ek darkhwaast ustaad sho^ra se

by nazar ghouri on August 02, 2010, 05:48:56 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1956 times)
nazar ghouri
Guest
Reply with quote
Adaab-o-taslimaat

Ahl-e-mehfil : yun to yahaan (iss bazm main) har roz badi tedaad main "guest aur user"aate hain.sho^ra apni taqleeq ke saath hazir hote hain to padhne waale bade shauq se padhkar unko daad o tehseen se nawaazte hain,aapne khayalaat ko lafzao'n main dhalna sher ko shayeri ke usool aur zuwabit ke mutabiq likhna shayeri ki bunyadi shartt hai.Ab yahaan yeh sawaal paida hota hai ke "shayeri ki bunyaadi shartt kya hai"?iss ko jaanne ke liye ek asaan sa tariqa yeh hai ke "ustaad sho^ra ikraam se raabta ".mei aur aap yahaan aate hain aur khayalaat rakhte hain lekin shayeri ki jo bunyadi shart se na waqifiyat rakhne se khayal sirf khayaal banke reh jata hai na ke "sher".mei^n yahaan bas talib-e-ilm ki haisiyat se aayaa hon.aur mei^n samajhta hoon mujh jaise yahaan kai log "jo shayeri ka shauq rakhte hain woh bhi meri tarha shayeri ki bunyadi aur ahem baatao^n se na waqif honge(yeh kaha bhi jaae to galat na hoga ke buniyadi baatao^n se waqif nahi hain kyun ke unki taqliqao^n se baat zaahir hoti hai).Kai din ka mushaheda karne ke baad meine kuch waqt nikaal kar aaya hoon,meine jiss cheez ki kami yahaan par mehsoos kar raha hoon woh mujh jaise talib-e-ilmao ke liye nuqsaandah hai,woh kami hai "ustaad sho^ara  ki iss bazm main na maujodgi" ..iis web site pe dekha gaya ke agar kisi ko islah ki taraf mutawajjeh kiya jaata hai to bajaae os jaanib tawajeh karne ke himaqat aur "ana"(ego")ke jazbe main tur batar hokar bematlab aur bewazan, bekaar ki baat karta hai  inn logao^n main mei^n bhi shaamil hoon,iss ka natijaah yeh nikla ke "ustaad sho^ara ab shaad o nadir hi aate hain,nuqsaan kiss ka hu'a?,aap bhi jaante hain aur mei^n bhi jaanta hoon..
   koi kuch bhi likh sakta hai iski mukamal azaadi hai yahan,lekin hum agar sher kehna chahte hain to hamein shayeri ke qawayed se waqifiyat laazim hojati hai.mei^n sub naye shu^ra (iss list main mei^n bhi shaamil hon) se guzarish karta hon ke ustaad shu^ra se "personal message " kar ke apne ilm main izafa karlein aur apni khamiyao^n ko door karlein,har chhoti aur badi cheez puchhne se na ghabraein aur na hi sharmaein,aur ek dosre ke jazb-e-ulfat main ghair zarori tabserao^n se gurez karein.apne qimti waqt aur salahiyato'n ko sahi jagah sarf kar ke khud main qabiliyat paida karlein.warna siwaae waqt guzari ke kuch nahi.aur "guest" bhi agar mufeed mashwarao'n se nawazein to unko na jhutlaein.    
   Meri adabaan guzarish hai "ustaad sho^ra se ke woh pehle ki tarhe yahaan tashreef laaen aur apni qeemti raa^e aur mufeed mashwarao'n se nawazte rahein..aap hazraat ki maujodgi hum jaise talib-e-ilmao ke liye mashaal-e-rah se kam nahei'n.meri khaas aur mudabana guzarish hai un ustaad sho^ra se jinke naam mein niche darj kar raha hon.

1.  mohtaram janaab "Waquif Ansari" saheb

2.  Mohtaram janaab "Gulaam Haider" saheb

3.  Mohtaram janaab "Aslam Ainaa"   saheb

4.  Mohtaram janaab "A.Qadeer toopchi"saheb

5.  Mohtaram janaab "Riyaz  Ashnaa" saheb

6.  Mohtarm janaab  "Abd bandeali"  saheb

hosakta hai yahaan aur bhi sho^ra honge jo fann-e-shayeri se waqfiyat rakhte honge mei^n un hazraat ke naam se waqif na hone ke sabab unke naam darj kar nahein paya ,mein muzarat chahta hon.agar kisi ko pata ho to woh zaror mujhe PM karein aapka niyaaz mand rahonga.

Mein yahaan kuch sho^ra ke naam likh raha hon jo apni qabiliyat aur shayeri ke zaoq o shaoq se iss bazm main bahot mashhor hain jinke kalaamao se mehfil pe rang chardhta hai aur shayeri ki khoshbo mahekti hai.

1. janaab "Saajid Ghayel" saheb

2. Mohtarama "Mamta Bajpai" saheba

3. mohtarm "shihaab " saheb

4. mohtarama "Tamanna " saheba

5. mohtaram "Dr. panday " saheb

6. janaab "marhoom bahayaat" saheb

7. janaab "khamoosh awaaz" saheb

8. janaab  "Adil bechain"  saheb

9. janaab  "v b saheb

and many more including

janab  Khwaish saheb

janab  abdul rahim saheb

janab  Azeem saheb

mohtarama koyal saheba

mohtarama Roja saheba

aur bahot se shouq aur zauq rakhne waale azizaan-e- bazm hain jinke naam abhi mere zahen main nahi ,jin ehbaab ka mein zikar kar na saka unnse maafi chhahta hon.bus yahaan jiss maqsad ke liye iss tehreer ko likha gaya uss ko zahen main rakhein ...

aapka mukhlis

Nazar ghouri
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #1 on: August 02, 2010, 09:37:15 PM »
Reply with quote
Mashaa_allah bohat khoobsurat thread banaya hai aapne Nazar saheb............aur Allah aapki is guzarish ko madad ata farmaye aur jaisa aapne socha hai waisa hi ho.

Par mere bhai yaqeen manna jo baat aap soch rahe hai us par amal hona samjho namumkeen baat hai. Sabse pehle to yeh tay kar pana bada mushkil hai ke kaun apne kalam par islah chahta hai aur kaun nahi. Aur agar anjane me aap agar kuch keh bhi de, jaise agar aisa hota to achcha hota ya yeh ghazal bahr me nahi hai ya yeh ghazal hi nahi hai to ek achcha khasa hungama khada ho jata hai.

Aur kuch nam jo aapne pesh kiye hai unme se kuch naam to bohat oocha makam rakhte hai, agar woh kisi ki islah kare aur woh islah unke muh par utha kar phek di jaye to kya aapko bardasht hoga.

Isiliye main to kehta hu ke ek aisa option ho jaha bakayda ek clause bana hona chahiye ke suggestion required jisme thread banane wala tick kare. Qke hum yaha nahi jante ke kaun kaise mizaz ka hai aur kitna serious hai apni shayri ko lekar.

Main yeh sab batein apne tajrubein ki buniyaad par keh raha hu mere bhai.......

Meri batein kisi ki naraazgi ka sabab bani ho to maaf kar de.

Ghayel
Logged
Aaarzoo
Guest
«Reply #2 on: August 04, 2010, 12:21:16 PM »
Reply with quote
Janaab Nazar sahib taslimaat,
     Aap ki tehreer padh kar acha laga,aapke iss jazbe ko mera salaam.yaqinan new shora ko islah ki behad zarorat hai.baat radeef ki ho ya qafiye ki ya baher ki ya auzaan ki ,yeh baat bilkul durust hai ke inke baare main jaanana zarori hai.aap ne "ustaad shora " jo zikar kiya hai ,unse guzarish hai ke woh talib ilmao ke saath dostana mahool banaae rakhe,sajid ji ki baat bhi bilkul sahi malum hoti hai agar islah ke naam pe ustaad shora sikhne waale ko nicha dekha de to phir taalib e ilm ka hausla toot jaayega.khair aapka jo jazba hai naye shora ko lekar woh yaqinan qabil e tareef hai. naye shura se meri bhi guzarish hai ke woh nazar sahib ki baat pe ghour kar ke ustaad shora se rujoh hon aur islah kar walein.

                             faqt aapka khair khawa
                                 Aarzoo
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #3 on: August 09, 2010, 02:16:03 PM »
Reply with quote
JANAAB NAZAR SAAHEB,
                    NAMASKAAR,
                              MAI AAP KI BAAT SE POORI TARAH ITTEFAQ RAKHTI HOON.MAI KHUD ABHI SHAIRI KE MUAAMLE ME TAALIB-E-ILM HOON.AGAR MERE KALAAM KI ISLAAH SE SEEKHNE WALON KO FAIDAH HOTA HAI TO MAI USTAAD SHOURA SE GUZARISH KAROONGI KI WO BEJHIJHAK MERE KALAAM KI ISLAAH KAREN JIS SE MAI TO SEEKHOONGEE HI SAATH ME SHAIRI KA SHOUQ RAKHNE WALE TAMAM TALIB-E-ILM BHI SHAIRI KI BARRKIYON SE ROOBROO HONGE.
MAMTA BAJPAI
     
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:14:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer