Dua (by vb)

by vb on October 29, 2010, 05:02:32 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1608 times)
vb
Guest
Reply with quote
Janaab Habib Jalib sahab say maazirat k saath ...

Aye Khuda is jahaan say utha lay hamen
Is jahaan main ab apna guzaaraa nahi
Kuch zaroorat nahi ab hamaari yahan
Ab koi is jahaan main, hamaara nahi

          Un k honton k saaghar liyay khaab main
          May-kadon say piyaalay, piyain kab talak?
          Har qadam par jo thokar say hay waasta
          Manzilon k bharosay, jiyain kab talak?

Umr bhar ka koi saath day tu sahi
Do ghari ka sahaara, sahaara nahi
Is jahan main ab apna guzaara nahi

          Geet likhay hain kitnay shikaayat bharay
          Un ko har sham ik hum ne naghma diya
          Un ki galiyon main cheekha kiyay raat din
          Jub milay hum ne daaman ko phela diya

Kya hamaari saddaa ki yehi laaj hay
Kis tarha hum ne un ko pukaaraa nahi
Is jahan main ab apna guzaara nahi

          Shaam lay aaee thi, is gali main hamen
          Chup say bethay rahay raat bhar hum yahan
          Ik sitaaray pay nazren tikki reh gaeen
          Jag-magaataa raha gar-che sub aasmaan

Ab chalen ghar ko sub’hu k aasaar hain
Ab koi aasmaan par sitaara nahi

     Aye Khuda is jahaan say utha lay hamen
     Kuch zaroorat nahi ab hamaari yahan
     Ab koi is jahaan main, hamaara nahi
     Is jahan main ab apna guzaara nahi
     Aye Khuda...
     *---------------------*


Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: October 29, 2010, 05:31:35 PM »
Reply with quote
dard tadap aur bebasi se bhari aapki ye poem padhke kuch apne dil ki halat nazar aagai.....
kuch aisa hi humne bhi kuch din pehle likha tha....khair purani baat ho gai....
.

aapne bht hi acha likha h vb ji..har bar ki tarah dil me chubhta hua...
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


kab tak sahenge hum ye bebasi
ab to aur saha humse jata nahin
na ji rahe na mar rahe  hain hum
ab ye sitam tera aur saha jata nahin
kar de rahem  mere maula aur dede nijaat
ye dard-e -zindagi k har pal badhte naasuur se
k ab iske sath hamara ab aur guzara nahin
ye dard ab humse aur saha jata nahin......
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #2 on: October 29, 2010, 05:58:21 PM »
Reply with quote
Maayusi se bhara aap ka ye kalaam....
saare aalam ko gam me dubo de raha hai......kyu VB ji.....
Mausam tou badalte hai..bahaarein fir se aati hain.....
Khuda se jab maangna he tha tou maut kyu.....
nayi zindagi he maang lete....khayaal apna apna...... Applause Applause Applause Clapping Smiley

Ay khuda in sang-dil wallon par rehmat kar
In ke dilon me bhi kuchh khumaar-pyarr bhar

Zindagi jeene ka tareeka inko bhi seekha de
Kuchh rang ay khuda inki zindegi me b bhar de

Janaab Habib Jalib sahab say maazirat k saath ...

Aye Khuda is jahaan say utha lay hamen
Is jahaan main ab apna guzaaraa nahi
Kuch zaroorat nahi ab hamaari yahan
Ab koi is jahaan main, hamaara nahi

          Un k honton k saaghar liyay khaab main
          May-kadon say piyaalay, piyain kab talak?
          Har qadam par jo thokar say hay waasta
          Manzilon k bharosay, jiyain kab talak?

Umr bhar ka koi saath day tu sahi
Do ghari ka sahaara, sahaara nahi
Is jahan main ab apna guzaara nahi

          Geet likhay hain kitnay shikaayat bharay
          Un ko har sham ik hum ne naghma diya
          Un ki galiyon main cheekha kiyay raat din
          Jub milay hum ne daaman ko phela diya

Kya hamaari saddaa ki yehi laaj hay
Kis tarha hum ne un ko pukaaraa nahi
Is jahan main ab apna guzaara nahi

          Shaam lay aaee thi, is gali main hamen
          Chup say bethay rahay raat bhar hum yahan
          Ik sitaaray pay nazren tikki reh gaeen
          Jag-magaataa raha gar-che sub aasmaan

Ab chalen ghar ko sub’hu k aasaar hain
Ab koi aasmaan par sitaara nahi

     Aye Khuda is jahaan say utha lay hamen
     Kuch zaroorat nahi ab hamaari yahan
     Ab koi is jahaan main, hamaara nahi
     Is jahan main ab apna guzaara nahi
     Aye Khuda...
     *---------------------*



Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: October 31, 2010, 02:09:58 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
manjot
Shayari Qadrdaan
***

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
1 days, 10 hours and 46 minutes.
My Picture

Posts: 358
Member Since: May 2005


View Profile WWW
«Reply #4 on: October 31, 2010, 09:28:29 PM »
Reply with quote
is dard ke siva jaha mein rang aur bhi bahut hai
gum ke payale ke siva pine ko kuch aur bhi hai
rah e ishaq ko chod rahe guzer mein rah aur bhi hai
kardo kushak in palko ko inke kadardan aur bhi hai
jo beeta vo kal tha Aasiir aaj naye afsane kai aur bhi hai
Logged
vb
Guest
«Reply #5 on: November 01, 2010, 10:06:42 AM »
Reply with quote
*KasaK*....Dil Ki jee! buhat shukriya aap ka... buhat khoobsurat sher likhay aap ne.. thanx k hamaari bazm main chhor gaeen.. aap ne agar kuch likh rakha hay tu hum say behtar he likh rakha ho ga.. so hum Habib Jalib sahab k saath saath aap say bhe maafi chahtay hain..
Logged
vb
Guest
«Reply #6 on: November 01, 2010, 10:07:50 AM »
Reply with quote
KOYAL46 jee buhat shukriya aap ne parha and comments chhoray.. buhat khoob likha aap ne.. hamen parh kar achha laga..
Logged
vb
Guest
«Reply #7 on: November 01, 2010, 10:09:11 AM »
Reply with quote
~Hriday~ jee! agar ye taaliyaan hamaari poem k leyay hain.. tu buhat shukriya.. agar aur users k kalaam k liyay hain.. tu hamaari taaliyon ki goonj ko apni taliyon ka ham-nawa samajheyay...
Logged
vb
Guest
«Reply #8 on: November 01, 2010, 10:10:20 AM »
Reply with quote
manjot jee! buhat khoobsurat sher parhay aap ne.. shukriya visit karnay ka..
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #9 on: November 01, 2010, 10:13:31 AM »
Reply with quote
*KasaK*....Dil Ki jee! buhat shukriya aap ka... buhat khoobsurat sher likhay aap ne.. thanx k hamaari bazm main chhor gaeen.. aap ne agar kuch likh rakha hay tu hum say behtar he likh rakha ho ga.. so hum Habib Jalib sahab k saath saath aap say bhe maafi chahtay hain..

shukriya pasand karne ka....lekin maafi kyun?
Logged
vb
Guest
«Reply #10 on: November 01, 2010, 10:18:11 AM »
Reply with quote

Kon kehta hay hum ne duaaen na keen
Raat uth uth k rotay rahay chaah main
may-kaday hon k galiyaan k baazaar hon
Har qadam hum ne sajday kiyay raah main

baam-e-masjid say un k dawaaray talak
kis jaga hum ne Rabb ko pukaara nahi?
Aye Khuda...

Aashiyaan lut gaya, gulistaan jal chuka
ab ghata chha gaee bhe tu kya faaida?
Mar chuki jub qafas main he bulbul to phir
ab bahaar aa gaee bhe tu kya faaida?

Doob jaaen gi chaahat ki sub kashtiyaan
is samandar ka koi kinaaraa nahi
Aye Khuda...

Aur tum jo ho khaamosh, sunti bhe ho
kya tumhen such main hum say mohabbat nahi?
kub talak tum haqiqat ko thukraao gi?
ake hon hum kabhi, tum ko chaahat nahi?

ake din saamnay laain gay hashr main    (hashr=day of judgement)
kya tumhaara khuda hay, hamaara nahi?

Aye khuda is jahaan say utha lay hamen
is jahaan main ab apna guzaara nahi
kuch zaroorat nahi ab hamaari yahan
ab koi is jahaan main hamaaraa nahi
Aye Khuda...


Logged
vb
Guest
«Reply #11 on: November 01, 2010, 10:19:22 AM »
Reply with quote
*KasaK*....Dil Ki jee! Habib Jalib sahab and aap ki alfaaz ko samajh lejay copy kiya na hum ne.. is leyay maazerat chaahi...
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #12 on: November 01, 2010, 10:43:44 AM »
Reply with quote
ji aapne copy nahin kiya ji..... humneye feel ki baat ki thi...jo copy nahin kar sakte
Logged
vb
Guest
«Reply #13 on: November 01, 2010, 11:52:36 AM »
Reply with quote
:]
Logged
Manjot Singh
Guest
«Reply #14 on: November 01, 2010, 01:49:15 PM »
Reply with quote
manjot jee! buhat khoobsurat sher parhay aap ne.. shukriya visit karnay ka..

Thanks Likhte hai to jite hai na likhte to mar jate raj sine mein kai uhi dab jate
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:55:45 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.172 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer