FIR SE GULSHAN KO SAJAYA JAYE----------MAMTA BAJPAI

by mamta bajpai on June 10, 2010, 03:05:50 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 4755 times)
mamta bajpai
Guest
Reply with quote
SOOKHE PATTON KO HATAYA JAYE
FIE SE GULSHAN KO SAJAYA JAYE

KAB SE ROOTHI HAIN BAHAREN HUMSE
CHALO UNKO BHI MANAYA JAYE

HO GAYEEN RUSWA JO YAADEN MERI
UNKO SARE BAZM NA LAYA JAYE

TOOTATI SAANSON KO AKHTIYAR AAYE
EK BAAR TO UNKO BULAYA JAYE

KOI EK TO AISA HO IS JAHAN ME
JIS PE MERE DIL KO AITBAAR AAYE

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TERI KHWAHISH.................MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
NAKAMIYON SE NISBAT.........MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
NADI PYAS KI BADHTI JAYE.................MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Share:Poetry of Separation « 1 2  All »
JAMA-E-ZAKHM HAI KI FAT-TA HI JAYE.............MAMTA BAJPAI by mamta bajpai in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
kuch aur kiya jaye............Mamta Bajpai by mamta bajpai in Shayri-E-Dard
vb
Guest
«Reply #1 on: June 10, 2010, 03:46:00 PM »
Reply with quote
buhat khoob! ... achha laga parh kar.. is rachna ko likhnay n share.. ka shukriya..
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #2 on: June 10, 2010, 04:03:00 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya vb ji!
Logged
fatima anam
Guest
«Reply #3 on: June 10, 2010, 04:09:14 PM »
Reply with quote
bhaut acchi poem likhi hai aapne... with some lovely charms...  notworthy
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #4 on: June 10, 2010, 04:11:11 PM »
Reply with quote
thanks Fatimaji
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #5 on: June 10, 2010, 04:56:01 PM »
Reply with quote
wah bahoth qoob mamta saheba , dad hazir hai qubool karen ,, sher dil pe acar chodte hain ,, allah apko khush rakhe ,,



duwa go


qadeertoopchi
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #6 on: June 10, 2010, 05:54:06 PM »
Reply with quote
SOOKHE PATTON KO HATAYA JAYE
FIE SE GULSHAN KO SAJAYA JAYE

KAB SE ROOTHI HAIN BAHAREN HUMSE
CHALO UNKO BHI MANAYA JAYE

HO GAYEEN RUSWA JO YAADEN MERI
UNKO SARE BAZM NA LAYA JAYE

TOOTATI SAANSON KO AKHTIYAR AAYE
EK BAAR TO UNKO BULAYA JAYE

KOI EK TO AISA HO IS JAHAN ME
JIS PE MERE DIL KO AITBAAR AAYE




bahut khub mamta g

bedard jindgi ko khushaal banaya jaye
kyu na gumo se jindgi ko sajaya jaye

ban na jaye koi masoom insaan se khuda
kyu uski her baat mei ha ko milaya jaye

banaye koi bhi taj kisi ki yaad mei lakin
haath kisi mazdoor ka na phir kataya jaye

kha jayega dhoka dekh kar gum bhi ek bar
kyu na gumo mei he bus muskuraya jaye

kuch to hai hamme bhi shayer ki se baat
gazel likhkar kyu na sabko ye bataya jaye




Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #7 on: June 10, 2010, 10:35:53 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

BAHUT ACHCHE MANOJ JI BAHUT KHOOB!DAAD DENE KA YE DANISHMANDANA ANDAZ LAJAWAB HAI.BAHUT KHOOB BAHUT KHOOB.....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: June 11, 2010, 12:09:26 AM »
Reply with quote
Bohat Achche Mamta Ji, Aur Manoj Ji,.
Bohat Achche,.

Ek Koshish Bas Aap Sabki Duaa Chaahoonga, Mere Liye Dua Karein


Kuch Riwaaj Is Shehar Ke Badlaa Ke Chalte Hain,.
Ab Ki Baar Chalo, Sabko Jagaaa Ke Chalte Hain,.

Tayyar Hona Jaaye Phirse Koi Aashiq Yahaan,.
Apne Zakham Sabko Dikhaa Ke Chalte Hain,.

Unhe Ikhtiyaar Hai Hume Chahna Ya Thukraana,.
Chalo Unke Dar Hum Sar Jhukaa Ke Chalte Hain,.

Dhoondenge Wo Hamaare Wajood Ko "Azeem,.
Ab Jo Hamaari Mohabbat Ko Thukraake Chalte Hain,.

-Azeem-
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #9 on: June 11, 2010, 12:20:58 AM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Mamta ji great creation,beautiful lines by Manoj ji and Azeem bhai.excellent Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #10 on: June 11, 2010, 12:59:53 AM »
Reply with quote
SUPARB!!!AZEEMJI KYA KAHE AAP KI SHAAN ME ?LAFZON KA KOTA KHATM HO GAYA HAI.BEHAD SHUKRIYA....AAPNE WAQT DIYA HUMARE QALAAM KO PADHA OR SARAHA....ITANA HI NAHI APNE ZORE QALAM SE EK KHOOBSURAT TOHFE SE HUME NAWAZA.IS NEK NAWAZISH KA BEHAD SHUKRIYA........
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #11 on: June 11, 2010, 01:02:53 AM »
Reply with quote
MADHU JI HAMESHA KI TARAH AAP KI DAAD HUM DIL SE QUBOOL KARTE HAIN...AAGE BHI AAP KI HOUSLA AFZAI KI MUNTAZIR.......
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #12 on: June 11, 2010, 07:38:54 AM »
Reply with quote
waah bahot khoob Mamta ji,behatreen ghazal likhi hai aapne  Applause Applause Applause Applause Applause
Manoj ji and Azeem dear aapne bhi bahot khoob likha hai  Applause Applause Applause Applause

THANX
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #13 on: June 11, 2010, 11:03:07 AM »
Reply with quote
SOOKHE PATTON KO HATAYA JAYE
FIE SE GULSHAN KO SAJAYA JAYE

KAB SE ROOTHI HAIN BAHAREN HUMSE
CHALO UNKO BHI MANAYA JAYE

HO GAYEEN RUSWA JO YAADEN MERI
UNKO SARE BAZM NA LAYA JAYE

TOOTATI SAANSON KO AKHTIYAR AAYE
EK BAAR TO UNKO BULAYA JAYE

KOI EK TO AISA HO IS JAHAN ME
JIS PE MERE DIL KO AITBAAR AAYE



behtreen mamta ji
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #14 on: June 11, 2010, 11:05:21 AM »
Reply with quote

bahut khub mamta g

bedard jindgi ko khushaal banaya jaye
kyu na gumo se jindgi ko sajaya jaye

ban na jaye koi masoom insaan se khuda
kyu uski her baat mei ha ko milaya jaye

banaye koi bhi taj kisi ki yaad mei lakin
haath kisi mazdoor ka na phir kataya jaye

kha jayega dhoka dekh kar gum bhi ek bar
kyu na gumo mei he bus muskuraya jaye

kuch to hai hamme bhi shayer ki se baat
gazel likhkar kyu na sabko ye bataya jaye







waaah manoj kya baat hai gud knock....!!
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:10:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer