Ek Ghazal YoIndia ke respected shayro.n k naam....Iftakhar

by Iftakhar Ahmad on April 29, 2012, 05:29:30 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 3358 times)
goldy_shayar
Guest
«Reply #15 on: April 30, 2012, 10:27:20 AM »
Reply with quote
Iftakhar bhai bahut khoob, bahut bahut mubaarkein, upar wale se dua hai appko hamesha kaamyaab kare
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kya lutf jo gin gin ke tera naam liya...(NM).......Iftakhar by Iftakhar Ahmad in Share:Devotional Poetry
Ghazal: Khuda bande se khud puche...(NM) - Iftakhar by Iftakhar Ahmad in Allama Iqbal
VALENTINES DAY'S SPECIAL GHAZAL...............IFTAKHAR by Iftakhar Ahmad in Occassion Specific Poetry « 1 2  All »
EK GHAZAL- YOINDIA SHAYARO.N KE NAAM...///...........///....IFTAKHAR by Iftakhar Ahmad in Ghazals « 1 2 3  All »
mkv
Guest
«Reply #16 on: April 30, 2012, 10:29:06 AM »
Reply with quote
Vaah vaah vaah iftakhar jee
bahut bahut bahut khoob..
aapne bilkul sach likha hai..ye hai hi itne pyaare.. dil me basa lene laayak..
Yoindia isi ka naam to hai..sabhi ek dusre ke liye jaan chidakte hai.. is mahfil jaisi rounak aur kahee nahi..
aap bhi tareef ke kaabil hai..ye taaliyaan aapke liye..khuda aapki kalam ko taakat aur ehsaaso me barakkat de.
Applause Applause Applause
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #17 on: April 30, 2012, 12:55:13 PM »
Reply with quote
Aap sabhi ko bahut bahut shukriya. Ye aapka ekhlaas hi hai jisse mujhe likhne ka hausla milta hai. Sabhi ko shukriya aur salam.
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #18 on: April 30, 2012, 01:13:13 PM »
Reply with quote
Respected Poets,
maine aap sab ki taareef mein ye ghazal likhi hai, koi ghalti hot maaf kijiyega:


In shayaro.n ki shayari shua-e-aftab hoti hai
Duniya ki har haqeeqat inse, benaqaab hoti hai

Dolly ki bhakti, Sarfire ki bebaki ke kya kehne
Aur Hasan ki to har ghazal, pur-shabab hoti hai

Sheba  se  sanjidgi  jhalke,  Shukla se Ishq ka khumar
Aur Qalb se samaji darindo.n ki aabru, aab aab hoti hai

Koi Husn ko chand kahta hai, to koi Ishq ko Khuda
Aur Tauseef kehta hai k zindagi, bas habab hoti hai

'Iftakhar' tareef mein har roz kaha.n se laye naye alfaz
Saini  ki  to  har   ghazal   hi,  la-jawaab   hoti  hai


* Shua-e-aftab: Sooraj ki Kiran
* Habab: Paani ka bulbula

Bahut bahut achi peskash iftikhar bhai mubaraak ho
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #19 on: April 30, 2012, 03:31:11 PM »
Reply with quote
Congratulations..

This work has been featured in Yoindia Shayariadab April 2012 newsletter. You may read more about it HERE.



Dear Admin,
Thanks a lot for selecting my Ghazal for newsletter.

Iftakhar Ahmad Siddiqui
Logged
sbechain
Guest
«Reply #20 on: April 30, 2012, 05:58:34 PM »
Reply with quote
Respected Poets,
maine aap sab ki taareef mein ye ghazal likhi hai, koi ghalti hot maaf kijiyega:


In shayaro.n ki shayari shua-e-aftab hoti hai
Duniya ki har haqeeqat inse, benaqaab hoti hai

Dolly ki bhakti, Sarfire ki bebaki ke kya kehne
Aur Hasan ki to har ghazal, pur-shabab hoti hai

Sheba  se  sanjidgi  jhalke,  Shukla se Ishq ka khumar
Aur Qalb se samaji darindo.n ki aabru, aab aab hoti hai

Koi Husn ko chand kahta hai, to koi Ishq ko Khuda
Aur Tauseef kehta hai k zindagi, bas habab hoti hai

'Iftakhar' tareef mein har roz kaha.n se laye naye alfaz
Saini  ki  to  har   ghazal   hi,  la-jawaab   hoti  hai


* Shua-e-aftab: Sooraj ki Kiran
* Habab: Paani ka bulbula


dear iftakar sahab,

 salaam alaikum,

  aap ka kalaam to khoob rahaa, mujhe shamil kiya to khushi bahut ho rahi hai. per sharmindagi bhi usi tarah kyon ki mera to mayaar hi kuch nahin janaab. shayad aap naye hain to aap ne digar mashoor aur maaroof shorao.n ko apne kalaam mein nahin jodaa hai. main unn sabb khususi shoraa hazraat ka naam yahaan likhna chahoogi jo YOINDIA  ke PILLAR aur STAR hain.
aur main to aapki tarah compose nahin kar sakti. haan ye zarur guzarish karoo.n gi
 baraaye meherbaani apni  agli ghazal mein inkaa naam likein jo mujh se her haal mein behter aur kaabil hain.

   1. janaab khawaish sahab.
   2. janaab parwaaz sahab.
   3. janaab shihaab sahab.
   4. mamta vajpayee ji
   5. usha rajesh ji.

   6. mohatrem janaab qadeer sahab.
   7. mohattrem janaab wauqif ansari sahab.
   8. mohttrem janaab arun mishra sahab.
   9. mohttrem janaab sadiq rizvi sahab

   7. janaab taasir siddiqui sahab
   8. kasak dil ki
   9. mkv ji
   10 pank ji
   11. aur naye mein behtreen shayar janaab -- QUATEEL AHMED sahab
                                               QAIS sahab
  ek khaas bhi hain...........janaab SAJID GHAYAL SAHAB

   aur mera pyaara sa khaas shayar jise main zyaad nahin padh paati-- my dear lovely SAHILL  hai

shukriya.

  ALLAH HAFIZ

  SHEBA


 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #21 on: April 30, 2012, 06:22:48 PM »
Reply with quote
Sheba jee, aapne bilkul sahi farmaya, mai.n halaa.nki 7-8 mahine se YoIndia member hu.n phir bhi inn logo.n se main utna waqif nahi hu.n, maine unke kalam nahi padhe hai.n ya kam padhe hain. Waise mujhe inn logo.n ke baare mein batane ke liye bahut bahut shukriya, mujhe kafi achha laga jaankar. Chaliye main aage inn logo.n ka bhi dhyan rakhunga.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #22 on: May 01, 2012, 07:07:49 AM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Qalb saheb, Pankaj jee, Mukesh jee aur Goldy jee.
Logged
Qais
Guest
«Reply #23 on: May 01, 2012, 03:58:37 PM »
Reply with quote
 Applause Applause
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #24 on: May 04, 2012, 04:02:03 PM »
Reply with quote
Shukriya Qais saheb.
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #25 on: August 29, 2013, 11:50:04 AM »
Reply with quote
Bahut khoob dedicate kiye hain aap Iftikhar! Aur bhi kuch logan ka bhulaye gaye hain! Roja,Celmira,Puja,Shikha,Sophi,Mann,Aqsh,Azeem,Bekrar,Honey,Sanya,Samnoj,Rishi,Salil,Sahal etc. Well,God bless,Khush rahen!
Logged
FAHIMUL HAQ USMANI
Guest
«Reply #26 on: January 09, 2014, 07:21:36 PM »
Reply with quote
HAADSO KA ZINDGANI SE ASAR JATA NAHI,
DEKHTA SAB KUCH HOON MAI DEKHA MAGAR JATA NAHI,
YAAD HAI TUJHSE BICHADNA AAJ BHI SADIYON KE BAAD,
WAQT KE MARHAM SE BHI HAR ZAKHM BHAR JATA NAHI,
KYA KHABAR INSAAN KO DARD-E-JIGAR KYA CHEEZ HAI,
HADSA JAB TAK KOI SAR SE GUZAR JATA NAHI,
KHUD HI KAHTA HAI KI TERI ZINDGI HAI EK AZAAB,
JAB TERA JEENA HI HAI DOOBHAR,KYO TU MAR JATA NAHI
ISLIYE BHI MAI GUNAHO KI HADO SE DOOR HOON,
AYE KHUDA-E-PAAK TERA DIL SE DAR JATA NAHI.[/b]
Logged
sbechain
Guest
«Reply #27 on: January 09, 2014, 07:24:31 PM »
Reply with quote
HAADSO KA ZINDGANI SE ASAR JATA NAHI,
DEKHTA SAB KUCH HOON MAI DEKHA MAGAR JATA NAHI,
YAAD HAI TUJHSE BICHADNA AAJ BHI SADIYON KE BAAD,
WAQT KE MARHAM SE BHI HAR ZAKHM BHAR JATA NAHI,
KYA KHABAR INSAAN KO DARD-E-JIGAR KYA CHEEZ HAI,
HADSA JAB TAK KOI SAR SE GUZAR JATA NAHI,
KHUD HI KAHTA HAI KI TERI ZINDGI HAI EK AZAAB,
JAB TERA JEENA HI HAI DOOBHAR,KYO TU MAR JATA NAHI
ISLIYE BHI MAI GUNAHO KI HADO SE DOOR HOON,
AYE KHUDA-E-PAAK TERA DIL SE DAR JATA NAHI.[/b]


wah wah wah bahut hi khoon icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:40:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer