Gaaon ki yaad........................................................Quateel

by Quateel Ahmad on May 10, 2012, 06:35:12 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2349 times)
Quateel Ahmad
Guest
Reply with quote
Chuk chuk karti rail gaadi chali gayee
Puk puk karti thi chakki ab chali gayee

Jhar jhar gehun ki danvaai chali gayee
Thak thak chawal ki kutaai chali gayee

Band hua miljul kar gudadi ka silna
Chaar aane ki mithai chali gayee

Bhor ki wo datuan todaai chali gayee
Saanjh ki chara-chunii bhi chali gayee

Hukke ki chiilum chadhai chali gayee
Ghar ki gobar lipai chali gayee

Bartan ki wo raakh majaai chalii gayee
Bhoonje dana wo bharsaiin chali gayee

Jaadon mein wo ras peraai chali gayee
Saath uske rasiyaav ki handia chali gayee

Sikahar ki wo dahi malai chali gayee
Palang ki nivaad kasaii chali gayee

Debari ki tel bharaai chali gayi
Aandhi mein baagh rakhaii chali gayee

Ek alag duniya hi thi jo chali gayee
Ab uski yaad bhi jaise chali gayee
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ZINDAGI GAAON KI HAI JHOOLON SE ......... HASAN by F.H.SIDDIQUI in Shairy-E-Watan « 1 2  All »
Aaj bhi hai.....Quateel by Quateel Ahmad in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Maikhaana.................................Quateel by Quateel Ahmad in Kaifiyaat-ae-maye
Paheli.......................................................Quateel by Quateel Ahmad in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
I'll lie to you.................................Quateel by Quateel Ahmad in English
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: May 10, 2012, 06:50:30 AM »
Reply with quote
bahut hee laajwaab pesh kash dheron daad aur ek rau qubool kare
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2 on: May 10, 2012, 07:04:18 AM »
Reply with quote
Chuk chuk karti rail gaadi chali gayee
Puk puk karti thi chakki ab chali gayee

Jhar jhar gehun ki danvaai chali gayee
Thak thak chawal ki kutaai chali gayee

Band hua miljul kar gudadi ka silna
Chaar aane ki mithai chali gayee

Bhor ki wo datuan todaai chali gayee
Saanjh ki chara-chunii bhi chali gayee

Hukke ki chiilum chadhai chali gayee
Ghar ki gobar lipai chali gayee

Bartan ki wo raakh majaai chalii gayee
Bhoonje dana wo bharsaiin chali gayee

Jaadon mein wo ras peraai chali gayee
Saath uske rasiyaav ki handia chali gayee

Sikahar ki wo dahi malai chali gayee
Palang ki nivaad kasaii chali gayee

Debari ki tel bharaai chali gayi
Aandhi mein baagh rakhaii chali gayee

Ek alag duniya hi thi jo chali gayee
Ab uski yaad bhi jaise chali gayee



Waah Waah Waah!!!!

Bahut Bahut Khoooob Quateel Ji..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #3 on: May 10, 2012, 07:25:01 AM »
Reply with quote
bahut hee laajwaab pesh kash dheron daad aur ek rau qubool kare

Shukraguzaar hoon Saini Bhai!
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #4 on: May 10, 2012, 07:28:42 AM »
Reply with quote


Waah Waah Waah!!!!

Bahut Bahut Khoooob Quateel Ji..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Bahot Shukriya, Khwaishji!!
Logged
Pramod singh
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
3 days, 23 hours and 9 minutes.

main shayar badnaam

Posts: 460
Member Since: Feb 2012


View Profile
«Reply #5 on: May 10, 2012, 07:53:50 AM »
Reply with quote
Aapne to aaj gaanv ki yaad dil di bhai quateel........ bahut khub yaar...

Seher ke aage bebas pade hain  gaanv
Wahan chalti un hawaon ki.
mushkhurate chali gayi
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: May 10, 2012, 10:37:18 AM »
Reply with quote
Waah  bhai  Quateel saheb . Jawaab naheen . Eik  pal ke  liye  us  khubsurat  mahaul mein  le gaye jis ko taraste taraste abb bhool chuke  hain . Bahut  bahut  shukriyaa . 'Aandhi mein  bagh  rakhai ...'  waah  kitni  yaadein  taaza ho  gayeen . phir se  hukriya .
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #7 on: May 10, 2012, 06:44:03 PM »
Reply with quote
Aapne to aaj gaanv ki yaad dil di bhai quateel........ bahut khub yaar...

Seher ke aage bebas pade hain  gaanv
Wahan chalti un hawaon ki.
mushkhurate chali gayi

Bahot Shukriya Pramod ji!
Logged
sbechain
Guest
«Reply #8 on: May 10, 2012, 06:46:22 PM »
Reply with quote
Chuk chuk karti rail gaadi chali gayee
Puk puk karti thi chakki ab chali gayee

Jhar jhar gehun ki danvaai chali gayee
Thak thak chawal ki kutaai chali gayee

Band hua miljul kar gudadi ka silna
Chaar aane ki mithai chali gayee

Bhor ki wo datuan todaai chali gayee
Saanjh ki chara-chunii bhi chali gayee

Hukke ki chiilum chadhai chali gayee
Ghar ki gobar lipai chali gayee

Bartan ki wo raakh majaai chalii gayee
Bhoonje dana wo bharsaiin chali gayee

Jaadon mein wo ras peraai chali gayee
Saath uske rasiyaav ki handia chali gayee

Sikahar ki wo dahi malai chali gayee
Palang ki nivaad kasaii chali gayee

Debari ki tel bharaai chali gayi
Aandhi mein baagh rakhaii chali gayee

Ek alag duniya hi thi jo chali gayee
Ab uski yaad bhi jaise chali gayee

quateel sahab,
 janaab waise mujhe gaao.n ki zindagi ka koi tajurba to nahin hai. haan aap ne aapne tajurbe ko jis bakhoobi qalmband kiya hai aur usmein apne jazbaat ki jhalak dikhaayi hai wo qabil-e tarif hai...!


 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #9 on: May 10, 2012, 06:48:55 PM »
Reply with quote
Waah  bhai  Quateel saheb . Jawaab naheen . Eik  pal ke  liye  us  khubsurat  mahaul mein  le gaye jis ko taraste taraste abb bhool chuke  hain . Bahut  bahut  shukriyaa . 'Aandhi mein  bagh  rakhai ...'  waah  kitni  yaadein  taaza ho  gayeen . phir se  hukriya .

Bahot shukriya Hasan Sahab!
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #10 on: May 10, 2012, 06:52:07 PM »
Reply with quote
 Bahot bahot shukriya Shebaji!
Logged
dolly
Guest
«Reply #11 on: May 11, 2012, 07:05:27 AM »
Reply with quote
bahut sundar....

ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #12 on: May 11, 2012, 01:55:33 PM »
Reply with quote
bahut sundar....

ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause

Shukriya Dollyji!!
Logged
ahujagd
Maqbool Shayar
****

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
6 days, 1 hours and 34 minutes.
Posts: 842
Member Since: May 2005


View Profile
«Reply #13 on: May 11, 2012, 02:12:12 PM »
Reply with quote
bahut achhe quateel ji, maja aa gaya bachpan ko yaad karke,ek ek line jaise yadon ki parat kholti gayee bahut bahut badhai aur shukriya humse share karne ke liye
ghansham das ahuja
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #14 on: May 13, 2012, 03:30:32 PM »
Reply with quote
bahut achhe quateel ji, maja aa gaya bachpan ko yaad karke,ek ek line jaise yadon ki parat kholti gayee bahut bahut badhai aur shukriya humse share karne ke liye
ghansham das ahuja

Shukriya Ghanshamji, aapko achchi lagi ye baat achchi lagi!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:30:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.15 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer