~Ek adhuri mulaqat~ by Rahim

by dead heart on November 01, 2010, 08:41:17 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2996 times)
dead heart
Guest
Reply with quote
Ek dinn main hum najane kitne logon kay paas se guzarte hai..Kuch pe nazar jati hai aur kuch pe nahin..
Main aj ek ajnabi ko yeh nazm dedicate karna chahta hoon..
Kal internet cafe main jana hua toh main surfing kar raha tha aur baju wale laptop par woh ajnabi baithi thi..
Mera dil kuch kehna chah raha tha usse dekh kar jo na keh saka..
Bas woh adhuri mulaqat rehgayi..Uss ajnabi ki yaad ko lavzon main qaid kiya hai maine..

Woh shuruwat baat-chit ki jo main kar nahin saka,
Ab afsos hai kay kyun main haath barra nahin saka..

Tujse kehna chah raha tha dil kay tu badi haseen hai,
Najane kyun mager main itni himmat juta nahin saka..

Tere chehre par masoomiyat mager harkaton main shararat thi,
Tujhe parr leta main mager nazron se nazrein main mila nahin saka..

Shayad Khuda ne hi bheja tujhe mager meri sharmili ada majburi bangayi,
Bada afsos hai ae ajnabi; kyun ‘Khamosh’ kuch keh nahin saka..

Teri iss adhuri mulaqat ne dil ko behchan kar diya hai,
Likhne par mujhe majbur kar diya,
Bas isiliye ‘Khamosh’ aj khamosh reh nahin saka..

Ab afsos bahaut hai kay kyun main tujse kuch keh nahin saka..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mulaqat by Nino in Shayri-E-Dard
Mulaqat. by vsrinivash in Shayri for Khumar -e- Ishq
pahlee mulaqat by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq
Chand Ki Mulaqat Sitaro Se Adhuri Hoti Hai by Shayaries_King in Share: Poetry of Pain
zindagi adhuri ragyi ek mulaqat bankar by Asif samani jaunpuri in Shairi - E - Zindagi
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #1 on: November 02, 2010, 07:10:26 AM »
Reply with quote
good one rahim bhai....chalo bhagwan ji ek aur mauka de apko ..abki bar mile to mat jhijhakna keh dena...

dhero daad~
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: November 02, 2010, 01:44:50 PM »
Reply with quote
Shukriya Abhi bhai..
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #3 on: November 02, 2010, 02:58:19 PM »
Reply with quote
Oh mere sharmile bhai-jaan.......kya ehsaas hai.......kya tadap hai......kya izhaar hai.....wah  Applause Applause Applause Applause Applause

Meelan me hai he nahi wo mazaa jo tadap mai hai
Rubru me hai he nahi wo mazaa jo yaadon mai hai........

Ab soch kar dekho.....tum puchhlete naam usska....aur wo keh deti sorry mein ajnabiyon se baat nahi karti......
Mayus ho muh latka k sab bhul jaate......... nahi tou ab usski yaad me kitna sunder poem likh gaye ho tum......

Ek dinn main hum najane kitne logon kay paas se guzarte hai..Kuch pe nazar jati hai aur kuch pe nahin..
Main aj ek ajnabi ko yeh nazm dedicate karna chahta hoon..
Kal internet cafe main jana hua toh main surfing kar raha tha aur baju wale laptop par woh ajnabi baithi thi..
Mera dil kuch kehna chah raha tha usse dekh kar jo na keh saka..
Bas woh adhuri mulaqat rehgayi..Uss ajnabi ki yaad ko lavzon main qaid kiya hai maine..

Woh shuruwat baat-chit ki jo main kar nahin saka,
Ab afsos hai kay kyun main haath barra nahin saka..

Tujse kehna chah raha tha dil kay tu badi haseen hai,
Najane kyun mager main itni himmat juta nahin saka..

Tere chehre par masoomiyat mager harkaton main shararat thi,
Tujhe parr leta main mager nazron se nazrein main mila nahin saka..

Shayad Khuda ne hi bheja tujhe mager meri sharmili ada majburi bangayi,
Bada afsos hai ae ajnabi; kyun ‘Khamosh’ kuch keh nahin saka..

Teri iss adhuri mulaqat ne dil ko behchan kar diya hai,
Likhne par mujhe majbur kar diya,
Bas isiliye ‘Khamosh’ aj khamosh reh nahin saka..

Ab afsos bahaut hai kay kyun main tujse kuch keh nahin saka..

~..Rahim..~..A Silent Heart..~

Logged
dead heart
Guest
«Reply #4 on: November 03, 2010, 08:38:20 AM »
Reply with quote
Oh mere sharmile bhai-jaan.......kya ehsaas hai.......kya tadap hai......kya izhaar hai.....wah  Applause Applause Applause Applause Applause

Meelan me hai he nahi wo mazaa jo tadap mai hai
Rubru me hai he nahi wo mazaa jo yaadon mai hai........

Ab soch kar dekho.....tum puchhlete naam usska....aur wo keh deti sorry mein ajnabiyon se baat nahi karti......
Mayus ho muh latka k sab bhul jaate......... nahi tou ab usski yaad me kitna sunder poem likh gaye ho tum......

Hahahahaha apke yeh comment ne dil khush kar diya di..
Haan main bahaut sharmila hoon..tabhi toh 4 se 5 ajnabion kay uper likh chuka hoon :p
Haan apne sahi kaha, woh aisa keh deti toh dukh baith jata dil main mager tadap chorr gayi woh..!
Apki do lines bahaut sunder hai.. Applause Applause
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: November 03, 2010, 08:44:22 AM »
Reply with quote
Bahut Khub Rahim Bhai
ALLAH Pak Aapki Dusri
Mulaaqat Bhi Jald Karwaye...

Khush Rahiye...


~Shihab~

Shukriya Shihab Bhaijan..
Teh dil se shukriya..
Khush rahiye!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #6 on: November 03, 2010, 08:45:04 AM »
Reply with quote
Bhai Rahim, Aapki yeh nazm Ne Ek muskaan si laadi chehre par, padhkar bahut acha laga..masumiyat aur bekarari ka ehsas nazar aata hai!!!
jo koyal na kaha, bilkul sach hai,kayi haadson ko adhoora hi chodd dena chahiye,
humne aisi gustakiyan kayi baar ki hai.. tongue3

bahut bahut Khoob mere Bhai Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #7 on: November 03, 2010, 09:00:28 AM »
Reply with quote
Bhai Rahim, Aapki yeh nazm Ne Ek muskaan si laadi chehre par, padhkar bahut acha laga..masumiyat aur bekarari ka ehsas nazar aata hai!!!
jo koyal na kaha, bilkul sach hai,kayi haadson ko adhoora hi chodd dena chahiye,
humne aisi gustakiyan kayi baar ki hai.. tongue3

bahut bahut Khoob mere Bhai Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Haye haye apki haseen gustakiyan..
Sunkar khushi hui kay apke chehre par main muskaan la saka..
Haan kayi baar ankhai cheezein umr bhar yaad rehjati hai aur kahi hui, palon main bhula di jati hai..
Apka teh dil se shukriya..!
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:09:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer