~:EKTARFA PYAAR:~

by nidhi_yadein on December 06, 2005, 11:39:48 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3765 times)
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
Reply with quote
"Sard mausam hai,ankho me chhaai nami si hai,
  aaj phir maine apni zindagi pe gaur kiya,
  aaj bhi kahin bohat teri kami si hai,
  koi shikwa na bhi rakhoon agar main zindagi se,
  to bhi ye zindagi mujhse gile rakhegi,
  yeh baat main kaise samjhaaun ise,
  teri mohabbat me khud ko abaad rakhegi,
  ek pal bhi ab aisa na aane deti hun zindagi me,
  ki mere paas kuch bhi sochne ke liye waqt rahe,
  itna darti hun main teri yaadon me kho jaane se,
  ki khud ke baare me bhi nahi sochti ab main,
  seene me dhadakte is dil ko mehsoos nahi karna chahti,
  mohabbat ki kisi bhi raah ko ab apnaana nahi chaahti,
  na chahoon kisi ka saath,main tanha hi achchi hoon,
  do pal ki khushi ke liye zindagi bhar ka dard,
  ye saudaa main nahi kar sakti hoon,
  tujhse jude jo khwab maine sajaaye thhe kabhi,
  ek ek kar toot gaye,bikhar gaye aaj sabhi,
  jab tak kuch bhi sambhalne ke kaabil rehti,
  kuch bhi sametne,sambhalne ko bacha tha hi nahi,
  itne ashq bahaaye hain maine barson tere liye,
  ki aaj ankhon me ashq hi nahin bache,
  bahaaun to kya?ashq nahi mere paas,
  nibhaaun to kya?rishte nahi koi aaj,
  khud ko is duniya se alag sa kar liya hai,
  akele zindagi guzarne ka kadwa ghoont pee liya hai,
  reh jaate hain kuch rishte aise bhi zindagi me,
  jinka kabhi koi astitva nahi ban paata,
  beintehaan pyaar kar baithta hai dil kisi ko,
  par woh shaks kabhi apna nahi ho paata,
  pal pal ye nadaan dil hai sapne sajaata,
  koi gila bhi nahi karta agar badle me kuch na paata,
  "EKTARFA PYAAR" zindagi ki aisi zanzeer hai,
  jisme bandh ke kabhi koi nahi nikal paata,
  jo mil gayi mohabbat to naaz karo apni kismat pe,
  warna in khwabon ko chodo aur jud jao haqeeqat se,
  main jaanti hun in khwabon se nikalna itna asaan nahi hai,
  kehti hun ise nadaan,par dil mera nadaan nahi hai,
  pyaar kiya hai maine , koi gunaah nahin kiya hai,
  kyun ektarfa pyaar ban jaata ek sazaa hai,
  bohat mushkil ho raha hai ab zindagi is ehsaas ke saath guzarna,
  par zindagi to jeeni hi hai,phir chahe jaise bhi pade jeena,
  har ek dhadkan,ye saansein kisi ke intezaar me chal rahi hain,
  ye soch ke lekin bohat dukh hota hai ki use meri kadra hi nahi hai,
  kya diya kudrat ne aajtak kisi ke pyaar ko,
  tadpa ke rakha hai mujhe kitna ek ikraar ko,
  maana is pyaar ne mujhe pal pal bohat dard diya hai,
  phir bhi main ise apni zindagi ka sabse anmol hissa manti hun,
  tu mera jeevansathi hoga,ye sirf ek khwab hai,main jaanti hun,
  jee nahi sakti hoon tumhare bina par jeena hai mujhe,
  shayad isiliye tumse chupa ke,is duniya se chupa ke,
  apne khwabon ki duniya me khona pasand karti hoon."
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
pyaar by yammy in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
pyaar by nishita in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
pyaar by Sheen Aaliya in Shayri for Khumar -e- Ishq
Toot Gaye Hum EkTarfa Pyaar Main.. by gujaratikanudo in Other Languages
Ektarfa pyar by asif biswas by asif biswas in Shayri for Dard -e- Judai
Delicate_Doll
Guest
«Reply #1 on: December 06, 2005, 12:01:57 PM »
Reply with quote
wow nidhi........juz amazing........khaas kar last ke kuch lines....superb.....!!!gr8
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #2 on: December 06, 2005, 04:36:05 PM »
Reply with quote
Thanx a lot salma for reading and liking my post :D .
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #3 on: December 06, 2005, 04:46:22 PM »
Reply with quote
WOW!! Wonderfull bahut hi khoobsurat andaj me dard ko bayan kiya hai..... very nice Nidhi.
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #4 on: December 06, 2005, 04:51:36 PM »
Reply with quote
thanx a lot Sarik Usual Smile ,kahan gaayab rehte ho tum? Puzzled !
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #5 on: December 06, 2005, 05:09:17 PM »
Reply with quote
Hi, Nidhi Bas jindgi thodi busy ho gayi hain....


Har baar hosla karte hain , phir khud hi toot jate  hain
Is dil ko khud hi samjha kar , is dil se har jate hain
Phir se ret ko muthi mein pakad ka r ,phisalta pate hain
Ankhon mein samandar ko samette samette , chalkta pate hain
Har baar kuch chah kar , woh khud hi kar jaate hain
Intezar karvate karvate , khud hi intezar karta pate hain
Na jane kyun is dil ko , samjha hi nahi pate hain
Apne aap khud ko mana hi nahin pate hain
Woh kya samjhenge jasbaat jinhe 'EHSAAS' hi nahi
Na jane kyun har baar kuch aise hi dost bana jate hain
.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #6 on: December 06, 2005, 05:13:01 PM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"
"Sard mausam hai,ankho me chhaai nami si hai,
  aaj phir maine apni zindagi pe gaur kiya,
  aaj bhi kahin bohat teri kami si hai,
  koi shikwa na bhi rakhoon agar main zindagi se,
  to bhi ye zindagi mujhse gile rakhegi,
  yeh baat main kaise samjhaaun ise,
  teri mohabbat me khud ko abaad rakhegi,
  ek pal bhi ab aisa na aane deti hun zindagi me,
  ki mere paas kuch bhi sochne ke liye waqt rahe,
  itna darti hun main teri yaadon me kho jaane se,
  ki khud ke baare me bhi nahi sochti ab main,
  seene me dhadakte is dil ko mehsoos nahi karna chahti,
  mohabbat ki kisi bhi raah ko ab apnaana nahi chaahti,
  na chahoon kisi ka saath,main tanha hi achchi hoon,
  do pal ki khushi ke liye zindagi bhar ka dard,
  ye saudaa main nahi kar sakti hoon,
  tujhse jude jo khwab maine sajaaye thhe kabhi,
  ek ek kar toot gaye,bikhar gaye aaj sabhi,
  jab tak kuch bhi sambhalne ke kaabil rehti,
  kuch bhi sametne,sambhalne ko bacha tha hi nahi,
  itne ashq bahaaye hain maine barson tere liye,
  ki aaj ankhon me ashq hi nahin bache,
  bahaaun to kya?ashq nahi mere paas,
  nibhaaun to kya?rishte nahi koi aaj,
  khud ko is duniya se alag sa kar liya hai,
  akele zindagi guzarne ka kadwa ghoont pee liya hai,
  reh jaate hain kuch rishte aise bhi zindagi me,
  jinka kabhi koi astitva nahi ban paata,
  beintehaan pyaar kar baithta hai dil kisi ko,
  par woh shaks kabhi apna nahi ho paata,
  pal pal ye nadaan dil hai sapne sajaata,
  koi gila bhi nahi karta agar badle me kuch na paata,
  "EKTARFA PYAAR" zindagi ki aisi zanzeer hai,
  jisme bandh ke kabhi koi nahi nikal paata,
  jo mil gayi mohabbat to naaz karo apni kismat pe,
  warna in khwabon ko chodo aur jud jao haqeeqat se,
  main jaanti hun in khwabon se nikalna itna asaan nahi hai,
  kehti hun ise nadaan,par dil mera nadaan nahi hai,
  pyaar kiya hai maine , koi gunaah nahin kiya hai,
  kyun ektarfa pyaar ban jaata ek sazaa hai,
  bohat mushkil ho raha hai ab zindagi is ehsaas ke saath guzarna,
  par zindagi to jeeni hi hai,phir chahe jaise bhi pade jeena,
  har ek dhadkan,ye saansein kisi ke intezaar me chal rahi hain,
  ye soch ke lekin bohat dukh hota hai ki use meri kadra hi nahi hai,
  kya diya kudrat ne aajtak kisi ke pyaar ko,
  tadpa ke rakha hai mujhe kitna ek ikraar ko,
  maana is pyaar ne mujhe pal pal bohat dard diya hai,
  phir bhi main ise apni zindagi ka sabse anmol hissa manti hun,
  tu mera jeevansathi hoga,ye sirf ek khwab hai,main jaanti hun,
  jee nahi sakti hoon tumhare bina par jeena hai mujhe,
  shayad isiliye tumse chupa ke,is duniya se chupa ke,
  apne khwabon ki duniya me khona pasand karti hoon."


wow wow  superbsssssssssss  Nidhi.........   amazing..........  
Tumko aankho mein tasavur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dadkan ki tarah tum bhi basana mujko !

Baat karnay mein jo mushkil ho tumhay mehfil mein,
Main samajh jaaonga nazron say bataana mujko !

Waada utna hi karo jitna nibha saktay ho,
Khawab poora jo na ho woh na dikhana mujko !

Apnay rishtay ki nazaakat ka baram rakh lena,
Main to aashiq hoon deewana na banana mujko !

Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujko !!!!!!!!!!!!!
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #7 on: December 06, 2005, 05:32:27 PM »
Reply with quote
Quote from: "TOUCHY"
Hi, Nidhi Bas jindgi thodi busy ho gayi hain....


Har baar hosla karte hain , phir khud hi toot jate  hain
Is dil ko khud hi samjha kar , is dil se har jate hain
Phir se ret ko muthi mein pakad ka r ,phisalta pate hain
Ankhon mein samandar ko samette samette , chalkta pate hain
Har baar kuch chah kar , woh khud hi kar jaate hain
Intezar karvate karvate , khud hi intezar karta pate hain
Na jane kyun is dil ko , samjha hi nahi pate hain
Apne aap khud ko mana hi nahin pate hain
Woh kya samjhenge jasbaat jinhe 'EHSAAS' hi nahi
Na jane kyun har baar kuch aise hi dost bana jate hain
.


Well....thats nice that life is busy,bas kuch waqt ham sab frnds k liye bhi rakhna Winking .And bohat khoob,bohat hi acha likha hai  Usual Smile ,very touching words.

"Waqt bewaqt har waqt dil ne bas tumhe hi yaad kiya hai.........,
      jis ehsaas ko tumne suna tak nahi,use pal pal mehsoos kiya hai,
      meri ye saansein,meri ye dhadkan to bas tere hi vaaste hain,
      mohabbat ka bhi mol laga ke bana diye rishte kisne aaj saste hain."
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #8 on: December 06, 2005, 05:52:45 PM »
Reply with quote
Quote from: "waheed_rose2004"


wow wow  superbsssssssssss  Nidhi.........   amazing..........  
Tumko aankho mein tasavur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dadkan ki tarah tum bhi basana mujko !

Baat karnay mein jo mushkil ho tumhay mehfil mein,
Main samajh jaaonga nazron say bataana mujko !

Waada utna hi karo jitna nibha saktay ho,
Khawab poora jo na ho woh na dikhana mujko !

Apnay rishtay ki nazaakat ka baram rakh lena,
Main to aashiq hoon deewana na banana mujko !

Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujko !!!!!!!!!!!!!


thanx a lot waheed.....and really very well written,just the kind of poetry i like,so deep sad5 .

Arz hai.... Winking lol

"Dhadkan kya tum to har saans me base ho meri,
      ankhon me basi mere tasveer hai sirf tumhaari,

      darr nahi mujhe is mehfil-e-zamaane ka,
      jo kehna hai zubaan se khuleaam kahungi,
 
      mera to har khwaab tumse hi judaa hai......,
      jaan haazir hai tera har khwab poora karne ko,

      hamari mohabbat se bani ek aisi neenv rakhi hai,
      tumhe nazron se gira ke,zindagi nahi ganwana hai mujhko."
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #9 on: December 07, 2005, 01:22:26 PM »
Reply with quote
bahut khoob...Nidhi....Touchy..n..waheed



Pouchoo Meri !chahat! ka razz
Meri num aankhoon say
Aankhoo say behtey aansoo say
us Zameen say jiss main jazib hotey hain

Pouchoo Merii !wafa! Ka razz
uN lamhoon say
Un YaaDon say
Ju tujhey bholney Nahi detii

Pouchoo Merey !juzbon! Ka razz
Apni bai-baak bataon say
Meri joush-walwala hurktoon say
ju terey aatey hi bharak uthti hein

Pouchoo merii !Khataon! ka razz
kisi ki bai-lagam bataon say
jinho nay mujhey turpaney main koi
kaser na chorii

Pouchoo sirf aur sirf Merey toutney
ka razz

Ju teri chahat ko teri aankhoo main dekh ker
aur aansoo ki surat maii Zameen main
jzab hota nahi Dekh sakta    
nm
[/color]
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: December 07, 2005, 01:32:25 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Nidhi....beautiful expression.....aate hi cha gayin Winking tongue3
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #11 on: December 07, 2005, 06:12:42 PM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"
"Sard mausam hai,ankho me chhaai nami si hai,
  aaj phir maine apni zindagi pe gaur kiya,
  aaj bhi kahin bohat teri kami si hai,
  koi shikwa na bhi rakhoon agar main zindagi se,
  to bhi ye zindagi mujhse gile rakhegi,
  yeh baat main kaise samjhaaun ise,
  teri mohabbat me khud ko abaad rakhegi,
  ek pal bhi ab aisa na aane deti hun zindagi me,
  ki mere paas kuch bhi sochne ke liye waqt rahe,
  itna darti hun main teri yaadon me kho jaane se,
  ki khud ke baare me bhi nahi sochti ab main,
  seene me dhadakte is dil ko mehsoos nahi karna chahti,
  mohabbat ki kisi bhi raah ko ab apnaana nahi chaahti,
  na chahoon kisi ka saath,main tanha hi achchi hoon,
  do pal ki khushi ke liye zindagi bhar ka dard,
  ye saudaa main nahi kar sakti hoon,
  tujhse jude jo khwab maine sajaaye thhe kabhi,
  ek ek kar toot gaye,bikhar gaye aaj sabhi,
  jab tak kuch bhi sambhalne ke kaabil rehti,
  kuch bhi sametne,sambhalne ko bacha tha hi nahi,
  itne ashq bahaaye hain maine barson tere liye,
  ki aaj ankhon me ashq hi nahin bache,
  bahaaun to kya?ashq nahi mere paas,
  nibhaaun to kya?rishte nahi koi aaj,
  khud ko is duniya se alag sa kar liya hai,
  akele zindagi guzarne ka kadwa ghoont pee liya hai,
  reh jaate hain kuch rishte aise bhi zindagi me,
  jinka kabhi koi astitva nahi ban paata,
  beintehaan pyaar kar baithta hai dil kisi ko,
  par woh shaks kabhi apna nahi ho paata,
  pal pal ye nadaan dil hai sapne sajaata,
  koi gila bhi nahi karta agar badle me kuch na paata,
  "EKTARFA PYAAR" zindagi ki aisi zanzeer hai,
  jisme bandh ke kabhi koi nahi nikal paata,
  jo mil gayi mohabbat to naaz karo apni kismat pe,
  warna in khwabon ko chodo aur jud jao haqeeqat se,
  main jaanti hun in khwabon se nikalna itna asaan nahi hai,
  kehti hun ise nadaan,par dil mera nadaan nahi hai,
  pyaar kiya hai maine , koi gunaah nahin kiya hai,
  kyun ektarfa pyaar ban jaata ek sazaa hai,
  bohat mushkil ho raha hai ab zindagi is ehsaas ke saath guzarna,
  par zindagi to jeeni hi hai,phir chahe jaise bhi pade jeena,
  har ek dhadkan,ye saansein kisi ke intezaar me chal rahi hain,
  ye soch ke lekin bohat dukh hota hai ki use meri kadra hi nahi hai,
  kya diya kudrat ne aajtak kisi ke pyaar ko,
  tadpa ke rakha hai mujhe kitna ek ikraar ko,
  maana is pyaar ne mujhe pal pal bohat dard diya hai,
  phir bhi main ise apni zindagi ka sabse anmol hissa manti hun,
  tu mera jeevansathi hoga,ye sirf ek khwab hai,main jaanti hun,
  jee nahi sakti hoon tumhare bina par jeena hai mujhe,
  shayad isiliye tumse chupa ke,is duniya se chupa ke,
  apne khwabon ki duniya me khona pasand karti hoon."


realy great lines .......................padkar aisa laga ke dilse nikali aur screen par sidhe hi utari hai ye lines...good work nidhiji
Logged
Silence
Guest
«Reply #12 on: December 09, 2005, 05:08:27 PM »
Reply with quote
wah, bohot ache nidhi sis!!

haqiqat se door, khwabon ki duniya me jeena hai mushkil,
toote khwab daman me muskurahat se seena hai mushkil,
rangeeli hai yeh khwabon ki duniya, kahi kho mat jana "Silenece",
ke haqiqat ki duniya me berang zeher peena hai mushkil!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #13 on: December 11, 2005, 07:19:54 PM »
Reply with quote
very  nice  Silence....................
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #14 on: March 04, 2006, 05:40:20 PM »
Reply with quote
Quote from: "salma4u"
bahut khoob...Nidhi....Touchy..n..waheed



Pouchoo Meri !chahat! ka razz
Meri num aankhoon say
Aankhoo say behtey aansoo say
us Zameen say jiss main jazib hotey hain

Pouchoo Merii !wafa! Ka razz
uN lamhoon say
Un YaaDon say
Ju tujhey bholney Nahi detii

Pouchoo Merey !juzbon! Ka razz
Apni bai-baak bataon say
Meri joush-walwala hurktoon say
ju terey aatey hi bharak uthti hein

Pouchoo merii !Khataon! ka razz
kisi ki bai-lagam bataon say
jinho nay mujhey turpaney main koi
kaser na chorii

Pouchoo sirf aur sirf Merey toutney
ka razz

Ju teri chahat ko teri aankhoo main dekh ker
aur aansoo ki surat maii Zameen main
jzab hota nahi Dekh sakta    
nm
[/color]


wahh kya baat hai,very nice salma,very touching,and thanx Usual Smile .
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:38:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer