb) by vb in Miscellaneous Shayri
Ab Jab Nahi Hain Door Talak Hamara Koi Wasta, ... by Kaushal Sharma in Pain in Love : Punjabi poetry « 1 2  All »
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #1 on: April 08, 2008, 04:52:57 PM »
Reply with quote
BOHOT KHOOB POOJA JI {RAB WALI BAAT CHHOD KAR} BAQI TAMAM BOHOT HI BEHTAREEN HE OR NIHAYAT DARD KE SATH LIKHE GAYE HE.  Applause
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: April 08, 2008, 04:54:46 PM »
Reply with quote
bahoot bahoot shukaria Sayyid Randeri ji!! Apko Rub wali line pasand nahi aai.. koi khas wajah.. agar pata chal jaaye to shayad kuch sikhne ka moka mil jaaye!!
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #3 on: April 08, 2008, 05:07:30 PM »
Reply with quote

Bilakh raha hai koi, sune koi to uski awaz
Kyun kisi ka bhi dhayan ajkal, kisi per nahi jaata

behad khoobsurat lines he.ek achi kavita.
Aaapki kavita mein tukbandi ki zurrat:

pehchaanta hein hume woh rooh tak,
aur hamari nas-nas se he woh waakif,
us par hamara chalaawa koi asar nahi dhaata,
isiliye asmaan hein wahi pur rub nazar nahi aata!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: April 08, 2008, 05:11:32 PM »
Reply with quote
shukaria Prateek ji!!

dekh kar zindagi ke roop, her ek roop chalawa lagta hai
itne khaye hai dhokein, Rub bhi unhi ka humsaya lagta hai
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #5 on: April 08, 2008, 05:40:08 PM »
Reply with quote
nahi pooja ji galti ki baat nahi bas kisi bohot bade ki shaan me gustakhi jesa laga, is me shamil hone se darta hun is liye apne aap ko is se alahida kar ne ki koshosh thi.
aap ka maqsad gustakhi ka nahi ye me janta hun, ham to aksar preshani me aesa bolte rehte hen, hmare yahan ek budhiya kehti thi "tu kya upar beth kar tmasha dekh ta he" jazbat me aese lafz nikal hi jaate he, allah ham tamam ko maaf farmae...

wese arabi zubaan me rab ka matlab palne wala parwasrish karne wala hota he.
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #6 on: April 08, 2008, 05:42:45 PM »
Reply with quote

Bilakh raha hai koi, sune koi to uski awaz
Kyun kisi ka bhi dhayan ajkal, kisi per nahi jaata

behad khoobsurat lines he.ek achi kavita.
Aaapki kavita mein tukbandi ki zurrat:

pehchaanta hein hume woh rooh tak,
aur hamari nas-nas se he woh waakif,
us par hamara chalaawa koi asar nahi dhaata,
isiliye asmaan hein wahi pur rub nazar nahi aata!

bohot khoob prateek ji badi achchhi baat kahi aapne.
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #7 on: April 10, 2008, 03:51:14 AM »
Reply with quote
bohut shukriya sayyid ji.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: May 29, 2008, 07:06:40 PM »
Reply with quote
Sayyid ji,

Mere liye Rub, Allah, bhagwaan sabhi wo ek upperwala hai. jo dil mai ho kah deti hu. main to yaha ek din church mai jakar Jesus se bhi lard aaii thi .. mujhe koi farak nahi pardta ki main kaha hu  aor main yah apna poora haq samjhati hu ki jab khushi mai shukaria kar sakati hu to dukh main ussi khuda se lard bhi sakti hu..

Again: main khuda likhu Rab likhu, Allah likhu ya jesus likhu sabhi ek hai meri najar main!!!

Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: June 30, 2008, 05:25:41 PM »
Reply with quote
door talak tera mera yaadon ka sath jayega
alag ho bhi ja jitna bhi tu,
beeta waqat tujhko bhi yaad ayega
barsegi teri bhi ankhia, beeta pal tujhko bhi satyega
door talak tera mera yaadon ka sath jayega
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #10 on: July 01, 2008, 11:10:45 AM »
Reply with quote
bahoot khoob rahi pooja ji......mujhe bhi ye line bahoot pasand aayi
Bilakh raha hai koi, sune koi to uski awaz
Kyun kisi ka bhi dhayan ajkal, kisi per nahi jaata

aur prateek ji ka jawab bhi.....

barson mai tere naam pe khata raha fareb,
mere  khuda kahan hai tu iska pata to de,

beshaq mere naseeb pe rakh apna ikhtiyaar,
lekin mere naseeb me kya hai bata to de
nm
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: July 01, 2008, 05:32:48 PM »
Reply with quote
shukaria Bekarar jee..

bahoot achi lines apne share ki hai!!
Logged
faiiz_76
Guest
«Reply #12 on: July 04, 2008, 10:35:05 PM »
Reply with quote
nice one
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #13 on: July 05, 2008, 02:14:16 AM »
Reply with quote
Zameen wahin hai magar koi Ghar najar nahi atta
Asmaan wahin hai, kyun phir RUB najar nahi atta

Dil hi toota hai, chalo ise to mana lege hum
Per door talak kyun koi sath najar nahi atta

Bilakh raha hai koi, sune koi to uski awaz
Kyun kisi ka bhi dhayan ajkal, kisi per nahi jaata

Her ek muskura kar mil raha hai Phir bhi POOJA
Ab to her ek zisam-o-jaan bas ek lash hi hai najar atta

Zameen wahin hai magar koi ghar najar nahi atta
Asmaan wahin hai, kyun phir Rub najar nahi atta.........

Wah wah waaaah didi bahut acche..  Applause  Applause
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #14 on: July 05, 2008, 02:16:37 AM »
Reply with quote
Bilakh raha hai koi, sune koi to uski awaz
Kyun kisi ka bhi dhayan ajkal, kisi per nahi jaata

behad khoobsurat lines he.ek achi kavita.
Aaapki kavita mein tukbandi ki zurrat:

pehchaanta hein hume woh rooh tak,
aur hamari nas-nas se he woh waakif,
us par hamara chalaawa koi asar nahi dhaata,
isiliye asmaan hein wahi pur rub nazar nahi aata!

Wow lovely lines Prateek jee
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:21:28 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer