FAVOURITE SHAYERI

by tamana on July 14, 2005, 01:20:42 PM
Pages: 1 2 3 4 [5]
ReplyPrint
Author  (Read 4864 times)
tamana
Guest
«Reply #60 on: July 15, 2005, 11:35:59 AM »
Reply with quote
Hamdardiyon ki bheek se dene lage hain log
Yun apne dil ka haal na sab se kaha karo
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
KHAN'S SHAYERI by N.A.KHAN in Miscellaneous Shayri
betuki shayeri by samnoj in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
SHAYERI(CSET) by MANOJ6568 in Share:Funny Poetry
shero shayeri(CSET) by MANOJ6568 in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
shayeri karne ka(CSET) by MANOJ6568 in Shayri for Khumar -e- Ishq
tamana
Guest
«Reply #61 on: July 15, 2005, 11:36:15 AM »
Reply with quote
wo jis k naqsh-e-qadam say charag jaltay thay
jala charag to ban gaya dhun wan wo shakhash
Logged
tamana
Guest
«Reply #62 on: July 15, 2005, 11:37:23 AM »
Reply with quote
Hay Ghalat Gar Gumaan Mein Kuch Hay...
Tujh Sewaa Bhi Jahaan Mein Kuch Hay...

Dil Bhi Teray Hee Dhang Seekha Hay,,,
Aan Mein Kuch Hay, Aan Mein Kuch Hay,,,

Inn Dino Kuch Ajab Hay Haal Mera....
Daikhta Kuch Houn, Dayhaan Mein Kuch Hay...

Dard! Tu Jo Karay Hay Jee Ka Zayaa`n,
Faeyda Iss Zayaan Mein Kuch Hay??
Logged
tamana
Guest
«Reply #63 on: July 15, 2005, 11:38:12 AM »
Reply with quote
Meray hum nafs meray hum nava Mujhay dost ban kay dagha na Day
Mein hoon dard-e-ishq say jaan balab ,Mujhay Zindagi ki dua na day

Na ye Zindagi meri zindagi -----------Na ye Dastan Meri Dastan
Mein khayal o vehm say duur hoon Mujhay aaj koi sada na day

Meray ghar say Durr hain rahatein,Mujhay dhondhti hai Musibatein
Mujhay darr hai kay Mera pata koi gardishon ko bata na day

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Mairay Tan Badan Say Lipat Gaye
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay -----Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day,

Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay------ Usay Jeenay Ki Too Duaa Na Day

Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar -----Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day

Tujhay Gar Milain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar -----Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day

Too Azeez Dil-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day

Mujhay chorr day meray haal pay tera kya bharosa Aey chara gar
Teri ye nawazish mukhtasir ----------Mera dard aur berha na day

Mera azm itna buland hai kay Paraey sholoon ka Darr nahin
Mujhay khauf aatishe Gul say hai key yehi chaman ko jala na day

Meray dagh-e-dil say hai Roshni ,Issi roshni say hai Zindagi
Mujhay Khauf hay meray charager ,Ye chragh tu he Bujha na day
Logged
tamana
Guest
«Reply #64 on: July 15, 2005, 11:39:15 AM »
Reply with quote
" Woh Mera Khayal Rakhti Thi "

main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi
main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi

har aik maslay ka hal nikal rakhti thi
zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi

main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha
woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi

bas aik woh thi jisay ghaow main dikhata tha
bas aik woh thi keh jo andmal rakhti thi

woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say
woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi

woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main
mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi

duain us ki balaon ko rook laiti thin
woh mairay chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni
woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi

usay nadamatain mairi kahan gawara thin
woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi

bichar kay uss say main dunya ki thokaron main hon
woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi

sahar tha naam , ujalay ghulam thay us kay
woh zindagi kay andhairay ujaal rakhti thi

woh muntazir mera rehti thi dhoop main shaid
main laut-ta tha to chaon nikal rakhti thi
Logged
tamana
Guest
«Reply #65 on: July 15, 2005, 11:39:39 AM »
Reply with quote
Iqbal terey ishq ney sab bal diye nikal
muddat sey Aarzoo thi keh seedha karey koi
Logged
tamana
Guest
«Reply #66 on: July 15, 2005, 11:40:13 AM »
Reply with quote
Jaan Di, Di hui ussi ki thi
HaQ to yeh hai, keh haQ adaa na hua!!
Logged
tamana
Guest
«Reply #67 on: July 15, 2005, 11:40:40 AM »
Reply with quote
Kuchh log unhen bhar k nazar dekh rahay hen
ek ham hen k dar dar k unhen dekh rahay hen
Logged
tamana
Guest
«Reply #68 on: July 15, 2005, 11:40:59 AM »
Reply with quote
veeraaN na ho is darja koii mausam-e-gul bhi
kehte hain kisi shaakh pe koii phool khilaa tha

tu ne jo pukaara hai to bol uTthaa hooN varna
maiN fikr ki dehleez pe chup chaap khaRaa tha
Logged
tamana
Guest
«Reply #69 on: July 15, 2005, 11:41:20 AM »
Reply with quote
Mosam Awan Teary Naal Mosam Jawan Teray Naal
Banda Kala Rah Janda aey Bohtey Yaar Banawan Naal
Logged
tamana
Guest
«Reply #70 on: July 15, 2005, 11:41:39 AM »
Reply with quote
mausam ki ada daikh kay yaad aaya hai
kis qadar jald badal jatey hain insaan jana
Logged
tamana
Guest
«Reply #71 on: July 15, 2005, 11:41:57 AM »
Reply with quote
Kisi ko itna na chaho k bhula na sako
yahan mizaj madlatay mosmon ki tarah
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:51:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer