Gale Laga Lega Dushman--(Riyaz)

by riyaz106 on June 01, 2010, 12:26:09 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 3505 times)
riyaz106
Guest
«Reply #15 on: June 02, 2010, 06:00:49 AM »
Reply with quote
Bahot shukriya Cara ji. Aapne bhi achha likha hai.
WAH KYA BAAT HAI        RIYAZ106 JI......

MUJHE SAATH TERA CHAHIYE
TUJHE SAATH MERA CHAHIYE
MAT KAR YAKEEN BEKAR KI BAATON PAR
HUM DONO KO EK DUJE KA AITHBAR CHAHIYE
GALE LAGA LEGA DUSHMAN BHI
MOHABBAT BARI NIGHA CHAHIYE....
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hasrat Reh Gayi unhe Gale Laga Ne Ki by V a r s h a in Shayri for Dard -e- Judai
gham ko gale se laga liya by SHONA in Shayri-E-Dard
Tanhaai Ko Gale Laga Raha Hoon by majid in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
tu gale se laga na sake by salil2002 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
<>*GALE LAGA LO AB TO*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayri for Khumar -e- Ishq
riyaz106
Guest
«Reply #16 on: June 02, 2010, 11:32:15 AM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Azeem Bhai.
BOhat Achche Riyaz Bhai,.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #17 on: June 02, 2010, 01:06:24 PM »
Reply with quote
Aapka bahut bahut shukriya VB ji.
buhat khoob.. !! achha laga parh kar..
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #18 on: June 02, 2010, 01:15:33 PM »
Reply with quote
Bhai Abdul Qadeer aapka tahe dil se shukriya ke aapko meri kaawish achhi lagi. Hausla afazaai ka bhi shukriya. Allah aapko bhi khush rakhe.
wah riyaz saheb , bade dib baad apki koi taqleeq padne ka itefaq howa apke kya kahene saheb hamesha hi lajwab kahete ho ,, dad hazir hai apki is umda ghazal pe qubool karen .. allah apko hamesha khush rakhe ..



duwa go

qadeertoopchi
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #19 on: June 02, 2010, 03:04:03 PM »
Reply with quote
Dosto ek arsey ke baad aapki khidmat mein ek nai ghazal pesh kar raha hun. Ummeed hai pasand aayegi.
GHAZAL
Mujhe saath har dam tera chahiye
Tu mil jaaye to aur kya chahiye
Paresha.n hain sab shahr ke shor se
Muhabbat bhari ek sada chahiye
Gale se laga lega dushman tujhe
Magar tujh mein aisi ada chahiye
Fasadon ko bhadkana mushkil nahi
Unhen to bas ek mud-da-aa chahiye
Wo har ek buraai se muh mod lein
Jinhen bhi khuda ki raza chahiye


Riyaz Ashna


Wah! Bahut khoob surat Ghazal pesh ki hai aap ne Riyaz Ji
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #20 on: June 03, 2010, 04:11:44 AM »
Reply with quote
Kapil ji apka bahut bahut shukria.
bahut bahut khoob likha hai aapne Riyaz ji...!!!
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #21 on: June 03, 2010, 08:57:01 AM »
Reply with quote
Abdul Rahim Sb. apka bahut sara shukria.
"Gale se laga lega dushman tujhe,
Mager tujh main aisi ada chahiye..."

Bahaut khoob...Behad khubsoorat... Applause
Logged
R.N.S
Guest
«Reply #22 on: June 03, 2010, 09:08:15 AM »
Reply with quote


Har cheej nahiin hai markaz par,ek zarra idhar ek zarra udhar

Dushman ko na dekho nafrat se shayad ki muhabbat kar baithe

R.N.S
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #23 on: June 03, 2010, 11:42:32 AM »
Reply with quote
Pandey ji aapka kin alfaaz mein shukriya adaa karun, samajh nahi aata. Aapki hausla afazaai khud mere liye inspiration hai. Aapne bhi bahot lajawab sher ataa kiya hai. Bahut bahut shukriya aapka.
Waah!! Riyaz sahab, kya kahney. Hazaron daad pesh karta hun kabool farmayen...  aapke duvaon aur ghazal ke inspiration ne majboor kar diya hai ki kuchh pesh karun.. Khar matla arz kar deta hun aapki khidmat mein..

Ishq had tod nasihat pe utar Aata hai,
Husn ka saath fazihat sa nazar Aata hai !!

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #24 on: June 04, 2010, 01:18:22 AM »
Reply with quote
Madhu didi apka tahe dil se shukria.
Wah wah Riyaz bhai,bahut khoobsurat gazal pesh kiya aapne.great lines by Pandey ji.mindblowing creation.excellent Hats off to you! Both Thumbs Up Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #25 on: June 04, 2010, 05:09:26 AM »
Reply with quote
Nazar sahab aapke tahe dil se shukriya ke aapne ghazal ko pasand farmaya aur apna qeemti waqt diya. Allah apko khush rakhe.
bahot din baad nazar aae ho riyaz bhai ,behetreen paiskash ,3rd and 5th shair bahot hi umda hai,hamari janib se daad khobol karein,5th shair masha Allah bahut hi khoob kaha hai.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #26 on: June 04, 2010, 11:42:59 AM »
Reply with quote
Tamanna ji aapka tahe dil se shukriya ke aapne ghazal pasand ki aur apna waqt diya.
   Waah Riyaz ji bahut achha likha hai aapne.Bahut maza aaya padh k. Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #27 on: June 05, 2010, 05:33:58 AM »
Reply with quote
Rajesh ji aapka tahe dil se shukria.
Wah! Bahut khoob surat Ghazal pesh ki hai aap ne Riyaz Ji
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #28 on: June 05, 2010, 08:53:40 AM »
Reply with quote
R.N.S Ji aapne bahut achha sher share kiya hai. Thanks.


Har cheej nahiin hai markaz par,ek zarra idhar ek zarra udhar

Dushman ko na dekho nafrat se shayad ki muhabbat kar baithe

R.N.S
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #29 on: June 06, 2010, 08:34:32 PM »
Reply with quote
Shihab bhai apka tahe dil se shukria. Jis andaaz se aap hausla afzaai karte hain bahut achha lagta hai. Allah apko khush rakhe. 
Hume Aapki Yeh Peshkash Pasand Hi Nahi
Balki Bahut Hi Pasand Aayi..Kashkar Last Wali Line
Bahut Achcha Likha Hai Aape Riyaz Bhai...

Hazaron Dad...


Khush Rahiye...


~Shihab~

Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 07:58:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer