Ek Khwaab

by tamanna.pt on May 12, 2010, 01:14:44 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1540 times)
tamanna.pt
Guest
Reply with quote
      Kareeb 10-12 din baad kuch post kar rahin hoon doston,iski ek wajah humara kharab net bhi raha jo sirf apna mood hone par hi connect hote hain or kuch main bhi busy rahi. Mere last kalaam ko pasand karne k liy aap sabka kai quntal shukriya. Aaj ki koshish kis forum me post karni hai samajh nahi aaya. ye kuch or likhne ki koshish ki thi kuch or hi ajeeb sa ban gaya to yahi post kar diya.


                   Har ek jhaunke ne di wajah muskuraane ki,
                   Ghuli khabar fiza me jab unke aane ki.

                   Jharokhon se aati dhoop ho ya khushnuma rang deewaron k,
                   Dikhne lagi aaj har khoobi mujhe,apne aashiyaane ki.

                   Uljhi julfein ho chali thi kabhi pehchaan jiski,
                   Padi jarurat fir use aaine ko azzjmaane ki.

                   Socha tha jalayeng humbhi bewajah ruth k magar ,
                   Dekh k unko kahan chalti hai koi koshish sataane ki

                   Nazrein hi na de gar saath zabaan ka,
                   Gunjaish fir koi,kya dhundhe bahaane ki.

                   Lagata hai hogai khabar khushi ki mere raqeeb ko,
                   Jo aane lagi aawaaz darwaaza bajaane ki.

                   Khuli aankh to paya wahi manzar tanhai ka,
                   Wahi khalish thi dil ki,wahi baatein zamaane ki.  



    
                           ----Tamanna---
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~~KHWAAB......~~~ by vitasta in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
khwaab by mani_unique in Shayri for Khumar -e- Ishq
WOH KHWAAB by ashq_ashq in Shayari -e- Husn
khwaab ko khwaab samajh ke khwaab ki tauheen na kar... by diya786 in Shairi - E - Zindagi
Khwaab ki ahmiyat khwaab se hai by @kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: May 12, 2010, 01:23:29 PM »
Reply with quote
waah Waah Waah!!!

Bahut Hi khoobsurat Kalaam Tamanna Ji..

Bahut Bahut Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: May 12, 2010, 01:58:49 PM »
Reply with quote

Ab bechaare aapke net ko kyun badnaam kiya jaaye. Humein uske haal ka bhi sochna chahiye kabhi kabhi. Wo bhi kitna load lega....Kyun? sach kaha na humne. kabhi kabhi anjaane me bhi bahut khoobsurat haadse ho jaate hain. Wahi hua is kavita ke sath bhi. Aap kuch aur kar rahe the kuch aur hi ho gaya. Ab taarif aapke ki jaye ya aapke galti ki hum yahi soch rahe hain.  Winking

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Bahut bahut khoobsurat khwaab likha hai aapne. Bahut hi umda. Khwaab bhi apne aap khoobsurat hone lagte hain jab wo aapki aankhon se hokey guzarte hain. Mehboob ke aane ki aahat hoti hi aisi hai. Bahut achcha laga aaapki ye kavita padhke. Bahut khoob Tamanna ji, bahut khoob. Thumbs UP
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #3 on: May 12, 2010, 01:59:19 PM »
Reply with quote
Tamanna ji.... kya likh diya yaar aapne.... icon_salut icon_salut

wah..!! bahut bahut bahut khooooooobbbbb....

ek khwab tha tujhe gale se apne lagau mai,
wo khwab mujhse na jane kyon door ho gaya.,
ek tamanna thi tujhe dil se apnau mai,
wo tamanna bhi mujhe chhodne ko majboor ho gaya..

shukriya..... Usual Smile
khush rahiye.. Usual Smile
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #4 on: May 12, 2010, 02:01:10 PM »
Reply with quote
   Shukriya shihab ji  Usual Smile
Wah Wah Kya Baat Hai ,Bahut Khub Tamanna Ji...

Yun Hi Apne Pyar Bhare Andaz Se
Mehfil Ko Roshan Karte Rahiye....


Khush Rahiye...


~Shihab~

Logged
vb
Guest
«Reply #5 on: May 12, 2010, 02:02:23 PM »
Reply with quote
buhat khoob.. !
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #6 on: May 12, 2010, 02:14:49 PM »
Reply with quote

  Bahut Shukriya kapil ji kalaam ko itna pasand karne ka. Aur bilkul sach kaha aapne,waise aap to insaan hi kya internet k man k haalat ko bhi samajhne lage hain. Surfing karte-karte Net se bhi rishta kayam kar liya lagta aapne. Usual Smile  Shukriya kalaam padhne k liy.

Ab bechaare aapke net ko kyun badnaam kiya jaaye. Humein uske haal ka bhi sochna chahiye kabhi kabhi. Wo bhi kitna load lega....Kyun? sach kaha na humne. kabhi kabhi anjaane me bhi bahut khoobsurat haadse ho jaate hain. Wahi hua is kavita ke sath bhi. Aap kuch aur kar rahe the kuch aur hi ho gaya. Ab taarif aapke ki jaye ya aapke galti ki hum yahi soch rahe hain.  Winking

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Bahut bahut khoobsurat khwaab likha hai aapne. Bahut hi umda. Khwaab bhi apne aap khoobsurat hone lagte hain jab wo aapki aankhon se hokey guzarte hain. Mehboob ke aane ki aahat hoti hi aisi hai. Bahut achcha laga aaapki ye kavita padhke. Bahut khoob Tamanna ji, bahut khoob. Thumbs UP

Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #7 on: May 12, 2010, 02:16:48 PM »
Reply with quote

  Shukriya VB ji  happy3
buhat khoob.. !
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: May 12, 2010, 02:19:47 PM »
Reply with quote
U r welcome Tamanna ji...!!! Usual Smile

 Bahut Shukriya kapil ji kalaam ko itna pasand karne ka. Aur bilkul sach kaha aapne,waise aap to insaan hi kya internet k man k haalat ko bhi samajhne lage hain. Surfing karte-karte Net se bhi rishta kayam kar liya lagta aapne. Usual Smile  Shukriya kalaam padhne k liy.
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #9 on: May 12, 2010, 02:20:22 PM »
Reply with quote
  Dher sara Shukriya Tauheed ji.  Usual Smile Usual Smile
Tamanna ji.... kya likh diya yaar aapne.... icon_salut icon_salut

wah..!! bahut bahut bahut khooooooobbbbb....

ek khwab tha tujhe gale se apne lagau mai,
wo khwab mujhse na jane kyon door ho gaya.,
ek tamanna thi tujhe dil se apnau mai,
wo tamanna bhi mujhe chhodne ko majboor ho gaya..

shukriya..... Usual Smile
khush rahiye.. Usual Smile
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #10 on: May 12, 2010, 02:21:32 PM »
Reply with quote
 Bahut shukriya Khwaish ji. wave
waah Waah Waah!!!

Bahut Hi khoobsurat Kalaam Tamanna Ji..

Bahut Bahut Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #11 on: May 12, 2010, 08:31:52 PM »
Reply with quote
Wow Tamanna ji ,maza aa gayi aapke khoobsurat kavita padke.bahut bahut khoob.mindblowing creation.lovely work.keep it up.excellent Both Thumbs Up Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
neelgold
Guest
«Reply #12 on: May 12, 2010, 10:54:37 PM »
Reply with quote
vry gud Tamanna jii

Gud creation
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #13 on: May 13, 2010, 04:07:25 PM »
Reply with quote
  Bahut-bahut Shukriya madhu ji. Usual Smile
Wow Tamanna ji ,maza aa gayi aapke khoobsurat kavita padke.bahut bahut khoob.mindblowing creation.lovely work.keep it up.excellent Both Thumbs Up Hats off to you! Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
tamanna.pt
Guest
«Reply #14 on: May 13, 2010, 04:09:49 PM »
Reply with quote
  Shukriya Neel ji. happy3
vry gud Tamanna jii

Gud creation

Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:15:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer