-----/// Ek kahaani sunaataa hoon /// ------ Hriday

by ~Hriday~ on August 28, 2012, 08:52:33 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1732 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote
achcha thaa main duur tumhaari yaadon ko bhulaake
tumne aake fir puraane yaadon ko taazaa kar diyaa
bhool chukaa thaa main sab kuch tumhe bhulaake
tumne aake fir se un zakhmon ko taazaa kar diyaa...

Ek kahaani sunaataa hoon aaj aap sabhi doston ko... kal raat ki kahaani.....


raat phone ki ghanti baji
phone uthaayaa to ek awaaz sunai di
ek aawaaz jo kuch jaani pehchaani thi
ek aawaaz jo kuch puraani si thi
maine poochhaa "haanji aap kaun"
aawaaz aayee 'main wahi hoon
jo kabhi tumhaari deewaani thi'

kuch der main chup rahaa
kuch main khamosh rahaa
fir kuch der ruk ke maine
himmat kar ke poochhaa usse
'kaho kaisi ho, kahaan ho'

fir kyaa thaa, bas baatein hi baatein
wo apni sunaati rahee
main apni sunaataa rahaa
kyaa beetaa, kaisaa beetaa
waqt dooriyon ka kaisaa beetaa

lagaa hi nahi ek pal bhi ki wo duur thi
yun lagaa jaise kal ki hi baat ho
mere haathon me uskaa haath liye
uski aankhon me gum saa hoon
bas dekh rahaa hoon uske chehre ko
aur mujhe kuch hosh nahee
wo dheere se muskuraati hui
apne aanchal me apna chehra chipaati hui
dheere se boli 'chhodo na mera haath,
mujhe sharm aati hai,
chhodo na koi dekh legaa'
aur main use samjhaataa huwaa
'darti ho kya,
pyaar karti ho na mujhse'
bharosa hai na mujhpe'

bas fir unhi yaadon me kuch is tarha kho gayaa
usse baatein karte karte kaise
waqt beetaa pataa hi nahi chalaa
bas baatein karte rahe
khoob saari baatein

fir ehsaas huwa use bhi aur mujhe bhi
waqt waisa nahi hai jaisa thaa
hum saath the jab, tab jaisaa thaa
waqt badal chuka hai
sab kuch badal chukaa hai
wo haseen mulaaquatein
wo pyaari pyaari baatein
phone pe baat karte huye bitaai raatein
ab kuch bhi to waisa nahi hai jaisa tha
log badal gaye, rishte badal gaye
aaj na main uska hoon, na wo meri hai
naa ye bedard waqt bhi hamaaraa hai

inhi khayaalon me khoye rahe hum bahut der tak
aur fir khayaal aayaa raat bahut ho chuki hai
hamaare bich baat bahut ho chuki hai
baatein to itni thi ki kai raatein kam pad jaayen
wo kehti rahe, main sunta rahu
main kehta rahu, wo sunti rahe
par waqt ko dekhte huye humne phone rakh diyaa


jaane fir uska kya haal huwaa
mujhe raat bhar neend nahi aayi
poori poori raat wo yaad aayi
aur ab bhi usi ke khayaalon me hoon
khoyaa huwa hoon...

aakhir kyun....
kyun usne itne din baad yaad kiya..
akhir kyun?Huh??


*****HRIDAY*****
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #1 on: August 28, 2012, 09:09:06 AM »
Reply with quote
wah Hriday ji
Kyonki wo apney aaj se thak chuki thhi
wahi gisi piti jindagi jeete jeete ubb chki thhi

Wahi pati ka roj datna daptna
Wahi bachho ki nit nayee pharmishe karna

Salo woh mook banke apna farj nibhati rahi
Lekin jindagi ki udasi phir bhi kam na hoti rahi

Kahin se usse aapka number mil hi gaya
Dar dar ke pehle kai kai bar socha

Phir sahas karke number aapka mila hi diya
Aapse apne hale dil bayan kar hi diya

Aap apkee neend kharab huyee soch rahe hain
Usko kitna sakun mila yeh kyon nahi sachte hain

Hum toh chate hain bar bar aapki neend kharab ho
Kisi apne ko kam se kam kuchh khushi milti to ho

Bhagyvan apne ko samjhiye Hriday ji
Kisi apne ke kam aa toh rahe hriday ji

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: August 28, 2012, 09:19:31 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaa nandbahu ji... aur jawaab me aapne ek dum sach bayaan kiya hai... agar aapki jagah wo hoti to shayad aisa hi kuch likhti.... bahut bahut khoob likha hai aapne....!!!
 Applause Applause Applause Applause Applause

ye khayaal mere bhi dil me aayaa hazaar baar
aaakhir kabhi maine bhi usi se kiyaa thaa pyaar

wo chali gayi duur humse is ka ghum nahee
raaton ko wo khwaab banke aati rahi kai kai baar

thaa nahi bas me unke khud ko roknaa us pal
jaanaa thaa chali gayi chhod ke meraa ye sansaar

mumkin nahi ye mere liye ab saath unka nibhaa paanaa
par ye bhi sach hai ki aaj bhi hai unse pyaar beshumaar...

*****HRIDAY*****

Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: August 28, 2012, 10:01:05 AM »
Reply with quote
waah waah bahut khoob kapil ji
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #4 on: August 28, 2012, 10:42:13 AM »
Reply with quote
achcha thaa main duur tumhaari yaadon ko bhulaake
tumne aake fir puraane yaadon ko taazaa kar diyaa
bhool chukaa thaa main sab kuch tumhe bhulaake
tumne aake fir se un zakhmon ko taazaa kar diyaa...

Ek kahaani sunaataa hoon aaj aap sabhi doston ko... kal raat ki kahaani.....


raat phone ki ghanti baji
phone uthaayaa to ek awaaz sunai di
ek aawaaz jo kuch jaani pehchaani thi
ek aawaaz jo kuch puraani si thi
maine poochhaa "haanji aap kaun"
aawaaz aayee 'main wahi hoon
jo kabhi tumhaari deewaani thi'

kuch der main chup rahaa
kuch main khamosh rahaa
fir kuch der ruk ke maine
himmat kar ke poochhaa usse
'kaho kaisi ho, kahaan ho'

fir kyaa thaa, bas baatein hi baatein
wo apni sunaati rahee
main apni sunaataa rahaa
kyaa beetaa, kaisaa beetaa
waqt dooriyon ka kaisaa beetaa

lagaa hi nahi ek pal bhi ki wo duur thi
yun lagaa jaise kal ki hi baat ho
mere haathon me uskaa haath liye
uski aankhon me gum saa hoon
bas dekh rahaa hoon uske chehre ko
aur mujhe kuch hosh nahee
wo dheere se muskuraati hui
apne aanchal me apna chehra chipaati hui
dheere se boli 'chhodo na mera haath,
mujhe sharm aati hai,
chhodo na koi dekh legaa'
aur main use samjhaataa huwaa
'darti ho kya,
pyaar karti ho na mujhse'
bharosa hai na mujhpe'

bas fir unhi yaadon me kuch is tarha kho gayaa
usse baatein karte karte kaise
waqt beetaa pataa hi nahi chalaa
bas baatein karte rahe
khoob saari baatein

fir ehsaas huwa use bhi aur mujhe bhi
waqt waisa nahi hai jaisa thaa
hum saath the jab, tab jaisaa thaa
waqt badal chuka hai
sab kuch badal chukaa hai
wo haseen mulaaquatein
wo pyaari pyaari baatein
phone pe baat karte huye bitaai raatein
ab kuch bhi to waisa nahi hai jaisa tha
log badal gaye, rishte badal gaye
aaj na main uska hoon, na wo meri hai
naa ye bedard waqt bhi hamaaraa hai

inhi khayaalon me khoye rahe hum bahut der tak
aur fir khayaal aayaa raat bahut ho chuki hai
hamaare bich baat bahut ho chuki hai
baatein to itni thi ki kai raatein kam pad jaayen
wo kehti rahe, main sunta rahu
main kehta rahu, wo sunti rahe
par waqt ko dekhte huye humne phone rakh diyaa


jaane fir uska kya haal huwaa
mujhe raat bhar neend nahi aayi
poori poori raat wo yaad aayi
aur ab bhi usi ke khayaalon me hoon
khoyaa huwa hoon...

aakhir kyun....
kyun usne itne din baad yaad kiya..
akhir kyun?Huh??


*****HRIDAY*****

naaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaice---per aagey mujh se sunoo. usney ye bataaney ke liye shayad phone kiya tha kii aap maanoo ban gaye ho. per himmat nahin kiiii Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Logged
pankajwfs
Guest
«Reply #5 on: August 28, 2012, 10:49:44 AM »
Reply with quote
bahut khoob hriday ji bahut khoob Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley
Logged
mkv
Guest
«Reply #6 on: August 28, 2012, 11:27:30 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Kapil jee,
Maza aa gaya padhkar.
Aapki taareef karna mere liye tedhi kheer..kahan se laaun naye words..repeat karne ki meri aadat nahee. Chaliye koshish karta hun.
Story ko poetry form me bahut badhiya likha hai aapne. Sundar bayaanee.
Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
ripan dev
Guest
«Reply #7 on: August 29, 2012, 03:10:59 AM »
Reply with quote
Hmmmm hota hai kabhi kabhi aisa bhi hota hai....... Beautiful story
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: August 29, 2012, 06:16:02 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaa Saini ji....!!!

waah waah bahut khoob kapil ji
Logged
Sanjeev kash
Guest
«Reply #9 on: August 29, 2012, 06:18:08 AM »
Reply with quote
BAhut Bahut Khub Kapil Ji Applause Applause Applause
Logged
suman59
Guest
«Reply #10 on: August 29, 2012, 06:23:22 AM »
Reply with quote
wah wah kahani badiya hai jee... aisa hi sunate rahiye  Thumbs UP
MAST  Thumbs UP
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: September 02, 2012, 12:47:59 PM »
Reply with quote
thank you soooooooooo much K_A ji... waise aisi baat thi to bataana chahiye thaa naa usko... wo aapke through message kyun bhej rahi hai?Huh?? tongue3

naaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaice---per aagey mujh se sunoo. usney ye bataaney ke liye shayad phone kiya tha kii aap maanoo ban gaye ho. per himmat nahin kiiii Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: September 02, 2012, 04:01:37 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaaa Pankaj ji....!!!

bahut khoob hriday ji bahut khoob Clapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping SmileyClapping Smiley
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: September 03, 2012, 06:21:57 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaaa Mukesh ji.... aapke comments se meri rachnaaon ki sundartaaa aur badh jaati hai....!!!

Bahut khoob Kapil jee,
Maza aa gaya padhkar.
Aapki taareef karna mere liye tedhi kheer..kahan se laaun naye words..repeat karne ki meri aadat nahee. Chaliye koshish karta hun.
Story ko poetry form me bahut badhiya likha hai aapne. Sundar bayaanee.
Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: September 04, 2012, 03:11:10 PM »
Reply with quote
thank you sooooooooooo much Ripan ji....!!!

Hmmmm hota hai kabhi kabhi aisa bhi hota hai....... Beautiful story
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 12:19:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.134 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer